Quote Net-Rider said: View Post
یہ امام کبعہ نے کب اور کہاں فرمایا بھائی؟؟؟؟
کوئی حوالہ اگر مل جائے

قرآنی آیات کی رنگ ٹون کے لئے منع کیا گیا ہے
بے ادبی کی وجہ سے


باقی باتیں جو آپ نے کہی اس کا جواب پہلے امام کعبہ والی
بات آپ نے کہاں پڑھی ہے وہ بتادیجئے شکریہ
ye kahaan farmai kese or kab farmai es k bare mai muje proper info nahe hai par ye sms pak mai gardish karta raha hai or abhi bhi ye sms chal raha hai,or mana k es baat ka proper refer nahe hai mere pas par baat imaam kaq'ba ki ho rahe hai to imaam ka'aba se koi bhi musalmaan bila waja or jhooti baat mansoob nahe kar sakta.

baki mazeed info le kar mai aap ko bata don ga.

or napaak mobile ki imaam ka'aba ki ye baat ki tasdeeq ap ki apni he baat se hoti hai k imaam ka'aba ne kaha hai k ring tune use na ki jaey os se quran ki be adbi hoti hai to jab imaam ka'aba ring tune ka keh sakte hain to wese he napaak ka bhi surely kaha ho ga.

agar aap phir bhi apni he baat pe ba zid hain k nahe ap muje napaak mobile ki baat ka imaam ka'aba ka authentic refer de to phir mai ap se zid karta hon k jo baat ap ne kahi imaam ka'aba k mutaliq k unhon ne quranic ring tune use karne se mana farmaya hai to ye kahaan,kab or kese kahi gai hai ap muje es ka hawala de phir mai aap ko apni baat ka hawala maloom kar k deta hon.