Page 1 of 44 123411 ... LastLast
Results 1 to 12 of 524

Thread: AZEEM collection

  1. #1
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Thanked
    0

    Smile `~`~`~NEW Update AZEEM collection~`~`~`

    toofan hai bijliya hai barish ye ho rahi thi kaisi
    her hasrat gir rahi thi aankhein ye ro rahi thi kaisi

    kale hai ye badal her aanso ro raha hai
    ayega ga ab toofa ayesa hi wo kah raha hai
    jazbo ke es safer main sazish ye ho rahi thi kaisi
    her hasrat gir rahi thi aankhein ye ro rahi thi ayesi

    sine main ye aag hai kaisi raoshni hai na jiska dhuwa hai
    shola banke ye aanso aankho main jal raha hai
    angare choo rahe thy aatish ye ho rahi kaisi
    her hasrat gir rahi thi aankhein ye ro rahi thi ayesi

    dil ka ye toofan jazbo ki maoj main tha
    bijli banke aarma hasrat ki qaid main tha
    badal jaise barsi kahish ye ro rahi thi ayesi
    toofa hai bijliya hai barish ye ho rahi thi kaisi
    her hasrat gir rahi thi aankhein ye ro rahi thi kaisi
    Last edited by ~*hiway*~; 20th May 2009 at 09:50 PM. Reason: NEW Update AZEEM collection

  2. #2
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile


    Fiker Hai Tumhari

    fiker hai tumhari her sanso ko meri
    fiker hai tumhari her dherkan ko meri
    kitni fiker hai kaise ham batai
    ke bina tere nabz nahi chlti ye meri


    teri aawaz ki feker hai sadao ko
    teri mohbbat ki fiker hai wafaao ko
    fiker hai tumhri in hawao ko
    fiker hai tumhri kerwat badlti baho ko meri


    kaise hoge tumhre din aur kaisi hogi ratein?
    akele jab hoge tu kis se karoge dil ki batein?
    hame yaad kerke Aah jab tum bhroge
    un sanso ko simat ker fir del se kahoge
    fiker hai tumhari her yaado ko meri


    mahfil main tanhayi se milke
    fiker kare tumahari sanso main ghol ke
    ankho ke tasaour se dekhe tumhe her dam
    her chaire main ankhein tumhe dekhe qasm se
    fiker hai tumhari us diwanghi ko meri


    fiker hai tumhri aarzo se arzo ki
    jo milker tum se her kami kerti thi pori
    aur jo choop ke mujh main rahti thi adhori
    jo pal pal ke safer main hoti thi zarori
    fiker hai tumhari un jazbo ko meri


    faslo ke woh pal her pal ye soche
    waqt ke halat k tumhe na mile dhoke
    koi gerdish waqt ki tumhe na sataye
    koi kami jozbo main milke tumhe na jalai
    fiker hai tumahri her fiker ko meri


    meri aahat ka koi jhoka tumhe sataiga
    palat palat ke dil tumhra mujhe hi bolaiga
    raaste bhle le jai tumhe kahi bhi
    dil tumhara yehi mere pass laot ke laiga
    fiker hai tumhari un bato ko meri


    rooh main uter ke jazbo se milte tu hoge
    takiye ko lipat ke baho main aahe bherte tu hoge
    fiker main fiker tum etni kerte tu hoge
    ke takiye ko choom ker naam mera lete tu hoge
    fiker hai tumhari un baho ko meri


    rato ke andhere jab pokarege tujh ko
    takiye se lipat ker ham dhondege tujhko
    aanso ki bonde zulfo se milke teri baat sunaigi
    bhighi hoyi zulfe yaado ke mele sajaigi
    fiker hai tumhari un soni rato ko meri
    fiker hai tumhri kerwat badlti baho ko meri


    teri talash main teri aas main
    fiker ham karege kal ki aaj main
    chaand ke aaghaz main suraj ki aag main
    fiker ham karege her eak raaz main
    kiu ke fiker hai tumahari her fiker ko meri
    fiker hai tumhari her sanso ko meri
    fiker hai tumhari her dherkan ko meri


    By AZEEM IQBAL & FARUKH SHAHZAD

  3. #3
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Mohbbat Ke Gher Main

    Hasraton ki diwaaron main pyaar ki eak eak Eant hai
    mohbbat ke gher main chahat ka sangheet hai

    pyaar se banya hai ye gher aashiqon ne
    dil k derwaza main dherkon ki shyenayi
    sanso main jo gungunai wo aashiqon ka geet hai


    aye mohbbat tere fershiton ki bandaghi rang layi
    sachi chhat kerne walon k aage jhook gayi khodayi
    es mohbbat ki dunya main hazaron meet hai


    pyaar ka jo gher bana ke pyaar se hai sajaty
    khaab apne jo banaty uske liye mit jaty
    ayese aashiqon ki hoti jeet hai


    jismain sazish hai jismian khaish hai
    mit k jo muskoraye kaisi ye ranjish hai
    do dilon ko door kerne ki dunya ki tu porani reet hai


    aye meri wafa tu mere pyaar ki toheen na kerna
    hai zamane bher k gham esmain per tu na darna
    meri diwanghi hi mere pyaar ki jeet hai


    Hasraton ki diwaaron main pyaar ki eak eak Eant hai
    mohbbat ke gher main Pyaar ki jeet hai


    By AZEEM IQBAL & FARUKH SHAHZAD

  4. #4
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Baat hi baat may
    Zehen uljhay sahi
    hont sookhay sahi
    yar bichray sahi
    tum bhi roothy sahi

    aik safar tu kata
    apna gham tu bata
    sukh mila shaam ka
    dukh ka sooraj hata

    ham nay soocha yahi
    ham nay samjha yahi

    dil ka naghma alag
    dil ka nooha alag
    dil nay dhooka diya
    dil ka dhooka alag

    ishq ki jheel par
    dil ka sabza alag
    tum ko batlain kia
    dil ka qissa alag

    kitna aabad tha
    kitna weeran hay
    aysa lagta hay ab
    aan ki aan hay
    ye kasak ye chubhan
    is ki pehchan hay

    phir bhi aao zara
    dil say batain karain

    baat hi baat may
    waqat tham jaaye ga
    tum agar hans diye
    khoon jam jaaye ga

    By AZEEM IQBAL & FARUKH SHAHZAD

  5. #5
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Hum Ne To Khair Tujh Se Shikayat Kabhi Na Ki
    Aisa Nahi Ke Dil Ne Baghawat Kabhi Na Ki

    Kis Haal Mein Hain Tere Satye Hue Log
    Tu Ne Yeh Poochne Ki Zehmat Kabhi Na Ki

    Mehsoos Kya Kare Ga Woh Auron Ke Dard Ko
    Jis Ne Khud Apne Aap Se Ulfat Kabhi Na Ki

    Chaha Hai Main Ne Jis Ko Bari Shiddaton Ke Saath
    Us Tarah Se Us Ne Mujh Se Mohabbat Kabhi Na Ki

    Har Dastaan Teri Bohat Ghor Se Suni
    Lekin Bayan Apni Shikayat Kabhi Na Ki

    Eik Khwab Tha Apni Shabon Per Raha Muheet
    Kya Khawab Tha Kisi Se Wazahat Kabhi Na Ki

    Eik Aag Thi Ke Jlate Rahe Jis Mein Umr Bhar
    Eik Dard Tha Ke Jis Mein Khayanat Kabhi Na Ki

    By AZEEM IQBAL & FARUKH SHAHZAD

  6. #6
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Main Tum Ko Chahoon
    Tum Kisi Aur Ko Chahoo
    Ye Mumkin Hi Nahin

    Hokar Mere Kisi Aur K Raho
    Ye Mumkin Hi Nahin

    Mujh Se Bewafai Karke
    Kahan Chaldiye Ho Tum
    Ab Kisi Our Se Wafa Karo
    Ye Mumkin Hi Nahin

    Maine Tumhari Khatir
    Sab Kuch Chor Diya Hai
    Tum Mujh Ko Chor Kar Jao
    Ye Mumkin Hi Nahin

    Is Dil Main Sirf Tum Ko
    Maine Basaya Hai
    Kisi Our Ko Dil Main Tum Basao
    Ye Mumkin Hi Nahin

    Zindigi Main Rahi K Ab Ahi Chuke Ho
    Tum Koi Our Banao Ab Hum Safar
    Ye Mumkin Hi Nahin


    By AZEEM IQBAL & FARUKH SHAHZAD

  7. #7
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Hai Dua Yaad Magar Hurf-e-Dua Yaad Nahee
    Merey Naghmaat Ko Andaaz-e-Nawa Yaad Nahee

    Mein ne PalkoN Se Dar-e-Yaar Ko Dastak Di Hai
    Mein Wo Saayil Hoon Jisey Koi Sada Yaad Nahee

    Mein Ne Jin Ke Liye RaahoN Mein Bichaya Tha Lahoo
    Hum Se Kehtey Hain Wohi Ehd-e-Wafa Yaad Nahee

    Kesey Bhar AayeeN Sar-e-Shaam Kisi Ki Aankhain
    Kesey Tharrayi ChiraaghoN Ki Zia Yaad Nahee

    Sirf Dhundlaaye SitaaroN Ki Chamak Dekhi Hai
    Kab Hua, Kon Hua Kis Se Khafa Yaad Nahee

    Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarah Kaatti Hai
    Jaaney Kis Jurm Ki Paayi Hai Saza Yaad Nahee

    Aao EK Sajda Karein Aalam-e-Madhosh Mein
    Log Kehtey Hain Ke Saghar Ko Khuda Yaad Nahee


    By AZEEM IQBAL & FARUKH SHAHZAD

  8. #8
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Rokte Rokte na Rok sakhi, usse qaid mai na kar sakhi
    Na Dil ki Baat Suna sakhi, na Dil ki Khuwaish bata sakhi


    Wo tha nahi pass mere par soch mai tha har grahi
    Na us ko mai bhula sakhi, na apne pass bula sakhi


    Socha buhat ke baat karu, thori usse jaan pehchan karu
    Na batein uski sun sakhi, na Kissey apne suna sakhi


    Yaad mai hai wo aik lamha, jo bus yaad bhan ke reh gaya
    Na usko mai thaam sakhi, na Dil ki aag bujha sakhi


    Es Hajom-e-duniya mai usko bhi hai talab shayad
    Na phir wo mujhe dhoond saka, na pata mera chala saka


    By AZEEM IQBAL & FARUKH SHAHZAD

  9. #9
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Kabhi bhety hai bebasi se
    Kabhi bhety hai ye khoshi se
    tu kabhi bah jaty hai presha zindaghi se
    Pathron ko bhi moum kerde ye apni nami se

    Bebasi k ye Aanso rolai mujhe
    Hadse kaise kaise aazmai mujhe
    dard ki kaisi emaart hai ye
    ankho se jab ye chalke tu gir jai ye


    Jab farishton ki ankhon se bhe ye ager
    tu Pathron ki dil bhi pighal laye ye


    apne halaat pe her kisi baat pe
    ger andhron main chope tu ujalo se jal jai ye


    dard ki aag main etna ye jale
    ho khoshi bhi ger tu nikal aaye ye


    Qaid enko karege ham kaise bhala
    ankhon se na bahe tu dil ko rolai ye


    kitne sadmon ka janaza utha ke
    aansuo ka kafan site jai ye


    ab enhe ham ankhon main ger chopa lege
    tu ankhon main rah k sadma ban jai ye


    Aye aanso tere kayi chaire hai
    rote rote bhi kabhi muskorai ye

  10. #10
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    bad marnay kay maray tum aik kahani likhna

    kaisi guzri mere tujh sang sab zubani likhna

    or yah bhi likhna kay maray hont khusi ko tarsay umar bhar

    kaisay baha mare ankhoon say vo pani likhna

    yah to hal-e-ishq hai jo tum nay likh dala

    parnay valay en jazbatoon ko khud tak hi rakhna

    tare likhee char satrain tu ban gai ghazal

    hum to ghuzar jayain gay sang zamanay

    lakin kabhi tu apni mahfil main hamain yaad rakhna

    ab togham na hoga hamain koi dard na hoga

    bas tum yoon hi apnay laboon pay yah hansi sajay rakhna

  11. #11
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Tanha tanha thi zindaghi
    Tanha tanha thi her kami
    tanha tanha thi her khoshi
    tahnha tanha thi aashiqi
    Tanha Tanha Tanha Tanha

    leke ayegi kami
    koun si woh nami
    jis k piche chopi ro rahi thi bebasi
    Tanha Tanha thi her nami
    ro rahi thi kaheen
    Tanha Tanha Tanha Tanha

    mil saka na jo hame dhoondte hi rah gaye
    jo mila tha hame us se door hogaye
    chal rahi thi bebasi leke apni her kami
    maanghta tha dil wo jo na mil sakega kabhi
    Tanha Tanha thi dil ki khoshi
    dar raha tha her yaqeen
    Tanha Tanha Tanha Tanha

    leke ayega naseeb ayese bhi raastein
    ankhein dekhegi bebasi ke haadse
    mit sakti hi nahi jo lkirein thi mili
    dekhti thi bebasi haal tera zindaghi
    bhaag saktaa tu nahi haal ayesa hai abhi

    ker raha tha kamzoor tanhayi ka ye safer
    her tarf andhera hai jaiga tu kidher
    mhefilon ki aad main bhi tanha thi ye nazer
    choop ke ro raha tha tnhayi ka ye safer
    haal E dil na kah saka kaisa tu hai basher?
    tanha hai raoshni mil raha tha tu nahi
    apne hi sawalon se tanha choop gaya kaheen
    TAnha Tanha Tanha Tanha

  12. #12
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Perdais

    bhut roka khood ko fir bhi jazbaat rola gaye
    mahsoos hota hai ke ham bhut door aagaye

    faslon ki qaid main chope thy lamhe zindagi ke
    waqt ki zanjeer se ham tu takraa gaye

    dhoondty thy sahaira main aarzo ka chaman
    Kanton pe chalker pholon se zakham khaa gaye

    pochty thy raaste bhi apne gher ka nisha
    ajnabhi shaher main aake ham tu ghebra gaye

    dard judayi ka hota hai kaya?
    Faasle door kerke hame bata gaaye

    ayi thi koi awaaz sonane dil ki sada
    bol honton pe aake thar thara gaye

    perdais ke es shaher main tha bebasi ka safer
    Kaarwan ko chord ke ye kaha ham aagye

    ro raha tha tersta howa her eak pal
    haadse hame ye kaya dikha gaye

    kat raha tha alfaaz bhi siskiun se
    kah na pai ke ham khaa aagaye

    kho ke aya tha kaya wo perdais se kanwal
    Aansouo se bhre aarma use bata gaye

    bhut roka ham ne fir bhi jazbaat rola gaye
    mahsoos hota hai ke ham bhut door aagaye

Page 1 of 44 123411 ... LastLast

Similar Threads

  1. Replies: 92
    Last Post: 27th September 2012, 05:40 PM
  2. Azeem allama iqbal ki azeem shaeri
    By farhanleos in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 1
    Last Post: 11th August 2011, 01:07 PM
  3. Azeem Inqilab+Azeem Shakhsiyat
    By baniazkhan in forum Halat-e-Hazra
    Replies: 0
    Last Post: 12th January 2011, 04:10 PM
  4. Aik Azeem Insaan - Aik Azeem Maqsad Par!!!
    By -RajpuT- in forum Tanz-o-Mazah
    Replies: 2
    Last Post: 2nd December 2009, 09:34 PM
  5. Azeem Lateefee Collection (new)
    By Pagal_Azeem in forum Tanz-o-Mazah
    Replies: 41
    Last Post: 4th August 2009, 09:59 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •