Salaams, Me yahan itdunya per naya member hon mujhe expert hazraat se wireless router Linksys WRT54GL ke barey me kuch help chahye, me cable net thrugh router apne pas mojod aur dosre 2pc aur ek laptop per share karna chahta hon, me karachi me rehta hon aur dreamnet cable use karta hon jokeh user ko id aur password detey hain jis se ye cable connect hota hai aur agar ham www.whatismyip.com ke zarye apni ip check karen to har baar new ip address milta hai sath hi inho ne kuch aisa system kia hai ke lan card ke mac address per configure kia hai yani agar ham cable dosrey pc me laga kar net chalana chahen to wo nahi chalta jabtak pehle wala lan card bhi usme na lagaya jaye ya phir uska mac address dosre pc ke lan card me define na karaya jaye mene apne tor per thrugh wireless router internet share karane ki koshish ki magar pc to share hote hain magar net on nahi hota aur through router single pc per bhi net nahi chalta jabtak usko direct normal tarha na lagaya jaye, me issey pehle www.connect.net.pk walo ka cable net use karta tha wobhi user id and password assign hota tha aur har bar new ip address assign hota tha wo lan card ke mac address per configure nahi tha yaani cable kisi bhi dosre pc ke lan card me laga kar us pc per thrugh dialler apna user id and password enter karke net use kia jasakta tha magar wo bhi ek time me ek hi pc per chalta tha usper bhi router ke through net nahi chalta tha mene usper bhi try kia magar configure na hosaka, even wire ke jhanjhat se bachne kelye mene laptop per wireless router ke zarye net chalane ki koshish ki takeh ghar me kisi bhi jaga beth kar net use kia jasake magar sirf connect me router nazar ata hai magr net connect nahi hota lynksys ka configure page open hota hai magr uski configuration samajh me nahi arahi hai, kia koi member step by step ya scren shot ke zarye help kar sakta hai ke kese configure kia jayega. members ki taraf se help ka muntazir rahonga.


thanks.



hammad_aka*************
hamz98***********