Asslam Alaikum Doston :)
Yeh Tutorial Likhne ka maqsad un Members ko jo Websites banane ka shouq rakhte hen magar sirf
banwane ke bajaye khud ache se samajhna bhi chahte hen, un ko Basics samjhane ke sath sath mukamal
Step by Step Procedure with ScreenShots bhi batana hai, agar kisi Member ko 01% bhi is mutailiq
Knowledge na ho to woh bhi Insha`Allah sirf Procedure ko follow karte hue apni ek choti si website
Create kar sakta hai ;)
Jabki ScreenShots men koi bhi Step Skip nahin kiya gaya aor har ScreenShot par Action liye jaane wale
Hisse ko Highlight bhi kar diya gaya hai taki Members ko Follow karne men zara bhi Confusion na ho.
Yeh Tutorial 3 Hisson Par mushtamil hoga jis,
Number 1: Free - ****** se Domain Hasil karna,
Number 2: Free - 1FreeHosting se Aap ke Domain ke liye Hosting Hasil karna,
Number 3: Free - Website Banana :)

Domain: Woh website ka Address jise istemal men late hue Aap ki Website visit ki jaye,
Hosting: Woh Online Space jis par Aap ki Website ka Data Save kiya jaata hai,
NameServers: Server {Hosting} aor Domain ke Mabain Zariya-e-Rabita
Website: :p

Aayen to ab Shiru karte hen,
Sab se pehle to
www.******
par jayen aor jaisa 1st ScreenShot men highlight kiya gaya hai, theek usi tarah apne liye ek Domain
Hasil karen, Fast Result ke liye Aap apne Name se mutailiq bhi le sakte hen, jese ki yahan par
"knownstranger" liya jaa raha hai jo ki full format men kuch is tarah dikhega:
www.knownstranger.******
Aap apna name likhen aor phir "Check Availibility" par click karden,


Agar woh Domain pehle hi se registered hua to Aap ko is baat ki notification milegi aor sath hi same
Procedure use karte hue Aap zara different domain try kijiega, Agar Domain available hua to Aap ko us
Domain ki Price batadi jayegi, chand ek domain ****** par bhi aise hen ji ki khasusiyat ki waja se
us par thori buhut price rakhi gayi hai, jabki Normal Domains Aap ko wahan se Free men milenge jaisa
ki Humara Domain KnownStranger Free men diya jaa raha hai :)
is ki Price $0 batayi jaa rahi hai sath hi yeh available hai to phir dair kis baat ki, chalen ise
Registration ki taraf le chalte hen,
"Continue to Registraion" par Aap click karen,


Ab Aap ke pass jo new Screen aayi us par Aap ko Login hone ke liye kaha jaa raha hai, Par hum ne to koi
Account banaya hi nahin hua us site par :confused: Hihi, koi baat nahin :p Abhi bana lete hen ;)
Bottom-Right men Aap ko ek Linked Option "Create an account Now >>" nazar aa raha hoga, click it,


Ab ek Forum Aap ke saamne aaya hai, Aap apni information is men fill karden, Name, Date of Birth, Email
Address, ek Addad Password :p aor last men Capcha, yani ki jo Alfaz tasveer men dikhaye jaa rahe hen
unhen repeat karna hai, Terms Accept karen aor "Continue" par click karden,


New Screen par Aap ko ek Aor Capcha ko Repeat karana hoga sath hi Aap ko Password bhi Retype karna hoga
Jo Aap ne 1st Forum par Select kiya tha, is ke sath hi "Continue" par click karden,


Ab Agar Aap ne koi Mistake nahin ki to Aap ko koi Error Mosul nahin hoga Aor Aap ko phir wesi hi Screen
Nazar aayegi jesi 3rd Step par Login hone ke liye hui thi, Ab Aap ne jo is waqt Account Create kiya hai
Use Istemal men laate hue Email Address, Password aor sath men New Catpcha ka Answer dete hue Login ho
Jayen Aap,