toote hue khwabon se zindagi bana leti hoon,
main kaanch ke tukdon se aaina bana leti hoon,

phenkte hain log jo patthar mujhpe,
main sabko jodkar moorat bana leti hoon,

raaah-e-manzil mein ho kitni bhi mushkilein,
main jab thaanta hoon raasta bana leti hoon,

raat ke andhere mein bhatkta nahin main,
har sitare ko apna chaand bana leti hoon,

na poocho mujhse meri sehat ka raaz,
main har dard ko dawa bana leti hoon

vo itrate hain apni haath kee lakeeron pe,
main mehnat se apni taqdeer bana leti hoon,

mere rait ke mahal dekh ke hansne walon.
main iradon ko faulaad bana leti hoon,

aate nahin jo bure waqt pe kaam mere,
main aise doston ko guzra hua waqt bana leti hoon,

aasmaan mein chaand ko takti nahin main,
aage haath bada ke apna bana leti hoon,

milta nahin jab mandiron masjid mein vo.
main mohabbat ko apna khuda bana leti hoon,

manzil pe pahunch ke rukti nahin main,
ek naye sooraj ko apna mukaam bana leti hoon,

jeevan mein ho mere kitna bhi andhera,
insaan hoon do patthar se aag bana leti hoon,

apnon se karti nahin koi gila shikva,
main dushmanon ko bhi apna dost bana leti hoon,

daulat shohrat ke peeche bhaagti nahin ,
bheed se alag pehchan bana leti hoon.

umeed ka daman kabhi chhodta nahin mera
ek deepak se roshni bana leti hoon,

uske liye vo zindagi ke kuch pal the
mere liye vo kuch pal hee zindagi the