Page 2 of 5 FirstFirst 12345 LastLast
Results 13 to 24 of 58

Thread: ~*~Poetry~*~Ghar~*~

  1. #13
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Default

    Quote l-l4roon said: View Post
    Nice eff0rt brother . . Keep sharing
    Pasand Karne Ka Shukriya Ji.

  2. #14
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/11~*~

    Hathon main pighal janay ko jee chahta hay.

    Aatish-e-shoaq main jal janay ko jee chahta hay.

    Tujh say ik raaz ki sargoshi bhi karna chahoon.

    Phir wohi raaz nigal janay ko jee chahta hay.

    Dil yeh chahay kay tere dil main rahoon dil ban kay.

    Phir Usi Dil Say Nikal Janay Ko Jee Chahta Hay.

    Wehshat Abad Makanon Main Nahi Jee Lagta.

    Sheher Say Door Nikal Janay Ko Jee Chahta Hay.

    Hum Say Yeh Rasm Ki Zanjeer Bhi Kab Toot Saqi.

    Dil Ki Zidd Par Bhi Machal Janay Ko Jee Chahta Hay. . .

    %Pö€TrY~KIñG%

  3. #15
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/12~*~

    Akeley pan se darti hon Judaa honey se darti hon,

    Meri ankhein bataati hain k main sonay se derti hon.

    Meri ungli pakar lena muJhey tanha nahi karna,

    Ye duniya ek mela hai tumhein khoney se darti hon,

    Main hansti hon to ankhon k goshay bheeg Jaatay hain,

    Tumhein maloom hai main is tarah roney se darti hon,

    Jab se khwaab dekha hai muJhey tum chor Jao gay,

    Main darti hon khwaabon se, main ab sonay se darti hon. . .

    %Pö€TrY~KIñG%

  4. #16
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/13~*~

    TERI AANKHON MEIN MERE DIL KA NAQSHA HO B SAKTA HAI.

    JISE DEEWAR SAMJHA HAI WO WO RASTA HO B SAKTA HAI.

    ZAMANA GHOR SE DEKHE JISE US NE KHUDA SAMJHA.

    WO US K HAATH KA PATHAR TARASHA HO B SAKTA HAI.

    NAZAR SE DOOR REH KER B,KISI KI SOCH MAIN REHNA.

    KISI K PASS REHNE KA TAREEQA HO B SAKTA HAI.

    WO APNI SARDMEHRI SE MUJHE HAD MAIN TO RAKHTA HAI.

    MERA HAD SE GUZERNE KA IRADA HO B SAKTA HAI.

    BHARI DUNIYA KA MELA SAATH HO TO KON SI MUSHKIL.

    MAGAR IK SHAKHAS MELE MAIN AKELA HO B SAKTA HAI.

    YE SEEDHI RAAH PER CHALNA KAHAN SE SEEKH AAYE HO.

    YE RASTA PAYAR KA HAI,TERRA HO B SAKTA HAI.

    MAIN APNE JISM-O-JAAN KO SAATH REHTE DEKH KER SAMJHA.

    NIBHANA HO JISE MUSHKIL WO RISHTA HO B SAKTA HAI.

    UCHALTA THOKREN KHATA HOWA PAANI KA IK DHAARA.

    TERE DIL TAK POHANCHNE KA BAHANA HO B SAKTA HAI.

    NIKAL KER BAND KAMRE SE ZARA BAZAAR MAIN AAO.

    AGAR TUM DEKHNA CHAHO TAMASHA HO B SAKTA HAI..!

    %Pö€TrY~KIñG%

  5. #17
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Thumbs up ~*~Ghazal-No/14~*~

    Hyaat Ke Ujrey Dyaar Mein Kuch
    Tarekiyaan Abhi Aur Hain

    Naseeb Ke Bigrey Nisaab Mein Kuch Talkhiyaan Abhi Aur Hain

    Main Ne Phir Se Tinkey Jorr Kar
    Socha Ke Banaaon Aik Ghar

    Mujhey Tabhi Falak Se Nawa Mili
    Ke Wahaan Badliyaan Abhi Aur Hain

    Yahi Dekh Ab Ke Teray Khwaab Sab Kyon Dhal Gye Hain Sarab Mein

    Dil E Be Khabar Zara Hosh Kar Ke Teray Imtehaan Abhi Aur
    Hain. . .

    %Pö€TrY~KIñG%

  6. #18
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Default ~*~Ghazal-No/15~*~

    Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey Kahaan Moor Tha.

    Ussay Bhool Jaa Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh Joo Nahi Mila

    Ussay Bhool Jaa Woh Tere Naseeb Ki Baarishein,

    Kisi Aur Chhat Pe Pe Baras Gayien,

    Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun Ussay Bhool Jaa Ussay Bhool Ja

    Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein,

    Teri Aass Tere Gumaan Mein Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein,

    Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa

    Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e- Gham

    Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam,

    Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Ja

    Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi,

    Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuab Thaa,

    Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liye Tera Jaagna Ussay Bhool Jaa,

    Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa,

    Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar

    Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e- Aaena Ussay Bhool Jaa

    Jo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya Woh Jo Rastey Mein Palatt Gaya

    Ussay Rookney Sey Husool Kya, Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Ja.

    %Pö€TrY~KIñG%

  7. #19
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Default ~*~Ghazal-No/16~*~

    *~~ Dhop Se kya k ghani chaon se b dar lagta hai *~~

    Jagti ankhon nay dekhy hain manazar Aisy *~~

    Hum nay chehron Py yahan chehry sajhy dekhy hain *~~

    Dil shikasta hai esy ab kya bacha kar rakhna *~~

    In Seerabon ma na kho jaen kahen phir Nadan *~~

    Be-wafaon ki wafaon se dar lagta hai *~~

    Ab hamen naik naghahon se bhi dar lagta hai *~~

    Kya kahen inki Adaon se bhi dar lagta hai *~~

    Hath uthaen to duaon se bhi dar lagta hai *~~

    Raha chunty hain to rahon se bhi dar lagta hai. . .

    %Pö€TrY~KIñG%

  8. #20
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Default ~*~Ghazal-No/17~*~

    Gham-E-Hijr-E-Yaar Kab Tak Rahoon Be- Qaraar Kab Tak?

    Mere Dil Bata Ye Mujh Ko Karoon Us Ko Pyar Kab Tak?

    Ye Hujoom-E-Naa-Muradi Gham-E- Be-Shumaar Kab Tak?

    Teri Baat Ka Bharosah Tera Intizaar Kab Tak?

    Shab-E-Hijr Ki Udaasi Kaheen Mujh Ko Le Na Doobe!

    Meri Dharkanon Pe Ho Ga Tera Ikhtiyaar Kab Tak?

    Na Hi Aaj Ka Bharosah Na Hi Kal Ki Hain Umeedein

    Teri Reh-Guzar Takoon Main Shab- E-Wasl-E-Yaar Kab Tak?

    Jahaan Dekhiye Andhera Jahaan Sochiye Udaasi!

    Raah-E-Zindagi Mein Yaa Rab Rahe Ga Ghubaar Kab Tak?

    Main Nikal Para Tha Tanha Liye Saare Ranj Dil Par

    Magar Phir Khayaal Aaya Ke Sahoon Ye Baar Kab Tak?

    Meri Aankhein Tak Rahin Hain Teri Waapsi Ki Raahein

    Tu Hi Ab Bata De Mujh Ko Karun Intizaar Kab Tak?

    Mujhe Yoon To De Gaya Hai Woh Dilasah Jaate Jaate

    Magar Ab Yeh Sochta Hoon Karon Etibaar Kab Tak?

    %Pö€TrY~KIñG%

  9. #21
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Default ~*~Ghazal-No/18~*~

    *~~ AL-WEDA ~~*

    *~ Boht Tkleef deta hai Kisi ko Al-Wedaa kehnA

    *~ Dekhai kuch Nhi deta sunai kuch Nhi detA

    *~ Faqt kuch Kapkapatey Lafz Jo Honton pr Thehar jaiN

    *~ Ubharti Dobti Dharkn Usey Awaz deti haI

    *~ Koi Apna k Jis ka Nam Apne Dil pe lekha hO

    *~ K Jis k Wastey Dil se Duaen hi Nikalti hoN

    *~ Boht Tkleef deta hai Usi ko Al-Wedaa kehnA

    *~ Jisey Dil mei Bsaya ho Barry hi Maan saY

    *~ Jisko Kbhi Apna Bnaya ho Boht
    Tkleef hoti haI

    *~ Boht Tkleef deta hai Usi ko Al-Wedaa kehnA

    *~ Boht Tkleef deta hai Usi ko Al-Wedaa kehnA...!

    %Pö€TrY~KIñG%

  10. #22
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Default ~*~Ghazal-No/19~*~

    Shikwa Teri "Yaadon" Se Is tarha Kiya Hum Ne.

    Hanstay Hanstay Dil Ko "Rula" Diya Hum Ne.

    Ek Lamha Diya Tu Ne "Jeene" K Liye,

    Aur Us Mein Zindagi Ko "Bita" Diya Hum Ne.

    Ek Safhe Pe Likhi Teri Yaad Ki "Dastaan",

    Doosra Hisa "Khaali" Hi Jalaa Diya Hum Ne.

    Kis Baat Ki "Maazrat" Chahte Hain Wo,

    Jis Baat Ko Sunte Hi "Bhula" Diya Hum Ne.

    Wo Kiyoun Nahi Aate Hamaare Paas "*FARAZ*"

    Jin Ki Raahon Main Palkon Ko Bicha Diya Hum Ne.

    %Pö€TrY~KIñG%

  11. #23
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Default ~*~Ghazal-No/20~*~

    Guzray Huay Taweel Zamanay Ke Baad Bhi

    Dil Main Raha Wo Chor Ke Janay Ke Baad Bhi

    Pehlu Main Reh Ke Dil Ne Dia Hai Bohat Faraib

    Rakha Hai Us Ko Yaad
    Bhulanay Ke Bad Bhi

    Qurbat Ke Baad Aur Bhi Qurbat Ki Talash

    Dil Mutmain Nahin Hai Teray Aanay Ke Baad Bhi

    Go Tu Yahan Nahin Hai Mager Tu Yahein Pe Hai

    Tera Hi Zikar Hai Teray Janay Ke Baad Bhi

    Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahin Hai Usay Adeem

    Dil Ka Tamam Haal Sunanay Ke Bad Bhi. . .

    %Pö€TrY~KIñG%

  12. #24
    SHAH-G's Avatar
    SHAH-G is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd November 2012 @ 08:22 PM
    Join Date
    13 Mar 2011
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    215
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Default ~*~Ghazal-No/21~*~

    Ye kya har dam kisi ki minnatein karna.

    kya issi ko kehte ho mohbbat karna.

    jo apni qismat mein hai mile ga wohi,

    phir kis baat pe RAB se shikayeten karna,

    ye pagal pan nahi to or kya hai; ,,,,WASI,,,,

    phir zameen k ho kar aasman se baghawtein karna,

    bohat kar chuka hai logo pyaar ye dil

    ab koi sikhaye is ko bhi nafratein karna.

    phele yaad karna usay phir rote rehna.

    na jane kab choray ga dil ye harkatein karna. . .

    %Pö€TrY~KIñG%

Page 2 of 5 FirstFirst 12345 LastLast

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •