Page 1 of 7 1234 ... LastLast
Results 1 to 12 of 76

Thread: {1} Free Domain, Free Hosting, Free Website {Domain}

  1. #1
    Join Date
    22 Oct 2009
    Location
    ~*Dream*World*~
    Gender
    Male
    Posts
    21,935
    Threads
    299
    Credits
    1,349
    Thanked
    1701

    Thumbs up {1} Free Domain, Free Hosting, Free Website {Domain}

    Asslam Alaikum Doston :)
    Yeh Tutorial Likhne ka maqsad un Members ko jo Websites banane ka shouq rakhte hen magar sirf
    banwane ke bajaye khud ache se samajhna bhi chahte hen, un ko Basics samjhane ke sath sath mukamal
    Step by Step Procedure with ScreenShots bhi batana hai, agar kisi Member ko 01% bhi is mutailiq
    Knowledge na ho to woh bhi Insha`Allah sirf Procedure ko follow karte hue apni ek choti si website
    Create kar sakta hai ;)
    Jabki ScreenShots men koi bhi Step Skip nahin kiya gaya aor har ScreenShot par Action liye jaane wale
    Hisse ko Highlight bhi kar diya gaya hai taki Members ko Follow karne men zara bhi Confusion na ho.
    Yeh Tutorial 3 Hisson Par mushtamil hoga jis,
    Number 1: Free - ****** se Domain Hasil karna,
    Number 2: Free - 1FreeHosting se Aap ke Domain ke liye Hosting Hasil karna,
    Number 3: Free - Website Banana :)

    Domain: Woh website ka Address jise istemal men late hue Aap ki Website visit ki jaye,
    Hosting: Woh Online Space jis par Aap ki Website ka Data Save kiya jaata hai,
    NameServers: Server {Hosting} aor Domain ke Mabain Zariya-e-Rabita
    Website: :p

    Aayen to ab Shiru karte hen,
    Sab se pehle to
    www.******
    par jayen aor jaisa 1st ScreenShot men highlight kiya gaya hai, theek usi tarah apne liye ek Domain
    Hasil karen, Fast Result ke liye Aap apne Name se mutailiq bhi le sakte hen, jese ki yahan par
    "knownstranger" liya jaa raha hai jo ki full format men kuch is tarah dikhega:
    www.knownstranger.******
    Aap apna name likhen aor phir "Check Availibility" par click karden,


    Agar woh Domain pehle hi se registered hua to Aap ko is baat ki notification milegi aor sath hi same
    Procedure use karte hue Aap zara different domain try kijiega, Agar Domain available hua to Aap ko us
    Domain ki Price batadi jayegi, chand ek domain ****** par bhi aise hen ji ki khasusiyat ki waja se
    us par thori buhut price rakhi gayi hai, jabki Normal Domains Aap ko wahan se Free men milenge jaisa
    ki Humara Domain KnownStranger Free men diya jaa raha hai :)
    is ki Price $0 batayi jaa rahi hai sath hi yeh available hai to phir dair kis baat ki, chalen ise
    Registration ki taraf le chalte hen,
    "Continue to Registraion" par Aap click karen,


    Ab Aap ke pass jo new Screen aayi us par Aap ko Login hone ke liye kaha jaa raha hai, Par hum ne to koi
    Account banaya hi nahin hua us site par :confused: Hihi, koi baat nahin :p Abhi bana lete hen ;)
    Bottom-Right men Aap ko ek Linked Option "Create an account Now >>" nazar aa raha hoga, click it,


    Ab ek Forum Aap ke saamne aaya hai, Aap apni information is men fill karden, Name, Date of Birth, Email
    Address, ek Addad Password :p aor last men Capcha, yani ki jo Alfaz tasveer men dikhaye jaa rahe hen
    unhen repeat karna hai, Terms Accept karen aor "Continue" par click karden,


    New Screen par Aap ko ek Aor Capcha ko Repeat karana hoga sath hi Aap ko Password bhi Retype karna hoga
    Jo Aap ne 1st Forum par Select kiya tha, is ke sath hi "Continue" par click karden,


    Ab Agar Aap ne koi Mistake nahin ki to Aap ko koi Error Mosul nahin hoga Aor Aap ko phir wesi hi Screen
    Nazar aayegi jesi 3rd Step par Login hone ke liye hui thi, Ab Aap ne jo is waqt Account Create kiya hai
    Use Istemal men laate hue Email Address, Password aor sath men New Catpcha ka Answer dete hue Login ho
    Jayen Aap,



    ~* W@R T!ll D3@t|-| *~
    ~* I'll Win Not Immediately But Definitely *~

  2. #2
    Join Date
    22 Oct 2009
    Location
    ~*Dream*World*~
    Gender
    Male
    Posts
    21,935
    Threads
    299
    Credits
    1,349
    Thanked
    1701

    Thumbs up

    Login hote hi Aap ko Aap ke muntakhib kiye gaye Domain ke baare men bataya jaa raha hai aor sath hi yeh
    Warning bhi di jaa rahi hai ki Aap apna Domain ki Settings set karden warna woh Delete kardenge :p
    Khair Hum ne pehle hi www.1FreeHosting.com ki Hosting use karne ka Faisla kar liya hai, is liye Hum
    Domain ko isi nisbat set karenge,
    Aap "Set up" par click karden,


    Aap apne Domains ko manage karne ki jaga par puhunch chuke hen, par jaisa ki Aap ne sirf 1 hi Domain
    liya hua hai wahan se is liye ek hi show ho raha hai list men, Ab Aap phir se "Set up" par click karden
    yan phir us message par "Please domain set upnow"


    Ab aap ko ek List ki surat 3 Options nazar aayenge, jin men Aasan Tareen NameServers set karne ka hai,
    Is liye Hum NameServers use karte hue baqaya 2 Options ko Ignore kardenge,
    Aap 1st Options NameServers hi ko select karen, to ab woh Expand ho jayega aor Aap ko 2 Text Boxes nazar
    Aayenge, lekin humen 1FreeHosting ko use karna hai aor is ke Server ke liye 4 NameServers set karna hen,
    Aap ko 2 Text Boxes ke niche hi[+ Add More Name Servers] aa raha hai, Us par 2 baar click karden taki 2
    Mazeed NameServers ke liye Text Boxes aajayen,
    Ab Aap un boxes men biltarteeb NameServers den magar 1FreeHosting.com ke, jo ki yeh hen;
    ns1.1freehosting.com
    ns2.1freehosting.com
    ns3.1freehosting.com
    ns4.1freehosting.com
    Aor phir "Set up" par click karden,


    NameServers sahi the, hum ne koi galati nahin ki, is liye Changes submit ho jaane ka message milega Aap ko,
    [IMG]http://i1136.***********.com/albums/n491/APSDadu/Free%20Domain%20Hosting%20Website/co-cc9.png[/IMG]

    Aap Message ke niche Ok par click karenge to Domains ki List par redirect honge, Samne Aap ka muntakhib
    kardah optoin Name Server jagmaga raha hoga :p jabki Aap Domain par Click karke us ke baare men mazeed
    Information Read kar sakte hen,


    Aap ko Create aor Expiry Date bhi batayi jaa rahi hai, Create Aaj se 1 din pehle 7 November ko hua hai
    Jabki Expire Created Day se theek 1 saal baad 7 November 2012 ko hona hai, sath hi Aap ko Domain ki
    Aakhri martaba Settings ke baare men bhi bataya jaa raha hai.


    To Friends! Aap ka ab ek Addad Domain Ready hai, chahen to ****** par whois men check bhi kar sakte hen ;)
    Ab agla marhala Hosting Account lene ka hai, Magar Mazeed kaam ab Insha`Allah is Tutorial ke Part 2 men
    Ta`e Payega, Tab tak Mujhe Ijazat den aor Agar pehle Aap ne kabhi koi Website nahin banayi magar Shouq rakhte
    hen to is Tutorial ko saamne rakhte hue apne liye ek Addad Domain Register karalen taki Part 2 men Hosting
    Lene ka Experiment bhi kar saken aor phir Finally Part 3 men Aap ki apni ek Website bhi Online ho ;)

    "Allah Hafiz, Take Care, Will Meet Soon Again"

  3. #3
    Join Date
    07 Jan 2011
    Location
    Bruxelles
    Gender
    Male
    Posts
    19,938
    Threads
    1080
    Credits
    172,407
    Thanked
    3333

    Default

    very very vrey useful thread brother
    thanks for sharing with us

    ایک طرف لمبی لمبی امیدیں
    دوسری طرف کل نفس ذائقۃ الموت

  4. #4
    sagar kumar's Avatar
    sagar kumar is offline Senior Member+
    Last Online
    18th September 2017 @ 06:50 PM
    Join Date
    13 Mar 2010
    Location
    Naukot, Sindh
    Age
    31
    Gender
    Male
    Posts
    406
    Threads
    56
    Credits
    741
    Thanked
    43

    Default

    Awesome
    Great work !!

    I hope kisi ko seeekhne men koi preblem nh hogi everything is in detail

    Thanks!!!

  5. #5
    BIG BROTHER's Avatar
    BIG BROTHER is offline Super Moderator
    Last Online
    23rd April 2024 @ 10:25 PM
    Join Date
    18 May 2009
    Location
    Karachi
    Gender
    Male
    Posts
    16,494
    Threads
    150
    Credits
    18,358
    Thanked
    721

  6. #6
    IT_Love's Avatar
    IT_Love is offline Advance Member
    Last Online
    23rd December 2020 @ 03:50 PM
    Join Date
    18 Jun 2011
    Location
    ★★★★
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    1,943
    Threads
    120
    Credits
    1,188
    Thanked
    102

    Default

    Buhat hi Achy treqy say samjhya hai app nay


  7. #7
    ammarashraf's Avatar
    ammarashraf is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd June 2016 @ 06:29 PM
    Join Date
    26 Nov 2010
    Age
    30
    Gender
    Male
    Posts
    180
    Threads
    33
    Credits
    0
    Thanked
    9

    Default

    thanks

  8. #8
    ammarashraf's Avatar
    ammarashraf is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd June 2016 @ 06:29 PM
    Join Date
    26 Nov 2010
    Age
    30
    Gender
    Male
    Posts
    180
    Threads
    33
    Credits
    0
    Thanked
    9

    Default

    Thank You to TANWEER HACKERZ For This Useful Post:

  9. #9
    bbrshr's Avatar
    bbrshr is offline Senior Member+
    Last Online
    27th November 2013 @ 12:33 AM
    Join Date
    31 Jul 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    49
    Threads
    1
    Credits
    706
    Thanked: 1

    Default

    wah G Wah Kamal Kartay ho panday G Great Great Briliant Cheetay ho Pa G Aap Its Really Very Very Nice.I"ll be waiting 4 its 2nd part. ops aik Cheez Tu Bool hi Gaya

    Thanx 4 Sharing
    [/COLOR]

  10. #10
    javidmalik is offline Senior Member+
    Last Online
    10th January 2023 @ 04:49 PM
    Join Date
    12 Mar 2011
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    207
    Threads
    22
    Credits
    90
    Thanked
    46

    Default

    bhai jan m bhout try kya new acunt bnane m lekin word varifecation did not match deta h

  11. #11
    Join Date
    22 Oct 2009
    Location
    ~*Dream*World*~
    Gender
    Male
    Posts
    21,935
    Threads
    299
    Credits
    1,349
    Thanked
    1701

    Wink

    Quote javidmalik said: View Post
    bhai jan m bhout try kya new acunt bnane m lekin word varifecation did not match deta h
    New Account banate waqt bhi about 3 jagahon par humen Word Verification ka kaha jaata hai, Forum Fill karte waqt, Password Retype karte waqt aor Final Login hote waqt,
    Aor har baar Capcha Change hi milta hai,
    Forum fill karte waqt in ka apna kafi easy hota hai jabki Password Retype karte hue aor Final Login ke waqt thora complicated diya jaata hai, aisi surat jab Aap ko yaqeen na ho ki Capcha sahi hoga to Aap us ke samne diye gaye Refresh ke Icon par click karke New Capcha Hasil kar liya karen aor chand ek baad refresh karte rahen taki Aap easily Capcha Task Complete ho jaye

    Name:  TanweerAhmad.PNG
Views: 4088
Size:  56.2 KB

  12. #12
    Join Date
    26 Aug 2006
    Location
    **********
    Gender
    Male
    Posts
    682
    Threads
    57
    Credits
    98
    Thanked
    16

    Default

    Bohat Achi Sharing he New Web Masters k lie
    [URL="http://www.itdunya.com/t384807/#post3988772"][B]Best Web Hosting compni ka inthikab kaise kare[/B][/URL] // [B][/B]

Page 1 of 7 1234 ... LastLast

Similar Threads

  1. ***Collection of Free Hosting Sites***
    By filmstarali in forum General Discussion
    Replies: 15
    Last Post: 1st December 2015, 02:56 PM
  2. Replies: 19
    Last Post: 5th September 2015, 08:52 PM
  3. aap Bilkul free website banayie....
    By nida in forum General Discussion
    Replies: 28
    Last Post: 10th June 2015, 08:24 AM
  4. The Gaming Engines : Complete List
    By Zahid Ali47 in forum PC Games
    Replies: 17
    Last Post: 2nd November 2014, 02:42 PM
  5. Replies: 1
    Last Post: 28th March 2012, 08:16 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •