Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 12 of 28

Thread: Maa ( Mother )

  1. #1
    Join Date
    17 Jan 2008
    Location
    UAE
    Age
    38
    Posts
    35
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default Maa ( Mother )

    ...
    Attached Images Attached Images   
    آئی ٹی دنیامیں سیگنیچرز میں اتنے بڑے سائز کی امیج لگانا سختی کے ساتھ منع ہے۔۔۔آئی ٹی دنیا ٹیم

  2. #2
    Join Date
    17 Jan 2008
    Location
    UAE
    Age
    38
    Posts
    35
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default sab doston k naam...

    Aap sab doston k naam...'' Bhool Na Jana Rehmat Ki Barsaat Ko ''

    Aay Insan


    Jab Tu Peda Howa Kitna Majbour Tha
    Yeh Jahan Teri Socho Se Bhi Dour Tha



    Hath Paon Bhi Tab Tere Apne Na The
    Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapne Na The



    Tujh Ko Ata Tha Sirf Rona Hi Tha
    Doodh Pe Ke Kaam Tera Sona Hi Tha



    Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maan Ne Teri
    Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maan Ne Teri



    Maan Ke Saye Main Parwan Chalne Laga
    Waqt Ke Sath Qad Tera Barne Laga



    Ahista Ahista Tu Kariyal Jawan Ho Giya
    Tujh Pe Sara Jahan Mehrban Ho Giya



    Zor Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
    Khood Hi Sajne Laga Khood Hi Sanwarne Laga



    Aik Din Ik Haseena Tujhe Bha Gayi
    Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayi



    Farz Apne Se Tu Dour Hone Laga
    Bij Nafrat Ka Khood Hi Tu Bone Laga



    Pheer Tu Maan Baap Ko Bhi Bhulane Laga
    Teer Bato Ke Pheer Tu Chalane Laga



    Baat Be Baat Unn Se Tu Ladne Laga
    Qayda Ik Naya Tu Pheer Padne Laga



    Yaad Kar Tujh Se Maan Ne Kaha Ik Din
    Abb Humara Guzara Nahi Tere Bin



    Sunn Ke Yeh Baat Tu Tesh Main Agiya
    Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Giya



    Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maan Se Kaha
    Main Tha Khamosh Sub Dekhta Hi Raha



    Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
    Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tor Do



    Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
    Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro



    Beth Kar Ahain Bharte The Woh Raat Bhar
    Inki Ahon Ka Tujh Par Howa Na Asar



    Aik Din Baap tera Chala Roth Kar
    Kese Bikhri Thi Phir Teri Maan Tout Kar



    Phir Woh Be Bass Ajal Ko Bulati Rahi
    Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi



    Aik Din Mout Ko Bhi Taras Agiya
    Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Giya




    Ashk Ankhon Main The Woh Rawana Howi
    Mout Ki Aik Hichki Bhana Howi



    Ik Sukoon us k Chehre Pe Chane Laga
    Pheer Tu Mayyat Ko Iski Sajane Laga



    Muddatain Ho Gayi Aaj Buda Hai Tu
    Jo Para Touti Khatiya Pe Kora Hai Tu



    Tere Bache Bhi Abb Tujh Se Darte Nahi
    Nafrate Hain Muhabbat Woh Karte Nahi



    Dard Main Tu Pukare Ke O MERI MAAN
    TERE DAM SE ROSHAN THE DONO JAHAN



    Waqt Chalta Rahe Waqt Rukta Nahi
    Tout Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi



    Ban Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishan Reh Giya
    Dhonde Zor Tera Kahan Reh Giya



    Tu EHKAM-E-RABBI Bhulata Raha
    APNE MAAN BAAP KO TU SATATA RAHA



    Kaat Le Tu Wohi Tu Ne Boya Tha Jo
    Tujh Ko Kese Mile Tu Ne Khoya Tha Jo



    Yaad Kar Ke Giya Dor Rone Laga
    Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Hone Laga



    Mout Mange Tujhe Mout Aati Nahi
    Maan Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi



    Tu Jo Khanse Tu Aulad Dante Tujhe
    Tu Hai Nasoor Sukh Kon Bante Tujhe



    Mout Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
    Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par



    QADAR MAAN BAAP KI AGAR KOI JAAN LE
    APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE


    Aur Leta Rahe Woh Baro Ki Dua
    Is Ke Dono Jahan Iska Ka Haami KHUDA


    Yaad Rakhna Tu ARSH Ki Is Baat Ko
    Bhool Na Jana REHMAT KI BARSAT Ko







    Request:
    please,
    jin logo k pas Maa Baap jaise hasti mujood hain.wo on ki qadar karin or Islam main b hai jo Apni Maa k cheray per aik nazar piyar say dalta hai tu os ko 1 Haj jitna sawab milta hai..es liye Aaj say itni qadar or muhabat karo ta k kal ko aap ko koi pachtawa na ho jab wo pas na houn...
    Wo janat jis k liye hum muslman sari umer nimaz parhtay hain jis ko panay k liye hum haj kartay hain achay kaam kartay hain ta k hum ko janat milay...
    Magar
    Aik lamha kia aap nay socha hai os janat ki kemat kia hai,qadar kia hai...kuch b nahi kio k os janat ki jaga Allha Pak nay Maa k qadmon main rakhe hai.
    Wo janat jis k liye hum itna kuch kartay hain zara socho wo Maa k qadamo talay hain es say Maa ki qadar pehchano please...or ab aaj say abhi say ye faisal karo jo lamha mil raha hai Maa baap k sath gozarnay ka os ko zaya na karo or her lamhay ko muhabat say qadar say yadgar bana lo ta k jab wo pas na houn tu aap ko dukh na ho pachtawa na ho k aap nay on k liye kuch nahi kia....think about it please

    I miss you Maa....
    i cannt write any more...[/B][/B]
    Attached Images Attached Images  

  3. #3
    Join Date
    17 Jan 2008
    Location
    UAE
    Age
    38
    Posts
    35
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default Meri Maa...

    Maa


    Meri ammi ko bulaa de koi
    Warna mujhko hi sulaa de koi

    Mujhko bistar ki to aadat hi nahin
    Apni godi main jhulaa de koi

    Shayad aa jaayen wo rona sunkar
    Mujh ko bewajah rulaa de koi

    Mainey kaee roz se nahin khaya
    Us mohabbat se khilaa de koi

    Mujhko khwaahish nahin miley duniya
    Mujhko ammi se milaa de koi.....
    Attached Images Attached Images  

  4. #4
    Join Date
    17 Jan 2008
    Location
    UAE
    Age
    38
    Posts
    35
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default zalim Mati...

    Aanso, Dosti, Maa, Muhabbat, Muskurahat, Zindagi

    Aur In Sab Per Hi To Hamari Zindagi Muheeth Hai ......

    Aur MAA ....... MAA Kiya Hai ...... Maa Aik Khusboo Hai Jis Se Yeh Jahan Mehak Uthta Hai.

    MAA....Ke Baray Main A'arif Shafeque Ki Yeh Ghazal Mujhe Bhut Pasand Hai Umeed Hai App Logoun Ko Bhi pasand Aayay Gi....

    MAA .......



    Ho Gayay Jawan Bachchay Borhi Ho Rahi Hai MAA
    BeChiragh Aankhon Mein Khawab Boo Rahi Hai MAA

    Roti Apne Hissay Ki Day Kay Apne Bachchoun Ko
    Sabr Ki Rida Oadhe Bhooki So Rahi Hai MAA

    Dekh Kar Bahu Ko Kiya Yaad Aagaya Us Ko
    Kin Haseen Khaboun Mein Ajj Kho Rahi Hai MAA

    Sans Ki Mareza Hai Phir Bhi Thanday Pani Say
    Kitni Sakth Sardi Mein Kapray Dhou Rahi Hai MAA

    Muntazir Nigahain Hain Lab Pay Bus Dua'ain Hain
    Pal Do Pal Bhi Bachchoun Se Dur Jo Rahi Hai MAA


    Ghair Ki Shikayat Per Phir Kisi Shararat Per
    Maar Kar Mujhe Khud Bhi Ro Rahi Hai MAA

    Khelnay Se Jo Mujhko Rokti Thi Matti Mein
    Oaudh Kar Wahi Matti Ajj So Rahi Hai MAA
    Attached Images Attached Images  

  5. #5
    Join Date
    17 Jan 2008
    Location
    UAE
    Age
    38
    Posts
    35
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default Maa ki mohabat...

    Maa Ki Muhabat...


    maa ki mohabbat ka bhi andaaz juda hota hai,
    uski har daant mein bhi pyaar mila hota hai.

    raato ko jaag jaag kar mera khayal rakhna,
    mere saath sona aur mere saath jagna,

    khud bhooke rehna par mera pait bharna,
    uski qurbaniyon se har koi sehatyaab hota hai.

    uski har daant mein bhi pyaar mila hota hai.

    ungli pakadkar uski hamne hai chalna seekha,
    uski hi boli sunkar humne hai bolna seekha,
    tehzeeb ka aks jo mujhme dikhayee deta hai,
    wo bhi hai teri den,khud khuda bhi yeh kehta hai.

    uski har daant mein bhi pyaar mila hota hai.

    khud jaag jaag kar tune mujhe sulaaya,
    khud zakhm kha kar chalna mujhe sikhaya,
    meri shararaton ka bhi tune sitam uthaya,
    is saari qaynaat mein tujhse bada sirf khuda hota hai,

    uski har daant mein bhi pyaar mila hota hai

    tum hi meri khushi ka idaara ho meri maa!
    waqt-e-museebat mein tum hi sahara ho meri maa!
    mere liye khuda ki ek nishaani ho meri maa!
    mere liye to zindagi ki poori kahani ho meri maa!

    uski har daant mein bhi pyaar mila hota hai

    waqt-e-gham jab maa ke qareeb aoge,
    beshaq har ranj-o-gham se najaat paoge...
    Attached Images Attached Images  

  6. #6
    Join Date
    17 Jan 2008
    Location
    UAE
    Age
    38
    Posts
    35
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default sacha piyar

    ...
    Attached Images Attached Images  
    Last edited by khancute; 19th January 2008 at 04:47 PM.

  7. #7
    Join Date
    17 Jan 2008
    Location
    UAE
    Age
    38
    Posts
    35
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default plzz friends post sharing about Mother here in this page

    Assalam-o-Alaikum DostonWSLM::

    Kya Haal Hain Aap Sab K Umeed Key Theek Thaak Or KHush Bash Hon Gey

    Doston Maan (Mother) Aik Aisi Hasti Hey JIs Ka Is Duniya Main Koi Naim-ul-Badal Nahi Hey, Maan Aik HI Bohut HI KHoobsoorat Naam Or Us Sey Berh Ker Khoobsoorat Ehsaas Ka Naam Hey Is Hasti Ki Ehmiyat Ka Andaza Woh Lag Zyada Laga Saktey Hain Jo Is Naimat Sey Mehroom Hain Ya Is Naimat Key Hotey Huwey Bhi Us Sey Door Hain

    AnyHow, Humarey Bohut Sey Shairon Ney Maan (Mother)Per Bohut C Nazmain, Ghazlain Or Qeemti Batain Likhi Hain Jo Humain Dhoondney Sey Bhi Buhut Mushkil Sey Mitli Hain So Isi Liyey Main Yahan Aik Thread Ka Aghaaz Ker Raha Hoon Takeh Maan (Mother) Per Zyada Sey Zyada Sharings AIk HI Jagah Per Collect Ker Sakain

    Aap Members Sey Guzarish Hey Keh Jis Jis K Pass Bhi Maan (Mother) Per Koi Bhi Nazam Ya Ghazal Ho Usey Yahan Share Kerney Sey Guraiz Mat Kijiyey Or Achi Sey Achi Sharing Kijiyey Takeh Aap Bhi Lutf Andoz Hon Or Perhney Waly Bhi Yahan Sharings Perh Key Khush Ho Sakain

    Thanx
    Keep Sharing & Be Happy Always
    Attached Images Attached Images  

  8. #8
    Join Date
    17 Jan 2008
    Location
    UAE
    Age
    38
    Posts
    35
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default word's from our heart...

    words From Our Heart

    ALFAZ WO JO NAZRON SAY DIL MAIN UTAR JAIN OR KUCH SOCHNAY PER MAJBOR KAR DAY


    Ab Merey Liyey Roz Duwa Kon Karey Ga
    Yeh Farz Ada Maan K Siwa Kon Karey Ga

    Chupkey Sey Mujhey Chor K Chal Di Yeh Na Socha
    Ab Mujh Pey Dil-o-Jaan Fida Kon Karey Ga

    Duniya Main Wafadar Koi Maan K Siwa Hey ?
    Youn Maan Ki Tarah Mujh Sey Wafa Kon Karey Ga

    Baboo Or Mera Laal Kaha Kerti Thi Maan Tu
    Qaim Teri Mamta Ki Fiza Kon Karey Ga

    Kerney Ko Mujhey Kehti Thi Maan Sabar Humesha
    Ab Sabar Ki Talqeen Sada Kon Karey Ga

    Her Lamha Rulati Hey Teri Yaad Maan Mujhey
    Aansoo Ko Merey Khushk Bata Kon Karey Ga….
    Attached Images Attached Images  

  9. #9
    Join Date
    17 Jan 2008
    Location
    UAE
    Age
    38
    Posts
    35
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default Maa meri Maa

    ''Uterney hi nahi daiti mujh pe koi aafat
    meri maan ki duaon ne aasman ko rok rakha hai''


    Maan Meri Maan
    Main kia likhon teri hasti ke liay
    Main lafzon main kese tashbeh don tere piyar ki
    Meri zaat ko jo bakhsha hay tu nay
    us rang ko kia naam doon
    Main aks hoon teri zaat ka
    Main tujh se kese juda rahon
    Bas ashk hain meri ankhon men
    Main kia kahon
    Main kia likhon
    Bas tere peron ki dhool hoon
    Bas tere peron ki dhool hoon ...
    Attached Images Attached Images  

  10. #10
    Join Date
    17 Jan 2008
    Location
    UAE
    Age
    38
    Posts
    35
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default Maa sadqay tumharay...

    Maa Sadkay Tumharay...


    Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne
    Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne

    Jab bhi maa ka naam liya,
    os ka beshomaar pyar paya hai mai ne

    Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi
    Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne

    Jaagti rahi who raat bhar mere liye
    Jaane kitni raatein, osay jaghaya hai mai ne

    Zindagi ke har moadh(mor) par, jab huwa gumrah mai
    Iski hidaayat par, pakkar li seedhi raah mai ne

    Jis ki dua se har moseebat loat jaye,
    aisa farishta paya hai mai nay....
    Attached Images Attached Images  

  11. #11
    Join Date
    17 Jan 2008
    Location
    UAE
    Age
    38
    Posts
    35
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default Sab doston k Naam...

    Sab doston k naam...


    Main jidhar gaya,main jahan raha
    meray saath tha
    wohi aik saya-e-meharban
    woh jo aik chehra-e-abar, tha sar-e-asmaan
    pus-e-hur gumaan
    woh jo aik harf-e-yaqeen tha
    meray har safar ka ameen tha
    woh jo aik bagh-e-erum numa,sabhi mausamoon main hara raha
    woh ujar gaya........
    woh jo aik dua ka charagh saa meray raaston main jala raha
    woh bikhar gaya.......
    meray gham ko jarr say ukharta
    woh jo aik lams-e-azeez tha
    kissi kapkapatay say haath ka,woh nahi raha
    woh jo ankh rahti thi jagti meray naam par
    wohi so gayii......
    woh aik dua-e-sukoon thi meray rakht main
    wohi kho gayiii.........
    AAY KHUDA-E-WAHID-O LAM YAZAL
    teray aik harf kay said hain
    yeh zaman makan
    teray faislon kay huzoor main
    na majaal hai kissi harf ki,na kissi ko taab-e-sawal hai
    yeh jo zindagi ki mat'a hai
    teri dain hai,tera maal hai
    mujhay hai to itna malaal hai
    kay jab us ki sa'at-e-aakhri sar-e-rah thi
    main wahan na tha.....
    meray raaston say nikal gaii,woh jo aik jaa-e-panah thi
    main wahan na tha.......
    sar-e-shaam mujhay dhoondti,meri maan ki bujhti nigaah thi
    main wahan na tha.......
    meray chaar soo hai dhuan dhuan
    meray khwaab say meri ankh tak
    yeh jo sail-e-ashk hai darmayaan
    issi sail-e-ashk kay paar hai
    kaheen meri maan
    teray raham ki nahi had koi
    teray a'fw(maafi) ki nahi intiha
    kay to maan say barh kar shafeeq hai
    woh rafeeq hai
    kay jo saath ho to zindagi ki musaafatain
    yeh izziyatain,yeh rukawatain
    faqat aik nigah ki maar hain
    yeh jo khaar hain
    teray dast-e-mu'ajza saaz say
    gul-e-khush jamal-e-bahar hain
    meri iltija hai to bas yahi.......
    meri zindagi ka jo waqt hai,katay us ki ujli duaa'oon say
    teray durguzar kay huzoor main
    teri barkatoon kay hisaar main
    woh jo khaas chashm-e-karam main hai
    ussi roshni ki qatar main
    kissi cheez ki bhi kami nahi
    teri bakhshishoon kay diyaar main
    meri maan ki rooh-e-jameel ko
    sada rakhna apnay jawar main
    sada pur faza woh lahad rahay
    teray lutf-e-khaas ki chaoon main...
    Attached Images Attached Images  

  12. #12
    Join Date
    17 Jan 2008
    Location
    UAE
    Age
    38
    Posts
    35
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default Aik khowab Aik khayal Apni Maa ka...

    ''Aik khowab Aik Khayal Apni Maa Ka''


    Raat Phir Khuwaab Main Aa Kar Mujhse
    Meri Ammi Ne Kuch Sawaal Kiye
    Usse Pahley Mujhey Duaa Ye Di
    Khuda Karey Ke Tu Sau Saal Jiye
    Unki Aankhon Main Mohobbat Bhi Thi
    Afsos Bhi Tha
    Ek Aanso Bhi Tha Un Aankhon Main
    Jo Chillata Bhi Tha, Khamosh Bhi Tha
    Mujhse Poocha Ke Betey Kaisey Ho
    Koi Diqqat To Nahin Hai Tumko
    Phir Kaha!!!!
    Tumko Maloom Hai Kya
    Main Bari Takleef Main Hoon
    Jab Se Laiti Hoon So Nahin Payee
    Tumhaari Wajah Se Main Khul Ke Ro Nahin Payee
    Terey Gunaah Mujhko Saanp Banke Danstey Hain
    Farishtey Aakar Har Roz Fiqrey Kastey Hain
    Tumhi Bataao Beta Mainey Kya Kami Ki Thi
    Merey Samjhaney Main Kami Thi Kya
    Ya Meri Tarbiyat Adhoori Thi
    Kyon Burey Kaam Roz Kartey Ho
    Kyon Nahin Us Khuda Se Dartey Ho
    Jisney Tumko Ye Jaan Bakshi Hai
    Jisney Tumko Amaan Bakshi Hai
    Laut Kar Jiske Paas Jaana Hai
    Kya Usey Munh Nahin Dikhana Hai
    Kya Tumhein Is Liye Padhaya Tha
    Kya Tumhein Yehi Sab Sikhaya Tha
    Ki Apney Ilm Par Ghuroor Karo
    Apney Nafs Ko Masroor Karo
    Jab Bhi Bolo To Bas Galat Bolo
    Zulm Dekho To Lab Nahi Kholo
    Chorkar Deen Bhool Kar Mazhab
    Apni Auqaat Note Main Taulo
    Sach Batao Ki Kya Ye Qissa Hai
    Kya Ye Andaaz Meri Tarbiyat Ka Hissa Hai
    Mujhko Afsos Nahin Ke Tu Mujhey Bhool Gaya
    Ranj Ye Hai Ki Mera Jeena Hi Fizool Gaya
    Main To Jee Key Bhi Roz Marti Hoon
    Main Tujhey Roz Yaad Karti Hoon
    Jis Tarah Jeeney Ka Aghaaz Kiya Hai Tuney
    Uskey Anjaam Se Main Darti Hoon
    Khuda Karey Ki Tujhey Ab Bhi Samajh Aa Jaye
    Koi To Aakey Tujhey Seedhee Raah Dikha Jaye
    Ki Ikhtitaam Ho Teri Gunah Ki Shaamon Ka
    Mujhey Bhi Ajr Miley Terey Naik Kaamon Ka ...
    Attached Images Attached Images  

Page 1 of 3 123 LastLast

Similar Threads

  1. mor, maa, mother
    By jumma111 in forum Pashto
    Replies: 12
    Last Post: 24th July 2012, 03:04 PM
  2. Mother Is Mother
    By Shehzad Iqbal in forum Photo Gallery
    Replies: 25
    Last Post: 10th April 2010, 08:45 AM
  3. Mother
    By cyber-ghost in forum Videos
    Replies: 7
    Last Post: 6th April 2010, 11:28 AM
  4. Mother
    By DAWN in forum Photo Gallery
    Replies: 18
    Last Post: 20th December 2009, 12:22 AM
  5. Mother Day
    By *~Zaka~* in forum General Discussion
    Replies: 2
    Last Post: 10th May 2009, 05:48 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •