Baar’ha tujh se kaha tha mujhy apna na bana
Ab mujhy chorr k duniya mein tamasha na bana
Na dikha paye ga tu khuwab meri aankhon k
Barha tujh se kaha tha mujhe apna na bana
Ek yehi gham mery marny k liye kafi hai
Jaisa tu chahta hai mujh ko waisa na bana
Aik baat aur pattay ki main bataon tujh ko
Aakhirat banti chali jaye gi tu duniya na bana,
Ye Khuda ban k riaayat nahi krty hain “Wasi”,
Husn waalon ko kabi qibla o kaba na bana…!!
Bookmarks