Results 1 to 11 of 11

Thread: help for share cable net thru wireless router

  1. #1
    jantu is offline Member
    Last Online
    6th July 2009 @ 01:50 PM
    Join Date
    01 Aug 2008
    Age
    36
    Posts
    58
    Threads
    4
    Thanked
    0

    Smile help for share cable net thru wireless router

    Salaams, Me yahan itdunya per naya member hon mujhe expert hazraat se wireless router Linksys WRT54GL ke barey me kuch help chahye, me cable net thrugh router apne pas mojod aur dosre 2pc aur ek laptop per share karna chahta hon, me karachi me rehta hon aur dreamnet cable use karta hon jokeh user ko id aur password detey hain jis se ye cable connect hota hai aur agar ham www.whatismyip.com ke zarye apni ip check karen to har baar new ip address milta hai sath hi inho ne kuch aisa system kia hai ke lan card ke mac address per configure kia hai yani agar ham cable dosrey pc me laga kar net chalana chahen to wo nahi chalta jabtak pehle wala lan card bhi usme na lagaya jaye ya phir uska mac address dosre pc ke lan card me define na karaya jaye mene apne tor per thrugh wireless router internet share karane ki koshish ki magar pc to share hote hain magar net on nahi hota aur through router single pc per bhi net nahi chalta jabtak usko direct normal tarha na lagaya jaye, me issey pehle www.connect.net.pk walo ka cable net use karta tha wobhi user id and password assign hota tha aur har bar new ip address assign hota tha wo lan card ke mac address per configure nahi tha yaani cable kisi bhi dosre pc ke lan card me laga kar us pc per thrugh dialler apna user id and password enter karke net use kia jasakta tha magar wo bhi ek time me ek hi pc per chalta tha usper bhi router ke through net nahi chalta tha mene usper bhi try kia magar configure na hosaka, even wire ke jhanjhat se bachne kelye mene laptop per wireless router ke zarye net chalane ki koshish ki takeh ghar me kisi bhi jaga beth kar net use kia jasake magar sirf connect me router nazar ata hai magr net connect nahi hota lynksys ka configure page open hota hai magr uski configuration samajh me nahi arahi hai, kia koi member step by step ya scren shot ke zarye help kar sakta hai ke kese configure kia jayega. members ki taraf se help ka muntazir rahonga.


    thanks.



    hammad_aka*************
    hamz98***********

  2. #2
    Niqash's Avatar
    Niqash is offline Advance Member
    Last Online
    12th August 2021 @ 10:35 AM
    Join Date
    30 Jun 2008
    Posts
    4,569
    Threads
    160
    Credits
    58
    Thanked
    4

    Default

    Wlikum salam BRother

    pehly tu ye ke aap apna Mac Address Change ker ke Try ker lein

    Change Mac Address
    http://www.itdunya.com/showthread.php?t=27285


    2nd

    aap apny Aik system main aik Extra see Lan card Laga lein aur 1st Lan card ko 2nd Lan Card per share ker dein tu aap ko aik Network Mil jaye ga like 192.168.0.1

    tu aap 2nd Lan card see aik cable le ker Switch main lagain aur wahan see baki sab system main

    2nd lan card ka jo Ip hai wo aap ne Next system ka Getway ho ga

    3rd system Ip
    192.168.0.2
    255.255.255.0
    192.168.0.1

    aap try karin aur batain ke kia situation hai

  3. #3
    jantu is offline Member
    Last Online
    6th July 2009 @ 01:50 PM
    Join Date
    01 Aug 2008
    Age
    36
    Posts
    58
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    ok janaab brother Niqash bohat shukriya reply karne ka me apki hidayat ke mutabiq try karta hon mere systems me 2lan card pehle se installed hain mere ek dost ne shayed apke bataye huwe tariqe ki mutabiq aisa hi kia tha to kamyabi nahi hui thi dost kehta tha security lagi hai cable walo ki taraf se islye nahi ho raha jab dono pc per 2-2 lan cards install hain ek to motherboard ke sath builten hai aur ek ek alag se lagaya huwa hai, dost jab bhi dosra lan card kesath net cable active karta tha sharring ka option disable (fade) hojata tha aur direct cable connector lagatey thee to sharing option active nazar ata tha nahi huwa to tang akar chhor dia aur single pc use karne lage, abhi phir apke kehne ke mutabiq try karta hon. (aur ye jo apne oper switch likha hai to kia apki switch se murad wireless router hai jo mere pas hai ya iske lye simple switch kharidna hai?) thanks alot.

  4. #4
    NadeemGul's Avatar
    NadeemGul is offline Advance Member
    Last Online
    5th December 2021 @ 10:00 PM
    Join Date
    28 Dec 2005
    Posts
    987
    Threads
    17
    Credits
    1,374
    Thanked
    0

    Default

    jantu kiya aap ne apna router sahih tarah configure kiya hai. aru kiya uss router k ip aap clients par as gatway share karwa rhe hain.

    Niqash bhai the jo 192.168.0.1 wali ip batai hai, actually unn k murad aap ki router k ip se hai. agar aap k router k ip kuch aur hai to aap wo share karwain.

    REMEMBER...
    The shortest distance between a problem and a solution
    is the distance between your knees and the floor.
    The one who kneels to Allah,
    can stand up to anything.

  5. #5
    Niqash's Avatar
    Niqash is offline Advance Member
    Last Online
    12th August 2021 @ 10:35 AM
    Join Date
    30 Jun 2008
    Posts
    4,569
    Threads
    160
    Credits
    58
    Thanked
    4

    Default

    janab aap aik bar try karin thn batain ke problem kia arahi hai

    Switch jisey hum log hub bhi kehty hain baki aap yahan see check ker lein

    http://images.google.ae/images?q=dli...m=1&hl=en&sa=2

  6. #6
    zaidi62 is offline Advance Member
    Last Online
    23rd June 2021 @ 05:14 AM
    Join Date
    17 Dec 2006
    Posts
    1,054
    Threads
    15
    Credits
    1,360
    Thanked
    42

    Default

    Assalam-o-Alekum, Niqash bhai mera masla bhi jantu bhai ke hi jesa hay mere pas cable net dosre pc pr share nahi ho raha hay aur na mujhe configure karna araha hay shayad jantu bhai ke sath bhi yehi masla hoga, mere pas Linksys WRT54GL router hay mera ip address vypres chat pr wese to kuch aur hota hay magr jab router ke zarye vypres chat pr chk karta hon to 192.168.1.101 hota hay aur gateway 192.168.1.1 ata hay mager net kam nahi karta hay aur vypres per mere alawa koi dosra user bhi nazar nahi ata aur jabke wohi cable connector router me se nikal ke direct pc ke lancard me lagaeyn to vypress per lan per mojod baqi user bhi nazar atey hayn aur net bhi chal jata hay, please expert bhayo se guzarish hay ke agar hosake to scren shot k sath configuration samjha dayn to umeed hay ke me bhi configure kar sakon ga wese to kuch samajh me nahi araha hay itne option hayn, dosrey router per security lagana bhi bata dayn ke wo kese lagai jati hay takhe koi aur hamara router acces na kar sakey,, bohat shukriya expert bhayion ki janib se jawab ka intezar rahega.

  7. #7
    ~*hiway*~'s Avatar
    ~*hiway*~ is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd October 2011 @ 06:55 PM
    Join Date
    31 May 2007
    Location
    Khawabon Main .
    Posts
    15,131
    Threads
    364
    Credits
    0
    Thanked
    297

    Default

    zaidi62 aap agar do pcs he use kar rahay hain to aapko router ya switch ki zaroorat nahi, sirf aik mazeed lan card apnay pc main laga kar (jaisa kay niqash nay bataya) cross over cable ki madad say dooseray pc ko connect kar len. Issay na sirf dono pc apas main resources share kar sakay gaen bulkay internet bhee baasani share ho ga.

  8. #8
    Niqash's Avatar
    Niqash is offline Advance Member
    Last Online
    12th August 2021 @ 10:35 AM
    Join Date
    30 Jun 2008
    Posts
    4,569
    Threads
    160
    Credits
    58
    Thanked
    4

    Default

    Right Hiway Bhai

  9. #9
    zaidi62 is offline Advance Member
    Last Online
    23rd June 2021 @ 05:14 AM
    Join Date
    17 Dec 2006
    Posts
    1,054
    Threads
    15
    Credits
    1,360
    Thanked
    42

    Default

    Bohat shukriya janab Hiway bhai aur Niqash bhai jaldi jawab deney kelye me crossover cable banwa kar try karta hon or kia isme kisi software ki bhi zarorat hogi?

  10. #10
    Niqash's Avatar
    Niqash is offline Advance Member
    Last Online
    12th August 2021 @ 10:35 AM
    Join Date
    30 Jun 2008
    Posts
    4,569
    Threads
    160
    Credits
    58
    Thanked
    4

    Default

    Nahi kise bhi software ke Zaroorat nahi hia

  11. #11
    Saad's Avatar
    Saad is offline Senior Member+
    Last Online
    24th June 2015 @ 04:04 PM
    Join Date
    25 Oct 2009
    Location
    Ghar Pe
    Age
    26
    Gender
    Male
    Posts
    4,667
    Threads
    143
    Credits
    0
    Thanked
    603

    Default

    Ap apne router ka mac apne pc wala kr dein to chal jaye ga ap ke isp ne ccproxy ke thorugh connection diya hua hoga
    MohabBat mai YoUn Zabardasti achi nahi h0ti,,,

    Jab Uska DiL chahe tab meri h0 jayE

Similar Threads

  1. Can a wireless mouse be connected through wireless router??
    By Nazik Abbas in forum Ask an Expert
    Replies: 4
    Last Post: 1st October 2011, 05:08 PM
  2. Replies: 3
    Last Post: 12th December 2010, 01:22 AM
  3. Wireless Internet Cable
    By jamal007 in forum Ask an Expert
    Replies: 1
    Last Post: 24th December 2009, 01:29 AM
  4. Wireless Net Cable 1 Km
    By jamal007 in forum Ask an Expert
    Replies: 3
    Last Post: 8th September 2009, 02:24 PM
  5. help for share cable net thru wireless router
    By jantu in forum Ask an Expert
    Replies: 2
    Last Post: 27th August 2008, 04:59 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •