[B]aj main aik bauhat important issue pe bat karna chata hon,jasa ajkal har koi khub sa khub tar ki
talash main hai,har koi apni har khowish ko pora karna chata hai khas tor par khubsorti kaa
hawalasa log hazron nit niya tariqon sa apni dream personality banana chata hai,chaha wo face ki
khubsorti ho,balon ki,ya kabroon ki,in sab ka sath ajkal aik or problem na bhi sari nojawan nasal ko
apni lapat main la lia hai,or wo ha height ka problem yani Kaad lamba karna ka problem,ji han ya
problem ajkal hamari socity main buhat zyada pada ho gia hai.loog kad chota hona ki waja sa
ahsaas-e-kamtari ka shikar ho raha hain.iss ki bari waja bhi hamari socity hi hai,nojawan
larka,larkian jab un par jumla kasta hain to yakini bat hai un ka andar aik ahsas-e-mahroomi pada
ho jati hai.or wo ahsaas-e-kamtari ka shikar ho jata hain.iss problem kaa shikar sirf boys nahi balka
girls bhi hain.or hata ka larka larkion ka rishta main bhi kaad ko khasi tarji di jati hai,ka hamari to
bahoo ka kad lamba yani 6 foot hona chahiya,chaha apna bata 2 inch ka ho,or wohi problem boys
ka sath bhi ka hamara damad to 6 ,7 foot ka ho tab baat bana gi.waghra waghara.....
agar iss ka ilag ki bat ki jia toh ya aik badkismati hai ka iss ka koi solid ilaj abhi tak 100% toh
samna nahi aiya.iss waja sa log mukhtalif jaghon par apna waqt or pasa barbad kar raha hain.kuch
log yoko height ka mashwara data hain lakin ilm ka mutabik iss ka koi khas fiada nahi hai....
1.main na ya thread is liya likha hai ka plzzz sab sa pahla toh sab log dosroon ka mazaq urana
band kar dain,app toh bhohat acha hain lakin agar koi or asi harkat ap ka samna kara toh usa
rokain ka ya ghalat baat hai,jo ksi ko dhokh data hai,Allah us ko kabhi kush nahi rakhta.
2.agar ksi ko is ka koi ilag pata ho to wah yahan zaroor share kara shid ksi ka bhala ho jia...
3.Allah na ap ko jo kuch nawaza hai us par us ka shukr ada karain naka us sa gila,han Allah sa dua
zaroor mangan ya koi buri bat nahi,apni har khawish Allah sa mangian wo zaroor pori kara ga..
4.apni kosish jari rakhan kad yani height barhana ka lia steaching exercises karain,running
karain,cycle chalain,milk or calcium sa bharpor ghiza khaian...
akir ma phir wohi baat ka kush rahain jo Allah na app ko dia usi pa shukr ada karain ,or ksi ko kuch
bhi pata ho height increase karna ka bara main to wo zaroor share kara.......
Allah ap sab ki tamam dili muradan puri kara,Mera father ko plzzzzzzzz duaon main yad rakhia ga.
thanks
Bookmarks