Hackers aur Ethical Hackers dono main sirf difference un k motives ka hota hai, Hackers sirf destruction ya ghalt maqsad k liay apnay knowledge ko istamal kertay hain. Jab k bahoot saray log un kay muqablay k liay Hacking k resources ko use kertay hain, ta k un security breaches ko dekha ja sakay jahan se Hackers dakhil ho saktay hain.

Hackers mostly ap ko koi pur kashish request offer ker k aap k system ko access ker saktay hain, like "Zara" said in email attachments, in bannner Ads, ya aap koi Software download kertay hain to us k sath koi batch file attach ho jo us k install honay k sath aap k system main install ho jaiy.

Aur aik bar ager koi ap k system main dakhil ho jaiy , then woh aap k " ghar k bhedi " ki tarh aap k her action ko note ker raha hota hai aur ager ap net se connected hain , to ho sakta hai k woh aap ki information ko kaheen transfer bhi ker raha ho.

Ager chay yeh normal PC user k liay itna important naheen hai, but phir bhi personal security bahoot value rakhti hai .
So kabhi bhi suspicious link, Pop up ads pe click mat kerain, kabhi kissi unknown email k link pe click mat kerain . Aur kissi aisi mail ka reply mat kerain jis main aap ki information mangi gai ho .

Shukriya!