Page 6 of 15 FirstFirst ... 3456789 ... LastLast
Results 61 to 72 of 173

Thread: Rasool_e_khuda_ki_Namaz

  1. #61
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    Abu Hurraiaa R.a.

    Abu hurraira r.a. Fermaate hai ke Rasulullah sws shuru Namaz me, Rukoo se pahle aur rukoo ke baad apne dono haath uthhaya karte the.

    {Ibne Maza 860 } { Ibne Khazeema 1 /344 by Hadith 694 sahi kaha hai.}
    “Believe in your dreams and they may come true; believe in yourself and they will come true”.

  2. #62
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    Hajrat Jabir bin Abdullah r.a. Jab Namaz shuru kerte , Jab rukoo kerte aur jab rukoo se sar uthhate to Rafadain kerte aur fermaate the ke Rasulullah sws bhi isi tarah karte the.


    { Masnadul Siraj , Ibne Maja 868 , Imam ibne hajar ne sahi kha ahi }


    AIY ALLAH HAM SAB BHAIYYON KO RAFULYADAIN KARNE KI TAUFEEQ DE..... AMEEN SUMMA AMEEN

  3. #63
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    Rafulyadain na karne ki daleel 1

    1-hz jabir bin samurra bayan karte hain!"nabi ne farmaya" kya baat hai mai tumko aise hath udhate dekhta hoon mano ki wah sharkash ghodon ki dume hain! Namaaz me sukoon akhtiya kro.

    Muslim 430

    tafsir: is hadith me us mukaam ka zikr nahi jis par sahaba hath utha rahe they aur nabi(SAW) ne unhe mana farmaya. Jabir bin samurra hi se sahih muslim me isi hadith se mili huyi do aur riwayat hain jo baat saaf kar rahi hain

    2- hz jabir bin samurra farmate hain: nabi(SAW) ke sath jab hum namaaz padhte to to namaaz ke khaatme khatme par daay baay( left,right)" as salam o allaikum wa rahmatullahi" kahte hue hath se ishara bhi karte yeh dekhkar aapne farmaya" tum apne hath se is tarah ishara karte ho jaise jism ghode(horse) ki dum hilti hain, tumhe yahi kaafi hai ki tum kayda me apni raanon me hath rakhe hue daay baay(left right) muh modkar" as salamu allaikum wa rahmatullahi" kaho...

  4. #64
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    Hz abdullah bin masud (RA) Farmate hain" kya main tumhe nabi(SAW) ki namaaz bataun? Fir unhone namaaz padhi aur na hath uthaye magar pahli baar.

    Abu dawood,748
    tirmizi,257

    tafsir: imam abu dawood is hadith ke baare farmaten hai

    "LAISA HUWA BI SA HEEH ALA HAAZAL LAFZI"

    ye hadith in lafzon ke sath sahih nahi hai.
    Abu dawood, hawala mazkoor.


    Aur farmaate hai" abdullah bin masud(ra) ke rafyadain ke chhodne ke hadith saabit nahi.

    Tirmizi, hawala mazkoor hadith 255


    imam ibne hibban (rh) ne toh yahan tak kah diya hai ki isme bahut si uljhane hain. Jo ise baatil bana rahin hai. (maslan isme sufiyaan suri mudallis hain aur ann se riwayat hai. Mudallis ki ann wali riwayat daef hoti hain...

  5. #65
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    hz imam muhammad jo hanafi maslak ke maane hue imam hai...saara zakhira hanafi maslak ka unhi ki mahnat ka wa unhi ki koshishon ka nateeja hai.. Aap imam abu haneefa ke khaas shargird hain..aap apni mashoor kitaab (MOATTA IMAM MUHAMMAD) me rafulyadain ki sahih hadith laaye hain...

    BAAB IFTATAH AS-SALAT dekhiye


    ANN ABDILLAHIBNI UMAR KAALA KAANA RASOOLILLAHI SALLALLAHU ALLAIHI WASALLAMA IZFAT- TAHASSALAATA RAFAYADAIHI HAZ WAMNA KIBAIHI WA-IZA KABBARA LI-RUKOO E RAFAYADAIHI WA -IZA RAFA-AA SAHU MIN RUKOO -E RAFAYADAIHI SUMMA KAALA SAMIALLAHU LIMAN HAMIDAHU SUMMA KAALA RABBANA WA LAKAL HAMD

    (MOATTA IMAM MUHAMMAD)

    translation: hz abdullah ibn umar se riwayat kai ki " rasoollullah sallallahu allaihi wasallam jab namaaz shuru karte to rafulyadain karte aur jab rukoo ke liye takbeer kahte to rafulyadain karke " samiallah limam hamida aur rabbana lakal hamd kahte....


    imam muhammad ne huzoor (saw) ki sahih hadith apni kitaab me laakar maan liya ki rafulyadain unki sunnat-e-sahiha se saabit hai...

    Ab to hanafi bhaiyon ko bhi yah sunnat maan leni chahiye

  6. #66
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    Hz sheiek abdul qadir jilani (rh) ka fatawa
    AS SALAM O ALLAIKUM WR WB


    R-f-ul-yadaini indal if titahi war rukui wa rafa -i-minhu


    hz peer jilaani (RH) farmate hain ki "namaaz me takbeer-e- oola ke waqt aur rukoo me jaate waqt, aur rukoo se uthte waqt rafulyadin karna chahiye".


    (gunyatuttalibeen)



    rafulyadain ke baare me 400 riwayaten.


    Allama mujaddin firozabadi lekhak kamoos, safrus-aadat me likhte hain.


    Riwayaton ke jyadati ki wajah se (teen maukon paq saabit rafulyadain) mutawaatir hadith ke jaise hain. Is masle me 400 hadithsen aur aasaar ye hain. Ashrah mubashra sahaba( jinhe huzoor ne unki jindgi me jannati kaha) ne inko riwayat kiya hai. Nabi (SAW) isi tarah namaaz padhte rahe, yahan ki is duniya se rukhsat ho gaye. Iske siwa kuch saabit nahi....



    Rafulyadain qaayam karo aur Nabi ki sunnat zinda karo mere bhaiyon

  7. #67
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    Rafulyadain karne ki daleel hanafi maslak se
    AS SALAM O ALLAIKUM WR WB...

    Shah waliullah dehlwi ka fatawa no 1


    hz shah waliullah(rh) farmate hain ki jab rukoo karne ka iraada karen to rafulyadain karen aur jab rukoo se sir uthayen, us waqt bhi rafulyadain karen. Main rafulyadain karne walon ko na karne walon se accha samajhta hoon. Kyonki rafulyadain karne ki hadeesen bahut zyada hai aur bahut sahih hain


    hujjatullahil-balgha part 2


    Maulana abdul haiy hanafi ka fatawa no 2

    "yaani huzoor se rafulyadain karne ka bahut kaafi aur bahut accha saboot hai. Jo log kahte hain ki rafulyadain mansookh hai unki baat bina daleel hai.

    (Taalikul mumajjid)



    durre-mukhtar ka fatawa no 3


    hanafi maslak ki sabse bharose mand kitab durre-mukhtar me hai ki " jisne kaha ki rafulyadain se namaaz me nuksaan aata hai uski baat sahih nahi hai. Aur rukoo me jaane se aur rukoo se uthne ke waqt rafulyadin karne se nuksaan nahi hai....

    Jakheera me hai " r-f-ul yadaineela-tufsidus-salata"

    yaani rafulyadain se namaaz me kharaabi nahi padhti

  8. #68
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    1.
    SAYADNA IBN MSASUD RZ.
    ===========================

    "Kya main tumhe rasul saw ki namaz padhau? pas aapne namaz padhi aur sirf pahli martaba haath uthaye"
    (tirmizi, 257, aur mishkaaq: 809)
    (BEHEQI, MASNAD AHMED, NASAI, TIRMIZI, TAHAWI, MUSANNAF IBN ABI SHIBA)


    ye sanad aur matan ke lehaz se ek hi riwayat hai lekin mukallid (HANAFI) log ise 8 riwayat batate hain.
    dekhiye detail:


    SAYADNA ABDULLAH IBN MASOOD RZ
    !
    !
    alqamat
    !
    !
    ABDUR RAHMAN BIN ASWAD
    !
    !
    AASIM BIN KALEEB
    !
    !
    SUFIYAN SOORI
    .............................
    ...
    ! ! !
    ! ! !
    Wakee'e Abdullah bin mubarak
    ! (Sunan Nasai, j. 1, p 117)
    !
    !
    !
    !
    i) Mohammed bin ismail (beheqi, j. 2,page 78)
    ii) Amed bin Hambal (masnad ahmed j.1, page 388)
    iii) Mehmood bin geelan (nasai, j. 1, page 120)
    iv) Hannad (tirmizi, 59)
    v) Naeem bin Hammad (tahawi, j. 1, page 154)
    vi) Usman bin abi shiba (abu dawood, j. 1, page 109 aur MUSANNAF IBN ABI SHEBA J. 1, PAGE 136)

  9. #69
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    nOTE:

    IS SILSILA SANAD PAR GAUR KAREIN:
    SUFIYAN SOORI TAK EK HI RAAWI HAI.
    AUR SUFIYAN SOORI SE 2 LOG RIWAYAT KARTE HAIN:
    A) IMAM ABDULLAH IBN MUBARAK
    B) IMAM WAKEE'
    AUR IMAM IBN MUBARAK SE SIRF EK HI RAAWI (SAWEED) NAQAL KARTA HAI,
    JABKE IMAM WAKEE' KE 6 SHAGIRD (STUDENTS) hain.
    ahle hadees ka aiteraaz IBN MUBARAK AUR WAKEE' SE OPPAR KI SANAD PAR HAI,


    PAHLA AITERAZ:
    AASIM MUNFARD HAI AUR IMAM ALI BIN MADINI KAHTE HAIN KE JAB AASIM MUNFARD HO TO HUJJAT NAHI.
    (MIZAN J. 2, PAGE 356 AUR TEHZIB J. 5, PAGE 56)


    DOOSRA AITERAZ:
    IS RIWAYAT KO IMAM SUFIYAN SOOR NE MUKHTASAR (BRIEF) KIYA HAI.
    IMAM ABU HATIM FARMATE HAIN:
    YAHI YE HADIS KHATA HAI KAHA JATA HAI KE SOORI KO ISME WAHEM HUA HAI, KYUNKI EK JAMAT NE AASIM SE IN ALFAZ ME RIWAYAT KI HAI KE NABI SAW NAMAZ SHURI KI AUR RAFAYADAIN KIYA PHIR RUKU KIYA AUR TATBEEQ KI AUR APNE DONO (HATHO) KO GUTHNO KE DARMIYAN RAKHA, KISI RAWI NE IMAM SOORI WALI BAAT BAYAN NAHI KI.
    (ILLAL HADEES, J. 1, PAGE 96)


    TEESRI BAAT KE:
    IMAM SOORI NE TEHDEES KI SARAHAT NAHI KI BALKE MAN-AN MARWI HAI, AUR MUDALLIS KI RAWI SAMAA KI SARAHAT KE BAGAIR ZAEEF HOTI HAI.

  10. #70
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    CHUNANCHE AIMA JARAH WA TADEEL NE WAZAHAT KI HAI KE IBN MASOOD RZ KI MAZKURA RIWAYAT ZAEEF HAI,
    TAFSEEL DEKHO:


    1)
    Imam abdulla bin mubarak farmate hain, LAM YASBIT hadis ibn masood yani ibn masood rz ki taraf ye mansoob ye riwayat saabit nahi.
    (tirmizi, j. 1, page 59, walilafz laho,
    at tehqeeq ibn jauzi j, 1, page 278,
    Tanqeeh ibn abdul hadi, j. 1, page 278,
    majmooh sharah mohazzab noowawi j. 3, page 403,
    Al-mughni ibn qadama j. 1, page 295,
    Neelul Autaar shokani, ji. 2, page 180

    2)
    Imam Shaaaafi ne is riwayat ko radd kar diya tha ke ye saabit nahi.
    (fathul baari, j. 2, page 175,
    zarqaani sharah muwatta j. 1, page 158

    3)
    Imam Ahmed Bin hambal rz ne is riwayat ko zaeef qarar diya hai.
    (At tamheed j. 9, page 219,
    Talkhees habeer j. 1, page 222)

    4)
    Imam Abu hatim ne bhi ise zaeef qarar diya hai.
    Illal hadees j. 1, page 96

    5)
    Imam Daruqutani farmate hain, LAM YASBAT (ye riwayat) saabit nahi.
    (Al allas darqutani, j. 5, page 172-173)

    6)
    Imam Ibn hibban farmate hain "yani ye riwayat sab se ziyadah zaeef hai kyunki iski illatein hain jo ise baatil qarar deti hain:
    (At Talkhees Habeer j. 1, page 122)

    7)
    Imam Abu dawood farmate hain,
    "ye riwayat ek taweel hadis ka ikhtisaar hai, aur in alfaaz ke saath ye riwayat sahih nahi hai:
    Abdu dawood Hadis 748 - matbua darus salam AUR abu dawod j. 1, page 116, batashee maulana hasan khan deobandi matbooa maktaba imdadiya multan AUR abu dawood aunul mabood j. 1, pag 173, AUR abu dawod ma mazal majhood j. 1, page 21,
    AUR abud dawood j. 1, page 173 matbooa Halb 1952 iswi AUR MISHKAAT page 77,
    AUR Tahqeeq fi ikhtilaful hadis j. 1, page 278,
    TAMHEED J. 9, PAGE 220,
    TALKHEES HABEER J. 1, PAGE 22)

    8)
    iMAM YAHYA BIN AADAM FARMATE HAIN,
    ZAEEF HAIN (DEKHO TALKHEES HABEER J. 1 PAGE 222)

    9)
    Imam abdubakar bazaar farmate hain:
    ye hadis saabit nahi aur hujjat bhi nahi:
    (Tamheed page 220-221)

    10)
    Imam Mohammed bin Wazaah farmate hain:
    Rafayadain na krne ki tamam riwayat zaeef hain:
    Tamheed j. 9, page 221)

    11)
    Imam bukhari rz farmate hain:
    YE RIWAYAT ZAEEF HAI:
    (TALKHEES HABEER J. 1, PAGE 222,
    MAJMOOA SHARAH MOHAZZAB J. 3, PAGE 402
    JUZZ RAFAYADAIN; PAGE 34

    12)
    Imam Qataan fasi ne is ziyadat (dobara na karne) ko khata qarar diya hai
    (nasb raaya j. 1, page 395)

    13)
    Imam ibn malqan ne zaeef qarar diya hai;
    (Albadr munir j. 3, page 492
    haashiya juzz rafayadain shaikh soori page 88

    14)
    Imam Haakim ne zaeef kaha
    (tehzibus sanan j. 2, page 449
    aur ibn qayyim mukhtasar khalafiyat j. 1, page 378

    15)
    Imam noowi ne (thezibus sanan, j. 2, page 449)

    16)
    Imam darmi
    (thezibus sanan, j. 2, page 449)

    17)
    Imam Beheqi ne bhi
    (Mukhtasar khalafiyat j. 1, page 378

    18)
    Imam Mohammed bin nasr marozi ne
    (nasbur raaya j. 1 page 395

    19)
    Imam Ibn qadama maqdasi
    (Almughni j. 1, page 295

    20)
    Imam Ibn Abdul Barr ne
    (Tamheed j. 9, page 221-222, aru maraat j. 3, page 84)

  11. #71
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    YE TAMAM BUZURG HASTIYA UMMAT MARHUMA KE NAZDIK SAQA WA MUSTANAD HAIN,
    INLOGO KA IS RIWAYAT KO BIL ITTEFAAQ ZAEEF WA MALOOL QARAR DENA IS BAAT KA KHULA SABOOT HAI KE YE RIWAYAT ZAEEF HAI:

    to socho itne ziyada aima logo ne is riwayat ko zaeef qarar diya.
    ab itne mohaddisin ke zaeef qarar dene ke muqaable me
    IMAM TIRMIZI KE HASAN KAHNA kya kaam ka??????????

    aur haan imam tirmizi raz hadis ko hasan kene me bhi mutasaahil hain.
    chunanche ulema usool ka mashoor qaul hai:
    :tirmizi hadis ko hasan kahne me mutasaahil hain'
    (Fatehul baari: 9/62)

  12. #72
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    CHAUTHI BAAT:

    khud hanafi ulema sayadna ibn masood raz ki in baato ko nahi maante: maslan:

    i) sayadna ibn masood raz bagair izaan wa iqaamat ke namaz padhne ke qaail wa faail the
    dekho: (kitabul asaar, by mohammed bin hasan sheebani, page 60, mutarjum)

    ii) bawaqt ruku ghutno par haath rakhne ke bajaye khutne ko darmiyan haath rakhte the.
    dekho (kitabul asaar, page 69)

    iii) Imamat ke waqt aage khade hone ke bajaye saf ke darmiyan khade hote the.
    dekho (kitabul asaar page 69)

    Imam mohammed ra. (imam abu hanifa ra ke shagird) (student) ye sab baatein naqal karne ke baad likhte hain "hum sayadna ibn masood raz ke qaul par amal nahi karte"
    dekho (kitabul asaar page 69)

    to socho rafayadain ke masle me kyun ek zaeef riwayat ko pakad kar baithe hain. jahan imam tirmizi ne is riwayat ko HASAN KAHA HAI. iske bawajood wo khud rafayadain karte the, aur isi ke qaail the. aur jahan imam tirmizi ra ke is qaul ke baad apni kitaam me tariqa-e-namaz bayan karte hain to waha rafayadain par 10 sahab kiram ka ijmaa bayan karke apni mohar sabat karte hain ke yahi nabi saw ki sunnat hai.

    vi) masla aamin biljaher wali hadis sufiyan soori ki waja se zaeef qarar dete hain. jaisa ke dars tirmizi (1/521) me maulana taqi usmani ne kaha hai, to yaha sufiyan soori ki hadis ko hasan kyu qarar diya jata hai agar aisa hai to phir aameen bil jaher ka moaqquf apnana padega.

Page 6 of 15 FirstFirst ... 3456789 ... LastLast

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •