Dooston is thread mein app logoon ko Pakistan Ke Liye Apni Dua Likhni hai or dunya ko yeh batana hai k hum aaj bhi apne Pyaare Pakistan se pyaar karte hain take dushmanoo'n ke dil mein dehshat beth jai.
Pakistan Zindabad
Dooston is thread mein app logoon ko Pakistan Ke Liye Apni Dua Likhni hai or dunya ko yeh batana hai k hum aaj bhi apne Pyaare Pakistan se pyaar karte hain take dushmanoo'n ke dil mein dehshat beth jai.
Pakistan Zindabad
Me har Namaaz main yahi dua karta hoon k
Ya Allah Pakistan ko Dunya Ka Khush hal tareen Mulk bana.Is sarzameen main Islami Qawaneen Nafiz Hoo.Pakistan ko Islami Dunya ka Markaz bana.Poore Dunya ke Faislay Pakistan K Hath mein hoon.or jis Pakistan Ka khwaab Allama Iqbal Or Quaid e Azam ne dekha tha wohi Pakistan Hamein Naseeb Farma.
Ameen
Pakistan Zindabad
Allah say dua hai kay Pakistan ko apnay hifz-o-amaan mein rakhey aur deshat gardi, ghurbat, nafrat, mehangai ki lahair say azaad karay; Aameen.
Allah humy zalim hukumrano, load-shedding, deshat gardi, ghurbat, mehangai, unemployment sae nejaat ata parmaye or Pakistan ko Islam ka mazbood killah banai.
Ae Allah Hamare mulk ko hamare or apne piyare mazhab k lye salamat Rakh. Ae ALLAH hm me ehsas e zimadari peda kar k hm pne mulk k liye kuch esa kar saken jo es ko taraqi ki taraf gamzan kar sake na k tanazuli ki taraf. Ameen
Boohot Khoob duaen ki hain app donoo ne
Zindabad
Ay Mere Allah Is Mulq_e_Pakistan men ISlami Qanon Jaari Farmaen or Is Watan k Logon Ko Koush wa Shadab Rahkey
Ameen
INSHALLAH , jab hum sab mil kar ALLAH SWT se toba karenge to ye zalim hukmaran hamain yahan nazar nahin ayenge but uske liye jo wada hum ne ALLAH SWT se Pakistan mangte waqt kiya tha use poora karna hoga , Pakistan main Islam ke Nizaam ko Nafiz karna hoga tab hi Pakistan main har cheez achi hogi warna kuch bhi acha nahin hoga , hamare ye zalim hukmaran Yahood o Nasara ke Ghulam hain wo unka Nizaam Pakistan main lana chahte hain , so Hamain inse larna hoga .............. Pakistan aur Afghanistan to bane hi Islam ke liye hain
Bookmarks