Lafz RAMZAN kay meaning may logo ko ikhtilaf hay baaz kehtay hay kay Ramzan ALLAH TAALLAH ka isamy girmai may say 1 nam hay pas kaha jata hay shahr-e-Ramzan(ramzan ka mahina yani ALLAH TALLAH ka mahin) jis tarha rajab ko shahar-eALLAH alasam kaha jata hay ...Hazrat jaafar sadiq razi ALLAH anhu apnay aba o ikram say riwayat kartay hay kay NABI KAREEM SALLALAHO ALAY WASALAM na farmaya Ramazan ka mahina ALLAH ka mahina hay hazrat ans bin malik razi ALLAH anhu farmatay hain kay NABI KAREEM SALLALAHO ALAY WASALAM nay irshad farmaya kay ramzan na kaho balkay us tarha nisbat karo jis tarha ALLAH nay Quran pak may isay apni taraf mansoob kartay huway farmaya shehar ramzan.
Hazrat asma'i ki riwayat hay kay Hazrat abu umro nay farmaya is mahinay ko ramzan is liye kehtay hay kay is may garmi ki waja say oonto(camel) kay bachay garam ho jatay hay.
dosray logo nay kaha Ramzan k waja tasmia yeh hay kay is may garmi ki waja say pathar garam ho jatay hay Ramza garam kiye huway patharo ko kehtay hain.
yeh bhi kaha gaya hay kay ramzan is liye kehtay hay kay is mahinay may gunah jal jatay hay.
NABI KAREEM SALLALAHO ALAY WASALAM say yeh bat marvi hay kaha gaya hay kay is mahinay may Dil,Wazz or akhirat ki fikar ki garmi say behrawar hota hay jis tarha rait or pathar soraj ki garmi say garam ho jatay hain.
Khaleel kehtay hay kay yeh lafz Ramz say makhoz hay or yeh wo barish hay jo mausam khiza may barasti hay is ko ramzan is liye kehtay hay kay yeh mahina insani badno ko gunaho say dho dalta hay or dilo ko khob pak kar deta hay