Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 14

Thread: Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

  1. #1
    sarfraz2pk's Avatar
    sarfraz2pk is offline Senior Member+
    Last Online
    29th March 2021 @ 07:11 PM
    Join Date
    28 Jun 2008
    Age
    37
    Posts
    138
    Threads
    61
    Credits
    6
    Thanked
    0

    Default Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya




    Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya


    Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
    woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

    Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh
    phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya

    jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay
    to kiya huwa jo hum say zamana badal gaya

    qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari
    us nay chhuraya haath to sehra badal gaya

    koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
    jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya

    ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal
    wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya

    uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan
    parda utha to saara tamasha badal gaya

    hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
    baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

    kehne ko ik sehan main deewar hi bani
    ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya

    shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha who
    manzil kay paas aake jo rusta badal gaya

    qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi
    taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

    manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
    jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

    andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee
    us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya

    aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye
    woh muskuraya or meri dunya badal gaya

    apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log
    Amjad yeh kon shehr ka naqsha badal gaya

    Allah Hafiz

  2. #2
    irrfan1984 is offline Senior Member+
    Last Online
    6th August 2008 @ 02:16 PM
    Join Date
    27 Oct 2007
    Age
    39
    Posts
    86
    Threads
    12
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Post poetry

    Meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai...
    aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai...

    ab kisi chhat pe charagon ki qatarein bhi nahin...
    ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai...

    baraf ke roop mein dhal jayeinge saare rishtey...
    mujh se poochho muhabbat ki agan kaisi hai...

    mein tere wisal ki khuwahish ko na marne doonga...
    mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai...

    regzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida...
    us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai...

    Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
    usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai...
    Îŗſåת Hussaiת ™

  3. #3
    irrfan1984 is offline Senior Member+
    Last Online
    6th August 2008 @ 02:16 PM
    Join Date
    27 Oct 2007
    Age
    39
    Posts
    86
    Threads
    12
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    i hope u like it

  4. #4
    irrfan1984 is offline Senior Member+
    Last Online
    6th August 2008 @ 02:16 PM
    Join Date
    27 Oct 2007
    Age
    39
    Posts
    86
    Threads
    12
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    umeed hay aapko bohot pasand aaye ho gi phir mulaqat ho gi ALLAH HAFIZ

  5. #5
    Fighter's Avatar
    Fighter is offline Senior Member+
    Last Online
    9th November 2008 @ 04:03 PM
    Join Date
    25 Jun 2008
    Posts
    1,326
    Threads
    41
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Nice one...........carry on
    ITdunya.Com

    Fighter

  6. #6
    Asiftubassam is offline Advance Member
    Last Online
    13th April 2020 @ 03:27 PM
    Join Date
    27 Jun 2008
    Posts
    1,533
    Threads
    74
    Credits
    1,179
    Thanked
    2

    Default

    i like it

  7. #7
    Sultana's Avatar
    Sultana is offline Advance Member
    Last Online
    5th November 2022 @ 02:49 PM
    Join Date
    02 Feb 2009
    Location
    ☼☼&
    Gender
    Female
    Posts
    36,591
    Threads
    1438
    Credits
    1,255
    Thanked
    4214

    Default

    شیئر کرنے کا شُکریہ
    اُمید ہے کہ آپ اردو ادب کو اچھے اشعار سے نوازتے رہیں گے
    سُلطانہ مُصطفیٰ

  8. #8
    Mohsin Shah's Avatar
    Mohsin Shah is offline Senior Member+
    Last Online
    4th September 2012 @ 06:19 AM
    Join Date
    17 Nov 2009
    Location
    City of Iqbal
    Posts
    6,477
    Threads
    147
    Credits
    975
    Thanked
    553

    Default

    Nice Jee

  9. #9
    darpanrukh is offline Member
    Last Online
    26th March 2011 @ 07:36 PM
    Join Date
    05 Feb 2010
    Location
    ?????????????
    Gender
    Male
    Posts
    3,790
    Threads
    312
    Thanked
    493

    Default

    manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
    jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

    andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee
    us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya
    .........................
    waaaaaaaah nice sharing

  10. #10
    Gr8^Masood's Avatar
    Gr8^Masood is offline Senior Member+
    Last Online
    18th September 2013 @ 10:50 AM
    Join Date
    23 Jul 2009
    Location
    Khi
    Age
    39
    Gender
    Male
    Posts
    42,351
    Threads
    1398
    Credits
    970
    Thanked
    2855

    Default


    اسلام علیکم
    بہت خوب .... عمدہ انتخاب
    امید ہے آپ اُردو ادب کے بزم
    کو اسی طرح اچھے اور
    معیاری اشعار سے سجاتے رہینگے
    شکریہ
    محسود


    Make A Visit Here And Make Comments.........thanks
    ...::Computer Ka Tarruf::..

  11. #11
    GeoArain's Avatar
    GeoArain is offline Senior Member+
    Last Online
    21st November 2015 @ 09:42 PM
    Join Date
    05 Sep 2013
    Location
    hyd
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    346
    Threads
    3
    Credits
    0
    Thanked
    11

    Default

    Very Nice
    Thanks You

  12. #12
    M-Qasim's Avatar
    M-Qasim is offline Advance Member+
    Last Online
    7th September 2022 @ 07:41 PM
    Join Date
    22 Mar 2009
    Gender
    Male
    Posts
    33,351
    Threads
    915
    Credits
    1,718
    Thanked
    3391

    Default

    Moved from UA&S Section

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Afridi ka Bakra mil gaya (Eid K Rang)
    By Zaara in forum Baat cheet
    Replies: 147
    Last Post: 4th June 2010, 06:38 PM
  2. Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai...!!
    By Aasi_786 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 15
    Last Post: 20th February 2010, 07:32 PM
  3. Replies: 10
    Last Post: 7th February 2010, 07:28 PM
  4. ~*~Wo badal gaya achaanak meri zindagi badal ke~*~
    By mhafeez in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 14
    Last Post: 4th December 2009, 12:48 PM
  5. kaisa hay yeh dard meri aankhon main bus gaya
    By a_malik_19 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 10
    Last Post: 11th August 2009, 08:53 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •