Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 12 of 32

Thread: My Collection 9

  1. #1
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Thanked
    0

    Smile My Collection 9

    Aey Mohabbat

    Aey mohabbat!teri qismat k tujhey muft miley.....
    Hum sey daana jo kamalaat kia kartey they.....
    Khushq matti ko bhi imaraat kia kartey they.....
    Aey mohabbat!yeh tera bakht k bin mol miley.....
    Hum sey anmol jo heeron main tula kartey they.....
    Hum sey munh zor jo bhonchaal utha rakhtey they......
    Aey mohabbat mairi! hum terey mujrim thehrey......
    Hum jaisey log jo logon sey sawalaat kia kartey they.....
    Hum jo so baat ki ik baat kia kartey they......
    Tairi tehweel main aaney sey zara pehley tak......
    Hum bhi iss sheher main izzat sey raha kartey they......
    Hum bigartey to kai kaam bana kartey they......
    Aur ab teri sakhawat k ghaney saaey main......
    Khulqat-e-sheher ko ham zinda tamasha thehrey.......
    Jitney ilzam they maqsoom hamara thehrey.......
    Aey mohabbat! zara andaaz badal ley apna.......
    Tujh ko aainda bhi ishshaaq ka khoon pina hai......
    Hum to mar jain gey tujh ko to magar jeena hai......

  2. #2
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,

    Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
    Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,

    Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
    Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,

    Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
    Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,

    Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
    Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,

    Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
    Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata

  3. #3
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile liya tha aik wadaa tum ne mujh se

    liya tha aik wadaa tum ne mujh se
    hamesha khush he rehna hai
    to dekho.....
    dekh lo aa ker ...
    meri aankhon ko dekho tum
    yeh kitni shokh lagti hain ....
    mere honton ko dekho tum,,
    hamesha muskuratey hain .......
    koi bhi ghum agar aayaa,,,
    usse hans kar saha main ne...
    mere chehre ko dekho tum ,,
    hamesha pursakon hoga,,,,
    to socho ge,,,
    kia tha main ne jo tum se
    wo wadaah kar diya pora........
    magar ik baat phir bie hai
    kabhi jo waqt mil jaye
    to meri shaairi parhna
    tumhen mehsoos to hoga
    kaheen talkhi bhara jumla
    kaheen pe sard sa lehja....
    kaheen pe dard ki jheelein....
    kehen lehjey ki karwahat.....
    Suno.... Main Khush To Hon ,
    Lekin.......
    Lahoo Har Lafz Rota Hai.....!!!

  4. #4
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile haath chhuute bhi to rishte nahiin chhodaa karate

    haath chhuute bhi to rishte nahiin chhodaa karate
    vaqt kii shaaKh se lamhe nahiin toraa karate

    jis kii avaz mn silvat ho nigaahon mn shikan
    aisi tasvir ke tukade nahiin joraa karate

    shehad jiine kaa milaa karata hai thora thora
    jaane vaalon ke liye dil nahiin thora karate

    lag ke saahil se jo bahata hai use bahane do
    aisii dariya ka kabhii ruKh nahiin mora karate
    vaqt kii shaaKh se lamhen nahin toraa karate

    jis kii avaz mn silvat ho nigaahon mn shikan
    aisii tasviir ke tukre nahiin jora karate

    shehad jiine kaa milaa karata hai thora thora
    jaane vaalon ke liye dil nahiin thora karate


    lag ke saahil se jo bahata hai use bahane do
    aisii dariya ka kabhii ruKh nahiin mora karate

  5. #5
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Aaey Tez Hawa Naraz Na Ho

    AAEY TEZ HAWA NARAZ NA HO
    Iss Dil mein Salamatt hai abb takk
    Woh Shaukhi-E-Labb, Woh Harf-E-Wafa
    Woh Naqsh-E-Qadamm
    Woh Aks-E-Hina
    So baar jissay chooma hamm nay
    So baar parastish ki jiss ki
    Iss Dill mein Salamatt hai abb takk
    Woh Gard-E-Alamm, Woh Deeda-E-Namm
    Ham jiss mein chupaa karr rakhtay thay
    Tasveer bikharti Yaadon ki
    Zanjeer Pighaltay Waadon ki
    Poonji Nakaam iraadon ki
    AAEY TEZ HAWA NARAZ NA HO
    Iss Dil mein Salamtt hai abb takk
    Samaan bicharti Saa'att ka
    Kuch Tukkray Garm Dopehron kay
    Kuch raizay Narm Sawalon k
    Kuch Durr Anmol Khyaalon k
    Ikk Sacha Roop HAQEEQATT ka
    Ikk Jhoota Lafz MUHABBAT ka

  6. #6
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Jab Seena Gham Se Boojhal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho

    Jab Seena Gham Se Boojhal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho

    Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena

    Jab Ankhein Bagi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain

    Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena

    Jab Palkein jaaagh kar Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho

    Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena

    Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi

    Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena

    Jab Barish Chehra Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagtey Hoon

    Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena

  7. #7
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Kaise bataaoon main tumhe

    Kaise bataaoon main tumhe
    Mere liye tum kaun ho, kaise bataaoon
    Kaise bataaoon main tumhe
    Tum dhadkanon ka geet ho
    Jeevan ka tum sangeet ho
    Tum zindagi tum bandagi
    Tum roshni tum taazgi
    Tum har khushi tum pyaar ho
    Tum preet ho manmeet ho
    Aankhon mein tum yaadon mein tum
    Saanson mein tum aahon mein tum
    Neendon mein tum khwaabon mein tum
    Tum ho meri har baat mein
    Tum ho mere din raat mein
    Tum subaah mein tum shyaam mein
    Tum soch mein tum kaam mein
    Mere liye paana bhi tum
    Mere liye khona bhi tum
    Mere liye hasna bhi tum
    Mere liye rona bhi tum
    Aur jaagna sona bhi tum
    Jaaoon kahin dekhoon kahin
    Tum ho vahan, tum ho vahin
    Kaise bataaoon main tumhe
    Tum bin to main kuch bhi nahin
    Kaise bataaoon main tumhe
    Mere liye tum kaun ho
    Yeh jo tumhaara roop hai
    Yeh zindagi ki dhoop hai
    Chandan se tarsha hai badan
    Behti hai jis mein ek agan
    Yeh shokhiyaan yeh mastiyaan
    Tumko hawaaon se mili
    Zulfein ghataaon se mili
    Honton mein kaliyaan khil gayi
    Aankhon ko jheele mil gayi
    Chehre mein simti chaandni
    Aawaaz mein hai raagini
    Sheeshe ke jaisa ang hai
    Phoolon ke jaisa rang hai
    Nadiyon ke jaisi chaal hai
    Kya husn hai kya haal hai
    Yeh jism ki rangeeniyaan
    Jaise hazaaron titliyaan
    Baahon ki yeh golaaiyaan
    Aanchal mein yeh parchhaaiyaan
    Yeh nagriyaan hai khwaab ki
    Kaise bataaoon main tumhe
    Haalat dil-e-betaab ki
    Kaise bataaoon main tumhe
    Mere liye tum kaun ho
    Kaise bataaoon, kaise bataaoon
    Kaise bataaoon main tumhe
    Mere liye tum dharam ho
    Mere liye imaan ho
    Tum hi ibaadat ho meri
    Tum hi to chaahat ho meri
    Tum hi mera armaan ho
    Takta hoon main har pal jisse
    Tum hi to voh tasveer ho
    Tum hi meri taqdeer ho
    Tum hi sitaara ho mera
    Tum hi nazaara ho mera
    Yudhyaan mein mere ho tum
    Jaise mujhe ghere ho tum
    Purab mein tum pachhim mein tum
    Utar mein tum dakshin mein tum
    Saare mere jeevan mein tum
    Har pal mein tum har chir mein tum
    Mere liye rasta bhi tum
    Mere liye manzil bhi tum
    Mere liye saagar bhi tum
    Mere liye saahil bhi tum
    Main dekhta bas tumko hoon
    Main sochta bas tumko hoon
    Main jaanta bas tumko hoon
    Main maanta bas tumko hoon
    Tum hi meri pehchaan ho
    Kaise bataaoon main tumhe
    Devi ho tum mere liye
    Mere liye bhagwaan ho
    Kaise bataaoon main tumhe
    Mere liye tum kaun ho
    Kaise

  8. #8
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Pyaar

    Pyaar

    Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,
    Woh Urh Gaya

    Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,
    Woh Gharoob Ho Gaya

    Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,
    Woh Badlon Main Chup Gaya

    Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,
    Woh Beh Gaya

    Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To,
    Woh Pighal Gaya

    Main Ne Barish Se Pyaar Kya To,
    Woh Baras K Thum Gaya

    Main Ne Aag Se Pyaar Kya To,
    Woh Bujh Gai

    Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To,
    Woh Murjha Gaya

    Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To,
    Wo Toot Gaya

    Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To,
    Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay

    Or Jab..Main Ne Insaan'on Se Pyaar Kya To,
    Woh Be-Wafa Niklay

    --------------------

  9. #9
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile hawa ke saath badalta hai in ka husn-e-sulook

    hawa ke saath badalta hai in ka husn-e-sulook
    haseen log bhi hote hain mausamon ki tarah

    log jab apni jawani ki qasam khate ahin
    yaad aata hai humein khuwab pareshan hona

    log iss shaher ko khushhaal samhaj lete ahin
    raat ke waqt bhi jo jaag raha hota hai

    ajeeb log hain kuch makan mein rehte hain
    nahi khabar ke yahan barishen bhi hoti hain

    gair logon ne kiya hai mere such ka aateraf
    apne logon ne sar bazar jhutlaya mughe

    jaga wahi hai magar log kho gaye hain kahin
    yahan to hum ne bhi kuch zindagi guzari thi

    ajeeb log mile kal tere diyar se dur
    jo khud ko bhool gaye aur tughe bhula na sake

    hum ne to apne ahbab se choten khain
    log ker lete ahin ghairon pe bharosa kaise

    --------------------

  10. #10
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile ay chashm e falak


    اے چشم فلک اے چشم زمیں ہم لوگ تو پھر آنے کے نہیں
    دو چار گھڑی کا سپنا ہیں دو چار گھڑی کا خواب ہیں ہم
    کیا اپنی حقیقت کیا ہستی’ مٹی کا ایک حباب ہیں ہم
    دو چار گھڑی کا سپنا ہیں دو چار گھڑی کا خواب ہیں ہم۔۔

  11. #11
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Hum ko yeh silaa bhi mohabbat ka mila hai

    Hum ko yeh silaa bhi mohabbat ka mila hai
    hum jis ko chahtay hai, ussay hum se gila hai

    Hum naam bhi laitay hai toh dartay hai qasam se
    affsoss kay har baar mera ghar hee jala hai

    Dil chahta hai hum bhi zamaanay ko mithaa dhay
    dartay hai faqat Rub se kay woh apna khuda hai

    Woh bhoool bhi jaaye humay toh ghum nahi hai
    chaaha hai jisay dil, woh yaha kis ko mila hai

    Kaliyo kee tarah hum bhi biker jaaye ge aik din
    yeh baat hai sachi kay yeh qismat ka likhaa hai


    --------------------

  12. #12
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile kis khauj mein niklay ho

    kis khauj mein niklay ho
    aik lamhay ko thehro to

    zindagi kay sabhi zaaiqay aas paas hi rehtay hain
    aur tum yu'n qadam pay qadam uthaaye jaa rahay ho
    apni pehchaan ko chor kay peechay
    khud hi aaghay barhtay jaa rahay ho
    ajnabiyat kay faasilay barhaatay jaa rahay ho

    aik lamhay ko thehro to

    kin bay-naam manzilo'n ko niklay ho
    kin anjaanay rasto'n pay chalay jaa rahay ho
    zindagi kahee'n aur door nahi'n
    basi hai tumharay sang yahee'n kahee'n
    kyou'n dooriyo'n mein saqoo'n kay mutlashi ho

    ruko, aik lamhay ko thehro to

    jis muqaam say chalay thay
    us muqaam ko samajhtay to
    ab bhi chalay jaa rahay ho
    udaasiyo'n ki dhool uraatay jaa rahay ho
    chaltay rehnay say kabhi rastay khatam nahi'n huay
    bay-naam manzilo'n kay safar kabhi khatam nahi'n huay
    kis an-daikhay milan ko tarsay jaa rahay ho
    jo ghariyaa'n abhi hai'n
    in ki qadar kiyay bina hi jaa rahay ho

    aik lamhay ko thehro to
    kis khauj mein niklay ho
    aik lamhay ko thehro to

    --------------------

Page 1 of 3 123 LastLast

Similar Threads

  1. Replies: 92
    Last Post: 27th September 2012, 05:40 PM
  2. SmS Collection ~~ You Can't Control Your Smile ~~ SmS Collection
    By ll_zalim_ll in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 48
    Last Post: 6th March 2012, 10:43 AM
  3. My Collection 22
    By Pagal_Azeem in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 39
    Last Post: 6th June 2010, 05:26 PM
  4. My Collection 20
    By Pagal_Azeem in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 28
    Last Post: 22nd July 2009, 10:55 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •