dil bojhal sa hai aur ankhon k konay bhi shayad num hain. Islam deen-e-rehmat hai aur Hazrat Muhammad (PBUH) ki taleemat reham-o-karam ka chashma....
Magar, hum kaise muslim hain hum main reham, meharbani ki sifaat ka door door tak nam-o-nishan nahi. Akhir hum itne khud gharz aur be-hiss kiyon hain???
Main abhi ghar aa raha tha raste me billi ka ek chota sa bacha khail raha tha road k kinare.. White color pe chote chote black dots aur uski masoom si harkatain..
Achanak peeche se ek bike wala aya aur use kuchalta hua guzar gaya uss ruk k dekhna bhi gawara na kia k wo kitna bara zulam kiye ja raha hai..
Woh masoom sa billi ka bacha mere samne tarap tarap k mar gaya, hum ne bhag k uss k munh me pani dala magar uss zalim biker ka zulam apna kaam kr gaya.
Akhir kiyon, kiyon hum itne selfish ho gaye hain kiyon hum itne be reham ho chuke hain.. Khuda k liye itne zalim matt baniye k kal roz-e-qayamat Allah hamari taraf dekhna bhi pasand na karain..
Waise mujhe hassi aa rahi hai khud pe jis mulk me insan gajar mooli ki tarha kata jata hai main wahan ek billi k bache ka rona liye betha hon..

Ufaq k surkh parde pe kiyon ek hi manzar raqsaan hai..
Kiyon lahu tamashe hote hain main hasna bhool jata hon..
Bachpan k sab khawab niralay roz hi milne ate hain..
Jub mujhse ankh milate hain main hasna bhool jata hon..