yes database pehlay woh naam waghaira enter karty hain HR walay apny software ma phir finger print letay hian...
but me is Dajjali system say boht tang tha, kion k pehlay k kuch dinoo ma mera fingerprint sahi kaam karta tha, but phir baad ma masla hona shuroo ho gaya, me lagata tha to Door nai khulta tha, 3 / 4 baar try karta tha phir b nai hota tha, phir me office k bahir khara rehta tha thori dair ore jab koi dosra banda andar jata us k sath andar chala jata HR walo say pocha to woh kehtay finger sahi nai lagatay
bara ganda sytem tha yar yeh me to bohat tang tha is say , na koi banda andar ja sakta ha ore na koi bahir say andar aa sakta lol
I think zaida tarh baray offices ma aasa hota ha, chotay offices ma to woh manual attendance laga letay hain..... manual zaida acha hota ha banda aram say bahir to ja sakta ha kabi koi emergency ho jay ore apka finger print kaam na karay to ap andar hi reh jao ganda system tha yar mujey nai pasand aaya, but baray office walo ko shayed is say faida hota hoga unko pata chal jata hoga k kon sa banda andar gaya kon bahir gaya isi lia woh yeh system lagatay hain......
Bookmarks