Aadab!

mujhy aik formula darkaar hae, umeed hae aap raha numaai farmaain gae.

misaal ke taur per meiN ne apne shehr (Town) ki Market ki Number shumari ki hae,,,

aur jo Shops main Rd. ya Main bazaar meiN haiN, un ko meiN ne 1..2....3... 4.. 5.. etc. poora Number dia hae,
aur jo shops main Rd. ya Main bazar se Hat kar plaza ya aik band gali meiN aati hain un ko meiN ne Number bta meiN dia hae ya ishaaraya meiN dia hae..
misaal ke taur per shop 27 ki gali mein bhi kuch shops hain un ko meiN ne 27.1,, 27.2 ya.. 27-3,, No. dia hae.

meiN chahta hooN keh agar Column A meiN 1....2 ... 4... 5 ....24...26.. etc poora No. hae to column B meiN M type ho ...
aur agar Column A meiN Number 27.1,,,, 27.2,,,, ya 96-1,,,,,,,,96-2,,,, 96-3,,,,,96-4 ho to computer Column mein E Type karay,,,


advance shukria...

Wassalam
Ameen Asim