Dear All,
Kia koi kisi mufti say pata kar kay bata sakta hay is maslay ka hall:
Bivi Kahti hay kay Shohar nay Talak Dee Hay. Aur Shohar Kahta hay kay nahi dee hay. (In kay 4 son hain umar 10-8-4-6-1)
Bivi shohar kay gharr chorr kar apnay Waldain kay gharr chali jati hay.
Shohar ghar basana chahta hay aur us nay har tareeka say sullah ki koshish karta hay relative, neighbours, friends, kay zariya say.
Is doraan Bivi tang a kar Adalat mai Khulla ka Dawa Kar Daiti Hay.
Adalat ka judge kafi koshish kart hay kay ya gharr bus jaie lakin Bivi Bazid hay kay mai nay is ka sath nahi rahna is na talaq day di hay mugha khulla da di jai.
Judge tang akar Khula Day daita hay.
after 6 months Bivi kay ghar walay us ko us kay shohar kay sath us kay ghar behij daitay hain.
Ab wo dono aur un kay bachay ikathay rah rahay hain.
Kia un ka ikathay rahna durusst Hay?
Kia un ko dobar Nikkah Karna Chaheyay?
KIa wo Zana kay Murtakab Ho rahah Hay?
Kia un ko Hilala Karana Chahiyay?
Kia relatives (Bahan, Bahi, others) ko un say milna chahiyay?
Is ka Kia Hall Hay.

Meri request hay kay yai masla sanjeeda hay aur sanjeeda logo say his is maslay kay hal khus sahib e ilam Ya Kisi Sahib e ilam (Mufti, Imam) say consult kar kay Batiain.

Thanks for all.