Page 1 of 4 1234 LastLast
Results 1 to 12 of 37

Thread: plz share islamic poetry of syed ghulam Abbas Mohsin Naqvi

  1. #1
    frhan's Avatar
    frhan is offline Advance Member
    Last Online
    30th August 2023 @ 02:47 PM
    Join Date
    07 Jun 2010
    Location
    faislabad
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    808
    Threads
    54
    Credits
    6,214
    Thanked
    19

    Post plz share islamic poetry of syed ghulam Abbas Mohsin Naqvi

    Salam-110
    meri poetry section k members sy request hy k mohsin naqvi ki islamic poetry share karain...

    Lo g shurwat hm hi kr daity hain...

    Dil main chahat hy Paighambr(saww) ki...
    to dozakh kysi?????????
    phr sar-e-hashr ye rehmat ka libada kya hy???????

    Ay Farishton.....
    Mery amaal na daikho...
    tehhroo..
    pehly pucho k MOHAMMAD(saww) ka irada kya hy...


  2. #2
    frhan's Avatar
    frhan is offline Advance Member
    Last Online
    30th August 2023 @ 02:47 PM
    Join Date
    07 Jun 2010
    Location
    faislabad
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    808
    Threads
    54
    Credits
    6,214
    Thanked
    19

    Default

    Ye b...Mohsin Naqvi ki yeh wali islamic poetry (DUa) bht zeyada parrhi jati hae;

    Ae Rab e Jahaan Panjtan pak k Khaliq
    Iss qom ka daman gham-e-Shabbir se bhar de

    Bachun ko ata kar Ali Asghar ka tabassum
    Boorhun ko Habib Ibn e Mazahir ki nazar de

    Kamsin ko mile walwalaye Aun o Muhammad
    Har aik jawan ko Ali Akbar ka jigar de

    Maaun ko sikha Sani e Zahra ka saleeqa
    Behnun ko Sakina ki duaoo'n ka asar de

    Jo chadar e Zainab ke azadar hein mola
    Mehfooz rahen aisi khawateen ke parday

    Mola tujhe Zainab ki aseeri ki qasam hai
    Be-jurm aseerun ko rehai ki khabar de

    Jo deen ke kaam aye woh aulaad atta kar
    Jo majlis e Shabbir ki khatir ho woh ghar de

    Ae rab e jahan Syed e Sajjad ka sadqa
    Beemar jo hon unko shafa yab sehr de

    Muflis pe zaro lal Jawahir ki ho baarish
    Makrooz ka har karz ada ghaib se kerde

    Jinn ko bhi hei masoom ki ziarat ki tamana
    Unn ko tu unnke roze ki ziarat ka sharf de

    Jaati hai agar jaan to beshak chali jaye
    Abbas ke parcham pe kabhi aanch na aye

    Gham koi na de humko siwaye gham e Shabbir
    Shabbir ka gham baant raha hei to idhar de.

  3. #3
    frhan's Avatar
    frhan is offline Advance Member
    Last Online
    30th August 2023 @ 02:47 PM
    Join Date
    07 Jun 2010
    Location
    faislabad
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    808
    Threads
    54
    Credits
    6,214
    Thanked
    19

    Default

    Mohsin Naqvi Shaheed aik azeem poet thay , Mohsin naqvi ki kitaab "Moj e Idraak" mein Aik Taveel Kalam hai jis se iqtebaas mein yahan pesh kar raha hoon , puri nazm likhna mumkin nahi chunkeh kafi taveel hai so uss ka aik hissa likh raha hoon....


    Chehra hai k Anwaar -e- Do Alam ka Saheefa
    Aankhein hein k Behreen e Taqaddus k Nageen hain
    Matha hai k wahdat ki tajalli ka warq hai
    Aariz hein k "WalFajr" ki ayat k ameen hain

    Gaisu hein k "Wallaiel" k bikhrey huve saaye
    Abru hein Qauseen -e- Shab -e- Qadr khuley hein
    Gardan hai k Bar Farq-e-Zameen Aouj-e-Surayya
    Lab,Soorat-e-Yaqoot Shuaaon mein dhuley hein

    Qadd hai k Nabuvvat k Khud o Khaal ka Maiyar
    Baazu hein k Touheed ki Azmat k Alam hein
    Seena hai Ramz-e-Dil Hasti ka Khazeena
    Palkein hein k Alfaaz-e-Rukh-e-Loh-o-Qalam hein

    Baatein hein k Tooba ki chatakti hui kaliyan
    Lehja hai k Yazdaan ki zubaan bol rahi hai
    Khutbey hein k savan k umandtey huve darya
    Qirat hai k Asraar e Jahan khool rahi hai

    Ye Daant , Ye Sheraza-e-Shabnam k tarashey
    Yaqoot ki vadi mein damaktey huve heerey
    sharminda e Taab e lab o Dandan e Payambar (SAWW)
    Harfey ba sana khaani o Khama ba Sareery

    Ye moj e Tabassum hai k rangon ki dhank hai
    ye aks e matanat hai k thehra hua mosam
    Ye shukr k sajdey hein k ayaat ki tanzeel
    Ye aankh k aansu hein k ilhaam ki rim jhim

    Ye Haath ye kounain ki taqdeer k auraaq
    Ye khatt , ye Khud o Khaal e Rukh e Mushaf o Injeel
    Ye paaon ye mehtaab ki kirnon k ma'abid
    Ye naqsh e qadam , bosa Gah-e-Raf raf o Jibreel

    Ye Rif'at e Dastaar hai ya aoj e takhayyul
    Ye Band e Qaba hai k shaguft e gul e Naheed
    Ye saya damaan hai phela hua badal
    ye subh-e-giraibaan hai k khamyaza -e- Khursheed

    Ye dosh e pa chadar hai k bakhshish ki ghata hai
    ye mohre nabuvvat hai naqsh e Dil e Mehtaab
    Rukhsaar ki Zav hai k Namu Subh e Azal ki
    Aankhon ki malahat hai k roy-e shab e kam Khaab

    Wo ilm k Quraan ka teri itrat ka qaseeda
    Wo Hilm k dushman ko b ummeed e karam hai
    Wo Sabr k Shabbeer (AS) teri Shaakh e Samar daar
    Wo Zabt k jis Zabt mein Irfaan o Umam hai

    "Aurang e sulaimaan" teri nalain ka khaaka
    "Aijaaz e Maseeha" teri bikhri hui khushbu
    "Husne yade beza" teri dehleez ki kheraat
    Kounain ki saj dhaj teri araiesh e Gaisu

    Sar chashma e kousar tere seeney ka paseena
    Saya teri deevar ka maiyar e iram hai
    Zarrey teri mah o anjam e Aflaak
    "sooraj" tere rahvaar ka ik naqsh e qadam hai

    Zaahir ho tou Har barg e gul e tar teri khushbu
    Ghaieb ho dunya ko sarapa nahi milta
    Wo Ism , k jis Ism ko lab choom lein har bar
    Wo jism k sooraj ko b saya nahi milta

    Haider (as) teri haibat hai tou Husnain(as) tera Husn
    Ashaab wafadar tou Naieb tre Masool
    Salma teri ismat hai Khadeeja teri touqeer
    Zahra (SA) tri qismat hai tou Zainab(SA) tera maqsoom

    Kis Rang se tarteeb tujhey dijiye mola ??
    Tanveer k tasveer , tasavvur k musavvir??
    Kis naam se imdaaad talab kijiye tujh se
    Yaseen k Taaha , k muzammil k mudassir ??

    Maidaan tere Buzar (RA) ki Hukoomat k muzafaat
    Kohsaar trey Qanbr o Salmaan (ra) k baserey
    Sehra trey Habshi ki mohabbat k Musalley !
    Gulzaar trey Meesam o Miqdaad(ra) k derey

    Zehan mein aaye k tu utra tha kahan se
    Kia koi bataye teri sarhad hai kahan tak ??
    Pohanchi hai jahan par tri Na'lain ki matti
    Khaakistar-e-Jibreel b pohanchey na wahan tak

    Aey Fik e Mukammal , Rukh e Fitrat Lab e Alam
    Aey Haadi e Kull , Khatm e Rusul , Rehmat e peham
    Aey Waaqif e Meraaj e Bashar , waaris e Kounain
    Aey maqsad e takhleeq e zamaan , Husne Mujassam

    Aey baies e Aaien e Shabo roz e Khalaieq
    Aey Halqa e Arwaah e Muqaddas k Payambar (SAWW)
    Aey tajor e bazm e shariyat mere AAQA !
    Aey Aarif e Meraaj e Bashar , Saahib e Minbar

    Aey Shakir o mashkoor o Shakeel e Shab e Alam
    Aey naasir o Mansoor o Naseer e Dil e Insaan
    Aey shaahid o Mash'hood o Shaheed e Rukh e Touheed,
    Aey Naazir o Manzoor o Nazeer e Lab e Yazdaan

    Aey Yusuf o Yaqoob (as) ki ummed ki mehwar
    Aey baab e munajaat e di Yunus o Idrees(AS)
    Aeu Nooh (as) ki kashti k liye saahil e taskeem
    Aey Qibla e Haajat e sulemaan (as) shah e Bilqees

    Sochein tou Khudaai teri marhoon e Tasavvur
    Dekhein tou khudaai se har andaaz juda hai
    Ye kaam bashar ka hai na Jibreel k bass mein
    Tu Khud hi bata aey mere Moula(SAWW) k tu kia hai ????


    Al-Mdadd Ya Rasool(saww)

  4. #4
    frhan's Avatar
    frhan is offline Advance Member
    Last Online
    30th August 2023 @ 02:47 PM
    Join Date
    07 Jun 2010
    Location
    faislabad
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    808
    Threads
    54
    Credits
    6,214
    Thanked
    19

    Default

    “Mohsin” Isi Dua Sey Hy Aghaz E Subah…
    .

    .

    .

    Her PaL Ghum E HUSSAIN a.s Sey Ye
    Aankh Tar Rahey…

  5. #5
    frhan's Avatar
    frhan is offline Advance Member
    Last Online
    30th August 2023 @ 02:47 PM
    Join Date
    07 Jun 2010
    Location
    faislabad
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    808
    Threads
    54
    Credits
    6,214
    Thanked
    19

    Default

    SalaM Ya Mola Ghazi AbbaS asws

    Hindu Poet
    Darpan Say's:

    Naam DarpaN Hai Mera LekiN DharaM AbbaS Ka
    HaR ghari Rehta Hai Mujh Par yuN KaraM AbbaS Ka
    Moorti Ki Ab JagaH Mai Ny Saja Kar Rakh Diya
    Choomta Hun SubaH UthtaY Hi AlaM AbbaS Ka

    ~~~~~~~

    Dekha HaideR Ny Jo ShabbiR Ka AbbaS Se PiyaR
    Muskura k Kaha Betay Se PidaR Tum Par NisaaR
    ChotaY Bhai Ka Koi Naam Bhi Rakha Zinhaj
    Ki HussaiN ibn e Ali Ny Ali Se GuftaaR

    Hifz e ToheeD Ka Aq'qas Kahen Gy Inko
    Baba Hum Aaj Se AbbaS Kahen Gy InKo

    ~~~~~~~

    Wafa Ki Duniya Mai Ja k Dekha, WahaN Ka WahiD NawaB tu Hai
    AdaB Ka Dars e DaraZ Khola To Us Ki Pehli KitaB tu Hai
    Nigah e SharaM O Haya se Pucha, To Uska b IntekhaB Tu Hai
    HaseeN Mera HussaiN Mola Par Uska Husan e Shabab Tu Hai

    Mizaj e AdaM Na choo SakaY ga, BulanD itna MuQaM Tera
    Sunheri LafzoN Mai Apni PalkoN Se HooraiN Likhti Hain NaaM Tera

    ~~~~~~~

    QalB e Haya Par ChupkaY se, QuraaN Wafa Ka Utra Hai
    Noor Ki SundaR Nagri Mai, SultaN Wafa Ka Utra Hai
    Kull e ImaaN k AngaN Mai, Imam Wafa Ka utra Hai
    DeeN Ki NusraT Ki KhatiR IMRAN Wafa Ka Utra Hai

    Taaj e Ali Mai Sab Se HaseeN, AlmaS Sajaya Jaye Ga
    Aaj Wafa ki MasnaD Par AbbaS Bithaya Jaye Ga

    ~~~~~~~

    Mir AneeS

    AbbaS Ali Shair e Neestan e NajaF Hai
    Tabinda Durr e Taj e SulemaN e NajaF Hai
    Sar'waY ChamaN e KhizaR e BayabaN e NajaF Hai
    Aa'eena e Roo e Mah e Kan'aan e NajaF Hai

    Tifli Se UsaY ishQ e Imam e Do Sara Tha
    Shah Us Par Fida Thay Wo Shah e DeeN Py Fida Tha

  6. #6
    frhan's Avatar
    frhan is offline Advance Member
    Last Online
    30th August 2023 @ 02:47 PM
    Join Date
    07 Jun 2010
    Location
    faislabad
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    808
    Threads
    54
    Credits
    6,214
    Thanked
    19

    Default

    جس کے دم سے وفا کو جوانی ملی
    عزم شبیر ع کو زندگانی ملی

    لو نصابِ اطاعت مکمل ہوا
    آج شبیر کا ہمسفر آ گیا

    *5*12*14*72*

  7. #7
    KING ABBAS is offline Member
    Last Online
    14th July 2012 @ 11:08 AM
    Join Date
    05 Jun 2012
    Location
    Chakwal
    Gender
    Male
    Posts
    1,803
    Threads
    151
    Thanked
    111

    Default

    Fishar e qabr ko aisa nidhal kr doon ga,,,,
    Mein mushkilon ki tabiyat bahal kr doon ga,,,,
    Ali a.s k naam ny jurrat woh di k zair e lahad,,,,
    Mein khud farishton py koi sawal kr doon ga

  8. #8
    KING ABBAS is offline Member
    Last Online
    14th July 2012 @ 11:08 AM
    Join Date
    05 Jun 2012
    Location
    Chakwal
    Gender
    Male
    Posts
    1,803
    Threads
    151
    Credits
    0
    Thanked
    111

    Default

    Plz TITLE THEek krein syed mohsin aqeel naqvi nahi balky syed mohsin naqvi shaheed likhein.aqeel mohsin naqvi un k bety ka naam hai

  9. #9
    frhan's Avatar
    frhan is offline Advance Member
    Last Online
    30th August 2023 @ 02:47 PM
    Join Date
    07 Jun 2010
    Location
    faislabad
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    808
    Threads
    54
    Credits
    6,214
    Thanked
    19

    Post

    Quote KING ABBAS said: View Post
    Plz TITLE THEek krein syed mohsin aqeel naqvi nahi balky syed mohsin naqvi shaheed likhein.aqeel mohsin naqvi un k bety ka naam hai
    Ni Bro...
    Unhi ka e pura name hy ye...
    ap ek br chk kr lo...

  10. #10
    frhan's Avatar
    frhan is offline Advance Member
    Last Online
    30th August 2023 @ 02:47 PM
    Join Date
    07 Jun 2010
    Location
    faislabad
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    808
    Threads
    54
    Credits
    6,214
    Thanked
    19

    Default

    MOhsin ko nhi Khoof-e-Nakeerain lehd main...
    Kon ay ga MOla(a.s) tery Nokar k brabr...

  11. #11
    frhan's Avatar
    frhan is offline Advance Member
    Last Online
    30th August 2023 @ 02:47 PM
    Join Date
    07 Jun 2010
    Location
    faislabad
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    808
    Threads
    54
    Credits
    6,214
    Thanked
    19

    Default

    Following are the famous Urdu poetry books of Syed Mohsin Naqvi

    Azaab-e-Deed عذاب دید
    Khaima-e-Jaan خیمہء جاں
    Berg-e-Sehra برگ سحرا
    Band-e-Kbaa بند قبا
    moje-idraak
    Taloo-e-ashk
    Furat-e-fikr
    Reza-e-harf
    Rakht-e-shab
    Rida-e-khwab
    Haq-e-Aeliya

  12. #12
    frhan's Avatar
    frhan is offline Advance Member
    Last Online
    30th August 2023 @ 02:47 PM
    Join Date
    07 Jun 2010
    Location
    faislabad
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    808
    Threads
    54
    Credits
    6,214
    Thanked
    19

    Post

    Quote KING ABBAS said: View Post
    Plz TITLE THEek krein syed mohsin aqeel naqvi nahi balky syed mohsin naqvi shaheed likhein.aqeel mohsin naqvi un k bety ka naam hai
    Syed Mohsin Naqvi was a great Urdu language poet of Pakistan. He is believed to have been murdered on 15 January 1996. He was born in a village Sadat near Dera Ghazi Khan. He did his Graduation from Govt. College Bosan Road Multan. The secret of his life is that his actual Name was Ghulam Abbas. He did his masters from University of the Punjab Lahore. Before his arrival at Lahore he was well known as Mohsin Naqvi. He was also known as the Poet of Ahl al-Bayt. His poetry is well accepted and recited all over World

Page 1 of 4 1234 LastLast

Similar Threads

  1. Mohsin Naqvi Poetry
    By Dil_Shah in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 15
    Last Post: 29th June 2022, 05:45 AM
  2. Share islamic poetry here
    By umairabbas62 in forum Baat cheet
    Replies: 1
    Last Post: 15th May 2012, 09:45 AM
  3. share EID POETRY, EID SMS
    By myvoice in forum Eid Ul Fitr 2023
    Replies: 4
    Last Post: 17th September 2009, 01:41 AM

Tags for this Thread

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •