Results 1 to 6 of 6

Thread: I'M doin MIT in VU. Does any body help me in my education i am new plz.

  1. #1
    zohaib696 is offline Senior Member+
    Last Online
    3rd September 2013 @ 01:15 AM
    Join Date
    16 Feb 2009
    Location
    Karachi
    Age
    33
    Gender
    Male
    Posts
    344
    Threads
    138
    Credits
    940
    Thanked
    9

    Default I'M doin MIT in VU. Does any body help me in my education i am new plz.

    Assalamualaikum doston mene VU me MIT me admission liya hua hai magar campus mein MIT ka student sirf mein hi hu baaki sab shayad ghar mein learn karte hein magar mere samaj me nahin aa raha k me kese padhun kahan se padhun kiya note karu kiya likhu kis se share karun plz kisi ke paas mere masle ka solution ho ga warna me guaranteed fail kar dunga.or peeche reh jaunga.

  2. #2
    Join Date
    10 Jun 2009
    Age
    38
    Posts
    432
    Threads
    10
    Credits
    1,259
    Thanked
    25

    Default

    Wa Alaikum AsSalam

    Brother, aesay nahe soochtay ke fail ho jaun ga wagera wagera. Jahan tk notes ki bat hai wo VU kud provide karain gay ap ko. Ap ko online portal ka username aur password mila ho ga wahan se ap apnay lectures download kr saktay ho. Is ke aliwa ap apnay courses ki books bhi order kr saktay ho jis ki delivery ap ke ghar pr ho gi.

    Jahan tk paper ki bat hai, wo MCQ (Multiple Choice Questions) based ho ga jo sara lectures main se aay ga. Lectures ap ke campus main available ho gay jo ap USB main ghar le kr ja saktay ho ..un lectures ko achi tarhan sunain aur main main points ko note kr lain us ke baad apni book se un ko detail main parhain aur koe masla ho to apnay teacher ko online email bhejay ke is topic main yeh problem ap ko aa rahi hai.

    Jahan tk ap ne bat ki ke ap ke friends wagera nahe hai, aur combine study main problems ki bat ki ap ne to Distance Learning main ap dosron pr dependent rehna chor dein aur self study krain. Han bohat sarey VU ke forums hain jahan ap ko VU ke students milain gay aur wahan sirf VU ke courses ki bat hi hoti hai ap bhi wahan register ho jain aur apnay problems wahan post krain umeed hai ap ko MIT ke aur bhi students mil jain gay kyu ke pooray Pakistan main kafi students ho gay jo VU se MIT kr rahay hon gay.

    Aur last main, yeh mat soocheye ke ap akelay hain, ap ke tarhan aur bhi bohat se students hain jo VU se MIT kr rahay hain. Aur MIT is equivalent to 16 yrs education, is leye mehnat krain aur kam se kam 3GPA zoroor maintain rakhain.

    Aik tip dena chahun ga start ke semester main apni GPA achi maintain rakhain, end tk INSHALLAH achi rahay gi.

    Regards,
    MS TELECOMMUNICATION SYSTEMS
    BSCS HONORS
    CCNA & MCP CERTIFIED

  3. #3
    zohaib696 is offline Senior Member+
    Last Online
    3rd September 2013 @ 01:15 AM
    Join Date
    16 Feb 2009
    Location
    Karachi
    Age
    33
    Gender
    Male
    Posts
    344
    Threads
    138
    Credits
    940
    Thanked
    9

    Default

    Quote AtifRaza said: View Post
    Wa Alaikum AsSalam

    Brother, aesay nahe soochtay ke fail ho jaun ga wagera wagera. Jahan tk notes ki bat hai wo VU kud provide karain gay ap ko. Ap ko online portal ka username aur password mila ho ga wahan se ap apnay lectures download kr saktay ho. Is ke aliwa ap apnay courses ki books bhi order kr saktay ho jis ki delivery ap ke ghar pr ho gi.

    Jahan tk paper ki bat hai, wo MCQ (Multiple Choice Questions) based ho ga jo sara lectures main se aay ga. Lectures ap ke campus main available ho gay jo ap USB main ghar le kr ja saktay ho ..un lectures ko achi tarhan sunain aur main main points ko note kr lain us ke baad apni book se un ko detail main parhain aur koe masla ho to apnay teacher ko online email bhejay ke is topic main yeh problem ap ko aa rahi hai.

    Jahan tk ap ne bat ki ke ap ke friends wagera nahe hai, aur combine study main problems ki bat ki ap ne to Distance Learning main ap dosron pr dependent rehna chor dein aur self study krain. Han bohat sarey VU ke forums hain jahan ap ko VU ke students milain gay aur wahan sirf VU ke courses ki bat hi hoti hai ap bhi wahan register ho jain aur apnay problems wahan post krain umeed hai ap ko MIT ke aur bhi students mil jain gay kyu ke pooray Pakistan main kafi students ho gay jo VU se MIT kr rahay hon gay.

    Aur last main, yeh mat soocheye ke ap akelay hain, ap ke tarhan aur bhi bohat se students hain jo VU se MIT kr rahay hain. Aur MIT is equivalent to 16 yrs education, is leye mehnat krain aur kam se kam 3GPA zoroor maintain rakhain.

    Aik tip dena chahun ga start ke semester main apni GPA achi maintain rakhain, end tk INSHALLAH achi rahay gi.

    Regards,
    thanx bro for your reply and comment bro wo sab khair hai wo sab muj par depend karta hai k mein kitni mehnat karu but mera ek boht bara confusion hai plz wo solve kar dein bas MIT me har semester mein 6 course hein abhi me 1st semester mein hu us me mujeh tamam course padne hongein ya koi ek course choose karna hoga kyunke agar tamam course ki itni lambi lambi lecture ek din mein daily note mein paagal zarur ho jaunga magar degree haasil nahin kar paaunga agar sirf ek course choose karna hai usi mein mehnat karna hai tho theek hai warna mein boht pareshaan hoo ke kiya karun wese bhi kuch course ke lecture mujeh bilkul bhi ek lafz b samaj nahin aata pata nahin kiya karun.

  4. #4
    Join Date
    10 Jun 2009
    Age
    38
    Posts
    432
    Threads
    10
    Credits
    1,259
    Thanked
    25

    Default

    Brother,

    MIT degree ke course outline VU ki website per available hai. Total 4 semesters hain, aur har semester main ap ko 6 courses parhnay paray gay. Semester system main 6 courses parhna aik normal routine hai. Ap semester system main new hain is leye yeh ap ko mushkil lag raha hai. 1 course aik semester main parhna impractical hai aur is tarhan MIT ki degree hasil krnay main ap ko kafi years lag jain gay.

    Semester ke start main students ke pass option hoti hai, jis ki madat se ap number of courses kam barha saktay ho. For example next semester main ap 4 courses parhna chahtay ho 6 ki bajaye to ap sirf wohi add krwao gay aur unhi ki fee pay kro. Mager aik bat ka kiyal rakhain MIT ki degree hasil krnay ke leye ap ko sarey courses parhnay parey gain. Chahay ap 4 courses per semester kr ke parhain ya is se kam. Courses registration ke leye ap ko apnay campus ke management se contact krna ho ga ke ap ko itnay number of courses main register kya jaye.

  5. #5
    zain kazami is offline Junior Member
    Last Online
    22nd April 2013 @ 09:03 PM
    Join Date
    25 Jan 2012
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    1
    Threads
    0
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    thanks

  6. #6
    physiology is offline Senior Member+
    Last Online
    8th July 2020 @ 04:02 PM
    Join Date
    16 Oct 2012
    Age
    46
    Gender
    Male
    Posts
    578
    Threads
    178
    Credits
    653
    Thanked
    8

    Default

    virtual university mein video lectures mein jo parhaya jata hy aur books mein jo muwad hota hy wo same hota hy? qualify hony k liye video lectures ziada helpful hoty hain ya books ziada helpful hoti hain?

Similar Threads

  1. education for all
    By saeed imran in forum Introduction
    Replies: 5
    Last Post: 3rd August 2020, 05:59 PM
  2. Free education for higher education
    By Mr Matani in forum Overseas Study
    Replies: 9
    Last Post: 10th August 2017, 11:46 AM
  3. Replies: 4
    Last Post: 30th March 2013, 09:52 AM
  4. education
    By bilal_hm in forum Halat-e-Hazra
    Replies: 1
    Last Post: 29th July 2010, 06:12 PM
  5. IT Education
    By Ayaz Baloch in forum Introduction
    Replies: 12
    Last Post: 19th February 2010, 08:37 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •