Page 1 of 5 1234 ... LastLast
Results 1 to 12 of 58

Thread: ~*~Poetry~*~Ghar~*~

  1. #1
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Poetry~*~Ghar~*~

    Assalam-o-Alaikum Dosto.

    Dosto Mein Aaj Se Aik New Thread Bana Raha Hoon,

    Jis Ka Naam Poetry Ghar Hai,

    Mein Yahan Rozana Thread Ko Update Kiya Karon Ga,

    Hai Tu Yeh Urdu Rom Magar Mere Pas Nokia N96 Hai Jis Mein Urdu Nahi,

    Is Liye Mein Itd Ke Sab Membran Se Mazrat Chahta Hoon,

    Aur Esi Lakhai Se Poetry Likha Karon Ga,

    Aur Aap Sab Bhi Yahan Aap Pasand Ki Poetry Post Kar Sakte Hain,

    Meri Itd Ki Puri Team Se Darkhuwast Hai Ke Meharbani Farma Kar Is Thread Ko Sticky Mein Shamal Kar Dein,

    Aap Sab Kay Tawan Ka Shukriya. . .

  2. #2
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/1~*~

    Mujhe galey se laga lo bohat udaas hon main

    gham e jahan se chura lo bohat udaas hon main

    ye intzar ka dukh ab saha nahi jata tarap rahi hai mohbbat raa nhi jata

    tum apne pas bula lo bohat udaas hon main

    har eik saans main milney ki pyaas palti hai

    sulag raha hai badan or roh jalti hai

    bacha sako to bacha lo bohat udaas hon main

    bhatak chuka hon bohat zindagi ki rahon main

    mujhe ab aa k chupa lo tum apni bahon main

    mera sawal na talo bohat udaas hon mai. . .

    %Pö€TrY~KIñG%

  3. #3
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/2~*~

    Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay

    kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay

    Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb

    kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

    Kaash aisi koi rut koi moosam aaye

    khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

    Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hai

    aik roz to aayein wo hum ko mananay

    Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay

    khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay

    Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay

    aatay nahi loat k beetay howe zamanay . . .

    %Pö€TrY~KIñG%

  4. #4
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/3~*~

    Kabhi waqt mile to aajao
    Ham jheel kinare ja baithen,

    Tum apne sukh ki baat karo
    Hum apne dukh ki baat karain,

    Aur un lamhoon ki baat karain
    Jo sung tumhare beet gaye,

    Aur ehd-e-khizan ki nazar howy
    In sabz ruton k daman mai,

    Hum pyar ki khushbo mehkain
    In bikhray sabz nazaron ko,

    Ham aankhon men tasveer karain

    Phir apne pyar k jado se,

    Hum lamhoon ko jageer karain
    Kabhi waqt milaye to ajao.

    Hum jheel kinare ja baithen. . .

    %Pö€TrY~KIñG%

  5. #5
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/4~*~

    Sar Jhukaoge To Patthar Devtaa Ho Jaaye ga

    Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaaye ga

    Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai

    Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaaye ga

    Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya

    Tu Nahin Mera Tu Koi Doosra Ho Jaaye Ga

    Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto

    Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaaye Ga

    Sab Usi Ke Hain Hawa Khushboo, Zameen-o- Aasmaan

    Main Jahan Bhi Jaaoon ga Us Ko Pata Ho Jaaye ga

    Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar

    Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaaye ga. . .

    %Pö€TrY~KIñG%

  6. #6
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/5~*~

    Tere qareb aa kay bari
    uljhano main hon,

    Main dushmanon main
    hon k tere doston main hon,

    Badla na mere baad bhi
    mouzu-e-guftago,

    Main ja chuka hon phir
    bhi teri mehfilon main hon,

    Mujh se bichar k tu bhi
    to roye ga umer bhar,

    Yeh soch lay k main bhi
    teri khuwahishon main hon,

    Tu hans raha hai mujh
    pey mera haal daikh ker,

    Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon. . .

    %Pö€TrY~KIñG%

  7. #7
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/6~*~

    Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein

    Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

    Khuwabon aur Khyaalon Mein
    Mera hi Chehra Tarasha Ho g

    Raah Chaltey jo us ko Mera khyaal Aaya Ho ga

    Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga

    Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey

    Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi

    Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

    Aur na Pa ke Mujhey Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi

    Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

    Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi

    Tanha Sard Raat Mein Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey

    Khyaalon hi Khyaalon Mein Haath us ney Mera Thama Ho ga

    Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar

    Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga. . .

    %Pö€TrY~KIñG%

  8. #8
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/7~*~

    "GHALIB V/S Faraz V/S iqbal"

    Bikney Waaly Or bhi hen Jaa Kr Khreed Lo "GHALIB"

    Ham Log Qeemat Se Nahen, Qismat Se Mila Krtey Hain

    Faraz rply

    Agar Chahoon to ik nigaah men khareed loon usko ""Faraz""

    Jis ko naaz hai bohat k bikta nahi hoon main...!

    Iqbal rply

    Kis ki hai majal k hum ko kharid sakey "IQBAL"

    Hum to khud hi bik gaye kharidaar dekh kr...

    %Pö€TrY~KIñG%

  9. #9
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/8~*~

    Woh Shakhs Kabhi Dasht Se Guzray Tau Ussay Kehna

    Ek Pal Mere Ghar Mein Bhi Thehray Ussay Kehna

    Kehna K Samundar K Kinaray Pe Na Jaaye

    Kuch Log Samundar Se Bhi Hain Gehray Ussay Kehna

    Zarkhaiz Zameenain Kabhi Banjar Nahin Hoti

    Dariya Hi Badal Laitay Hain Rasta Ussay Kehna

    Kuch Log Safar K Liye Mozoon Nahin Hotay

    Kuch Rastay Kat-Tay Nahin Tanha Ussa Kehna

    Is Shehr Mein Sach Keh K Gunehgaar Na Hona

    K Basti K Sabhi Log Hain Behray Ussay Kehna...!!!

    %Pö€TrY~KIñG%

  10. #10
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/9~*~

    Ye sheshon k sapnay,
    Ye dhaagon k rishtay,

    Kisy ha khabar k kahan toot jain,

    Muhbat k darya main tinkay wafa k,

    Kisy ha khabar k kahan doob jain,

    Ajab dil ki basti, Ajab dil ki halat,

    Hr ik morr mausam nayi chaahton ka,

    Lagaye hain hum ny bhe sapnoo k poday,

    Mgr kia bharosa yahan barishon ka,

    Jinhay dil se pooja,
    Jinhe dil se chaha,

    Kise ha khabar k kahan chor jain..

    %Pö€TrY~KIñG%

  11. #11
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/10~*~

    "Mare jaise Ban jao Gy"
    jab ISHQ tumhe Ho jae Ga"

    Diwano Sa hal ho jay Ga"
    jab ISHQ tumhe Ho jae Ga"

    Tanhai k jhuley jhulo Gy"
    Hr Bat Purani Bhulo Gy"

    Ainey Se Ghabrao Gy
    jab ISHQ tumhe Ho jai Ga"

    Jab Suraj B So jai Ga"
    Aur Chand Kahin kho jai Ga"

    Tum B Ghar Dair Se Aao Gy"
    jab ISHQ tumhe Ho jae Ga"

    Bechaniyan jab Barh jain Gi"
    Aur yad kisi ki Aye Gi"

    Tum Meri Ghazlain Gao Gy"
    jab ISHQ tumhe Ho jae ga..

    %Pö€TrY~KIñG%

  12. #12
    l-l4roon's Avatar
    l-l4roon is offline Senior Member+
    Last Online
    26th November 2021 @ 06:15 PM
    Join Date
    29 Jun 2011
    Location
    tarbela (dam)
    Gender
    Male
    Posts
    335
    Threads
    26
    Credits
    0
    Thanked
    29

    Default

    Nice eff0rt brother . . Keep sharing

Page 1 of 5 1234 ... LastLast

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •