Zulmat ko zia, sar sar ko saba, banday ko khuda kya likhna

Deewar ko dar, pathar ko gauhar, jugnu ko diya kya likhna



Hashr bapa hai ghar ghar mein, dum ghut’ta hai gumbad-e-bedar mein

Ik shakhs kay hathon muddat se, ruswa hai watan duniya bhar mein

Aay deeda-waro iss zillat ko, kismet ka likha kya likhna

Zulmat ko zia, sar sar ko saba, banday ko khuda kya likhna



Logoon pay hi hum ne jaan wari, ki hum ne inhi ki gham khwari

Hote hain toh hon ye haath qalam, sha’ir na banain ge darbari

Iblees numa insanon ki, aye dost sana kia likhna

Zulmat ko zia , sarsar ko saba banday ko khuda kya likhna



Haq baat pe korray aur zindaan, batil ke shikanje main hai ye jaan

Insaan hain ke sehme bethe hain, khoon-khwar darinde hain raqsaan

Iss zulm-o-sitam ko lutf-o-karam, iss dukh ko dawa kya likhna

Zulmat ko zia , sarsar ko saba banday ko khuda kya likhna



Har shaam yahan shaam-e-weeran, aaseb zada raste galiyan

Jis shehr ki dhun main nikle thay, woh shehr dil-e-barbad kahan

Sehra ko chaman ban ko gulshan badal ko rida kia likhna

Zulmat ko zia, sa sar ko saba, banday ko khuda kia likhna



Aye mere watan ke fankaro, zulmat pe na apna fan waro

Ye mehl sara’on ke baasi, qatil hain sabhi apne yaro

Wirsay main hamain yeh gham hai mila, iss gham ko nayaa kia likhna

Zulmat ko zia, sarsar ko saba, banday ko Khuda kia likhna