Jis Tarah Ki Hain Ye Divaren Ye Dar Jaisa Bhii Hai
jis tarah ki hain ye divaren ye dar jaisa bhi hai
sar chipane ko mayassar to hai ghar jaisa bhi hai
us ko mujh se mujh ko us se nisbaten hain beshumaar
meri chahat kaa hai mahavar ye nagar jaisa bhi hai
chal pada hun shauq-e-beparvaah ko murshad maan kar
raastaa pur_pech hai yaa pur_Khatar jaisa bhi hai
sab gavaaraa hai thakan saarii dukhan saari chubhan
ek Khushbu ke liye hai ye safar jaisaa bhi hai
vo to hai makhsuus ik terii mohabbat ke liye
teraa 'Anwar' baa_hunar yaa be_hunar jaisaa bhi hai
Poet Anwar Masood
Bookmarks