Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 12 of 28

Thread: ap ki passand

  1. #1
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default ap ki passand

    Kuch Is Tarha Se "NAZAR ANDAAZ" kar diya logon ne humein, "wasi"... Jaise, izaafi lafz They Hum unki Zindgi Ki Kitaab Men. "Toot k bikhrte hon to is baat ka ehsas hota hy, ""wasi"" ""Zindagi itni takleef deti hai to phir maut ka Aalm kia ho ga

  2. #2
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Urdu ghazal
    Jo Likh Diya Hai Aapne, Khoone
    Jigar Se
    Hum To Kahenge Yahi, Hume
    Apana Bimaar Kijiye
    Wada Raha Ye Aapse, Nibhayenge Dosti
    Rah-e-Wafa Mein Hain Khade,
    Didaar Kijiye
    Jo Khwaab Dekhe Aapne, Pura
    Karenge Hum
    Apani Diwangi Ka Jara, Ikraar Kijiye
    Hone Na Denge Kabhi, Rooswa
    Hum Aapko
    Apani Inayato Se Hume,
    SarobaarKijiye
    Ab Maan Bhi Jayiye, Sarkar Aap To
    Ab Aur Hume Yu Na, Bekarar
    Kijiye

  3. #3
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Zruri Nhi Ki Pyar Me ManziL MiL
    JayeJise Hm Chahte H Wo Hume
    MiL JayeNa MiLe To Na Kaho Use
    BewafaDua Kro K Humse Bhi
    Pyara Use koi MiL Jaye



    Dua hai ki aap yu hi
    muskurana,Ankhon me apni nami
    kabhi na lana,Mana zindagi ki
    raho me kuch kante biche
    honge,Par hum hath rakh denge or aap nikal jana.

  4. #4
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Pyar m use is kadar krta chala
    gya. Wo jakhm diye jaye aur m
    bharta chala gya.. Uski ye jid h
    ki wo mujhe mar hi dale.. Aur
    meri ye jid k m uspe mrta chala gya




    Rasto me patharo ki kami nahi
    hai.Dil me tute huye sapno ki
    kami nahi hai.Hum chahte hai
    unko apna banana.Par woh
    kehte hai unke paas apno ki kami nahi hai

  5. #5
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Toot K Bikhre To Ye Ehsaas
    Hua,Har Ek Se Mukhlis Hua Nahi
    Karte.Yahan Masoom Chehre
    Loot Lete Hain,Har Ek Pe Aitebar
    Kiya Nahi Karte.... Wo Tera Na HuaTo Kiya Hua,Ek Shakhs Ki
    Umeed Pe Jiya Nahi Karte.Pal
    Bhar Mai Badal Jate Hain Log
    Yahan,Aise Logon Se Mohabat
    Kiya Nahi Karte..

  6. #6
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    parveen shakhir


    Baarish huee to phuloN ke tan
    chaak ho gaye
    Mausam ke haath bheeg ke
    saffaak ho gaye
    Baadal ko kya khabar hai k baarish ki chaahmeN
    Kitne buland-o-baala shajar
    khaak ho gaye
    Jugnu ko din ke waqt parakhne
    ki zidd kareN
    Bachche hamaare ahd ke chaalaak ho gaye
    Lehra rahi hai barf ki chaadar
    hata ke ghaas
    Sooraj ki shah pe tinke bhi
    bebaak ho gaye
    Sooraj-dimaag log bhiiblaagh-e- fikr mein
    Zulf-e-shab-e-firaaq ke
    pechaak ho gaye
    Jab bhi ghareeb-e-shehar se
    kuch guftagu huee
    Lehje hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye
    Saahil pe jitne aabguzeeda
    thhay sab ke sab
    Dariya ke rukh badalte hi
    tairaak ho gaye

  7. #7
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Taazaa muhabbatoN ka nasha
    jism-O-jaaN meN hai
    Phir mausam-E-bahaar mere
    gulsitaaN meN hai
    Ik khaab hai ke baar-E-digar dekhte haiN hum
    Ik aashna si roshni saare
    makaaN meN hai
    Tabish meN apni mehr-O-mah-O-
    najamse siwa
    Jugnoo se yeh zameen ko kaf- e-aasmaaN meN hai
    Ik shaakh-E-yaasmeen thi kal
    tak khizaaN asar
    Aur aaj sara baaGh ussi ki
    amaaN meN hai
    Khushbu ko tark karke na laaye chaman meN rang
    Itni to soojh boojh mere
    baaghbaaN meN hai
    Lashkar ki aankh maal-E-
    ghaneemat pehai lagi
    Salaar-E-fauj aur kisiimtehaaN meN hai
    Har jaan nisaar yaad dihaani
    meN munhamik
    Naiki ka har hisaab dil-E-
    dostaaN meN hai
    Hairat se dekhta hai samandar meri taraf
    Kashti meN koi baat hai ya
    baadbaaN meN hai
    Uska bhi dheyaan jashn ki shab
    ae sipahdost
    Baqi abhi jo teer, uduu ki kamaaN meN hai
    Baithe raheNge shaamtalak tere
    sheesha gar
    Yeh jaante huye ke khasaaraa
    dukaaN meN hai

  8. #8
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Shaayed uss ne mujhko tanha
    dekh liya hai
    Dukh ne mere ghar karasta
    dekh liya hai
    Apne aap se aankh churaaye phirti hoon main
    Aayine mein kiska chehra dekh
    liya hai
    Ab bhi sapne boye to eimaan hai
    uska
    Usne in aankhon mein sehra dekh liya hai
    Uss ne mujhe dar-asalkabhi
    chaha hi nahi tha
    Khud ko de ker yeh bhi dhoka
    dekh liya hai
    Uss se milte waqt ka rona kuch fitri tha
    Uss se bichar jaane ka nateeja
    dekh liya hai
    Rukhsat karne ke aadaab
    nibhaane hi they
    Band aankhon se uskojata dekh liya hai !!

  9. #9
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Chalne ka hosla nahin,rukna
    mahaal ker diya!!
    Ishq k is safar ne toa mujhko
    nidhaal ker diya!!
    Aye meri gull zameentujhe chah thi ik kitaab ki!!
    Ehl-e-kitaab ney magar kya
    tera haal ker diya!!
    Miltey huwe dilon ke beech aur
    the faisla koi.!!!
    Usne magar bicharte waqt aur sawal ker diya!!
    Ab ke hawa ke saath hai
    daman-e-yaar muntazir..!!!
    Bano-e-shab ke haathmain
    rakhna sanmbhalker diya!!
    Mumkina faisloon main ek, hijr ka faisla bhi tha
    Humne to ek baat ki, usne
    kamaal ker diya.!!!!
    Mere labon pe mohar thi,
    permeray sheesharoo ne toa..!!
    Sheher ke sheher ko mera waqif-e-haal kerdiya!!
    Chehra-O-naam ek saath aaj na
    yaad aa sake..
    Waqt ne kis shabeeh ko
    khuwab-o-khayal ker diya..!!!
    Muddaton baad usne aaj mujhse koi gila kiya.!!!
    Mansab-e-dilbari peh kya mujh
    ko bahaal ker diya..????

  10. #10
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Khulegi uss nazar pe chashm-e-
    tar aahista-aahista
    Kiya jaata hai paani mein safar
    aahista-aahista
    Koi zanjeer phir waapas waheeN par leke aati hai
    Kathin ho raah to chhutta hai
    ghar aahista-aahista
    Badal dena hai rasta ya kaheeN
    par baith jaana hai
    K thakta jaa raha hai humsafar aahista-aahista
    Khalish ke saath iss dil se na
    meri jaan nikal jaaye
    Khinche teer-e-shanaasaai
    magar aahista-aahista
    Hawa se sarkashi meinphool ka apna zayaaNdekha
    So jhukta jaa raha haiab ye sar
    aahista-aahista
    Meri shola mijaazi ko wo jangal
    kaise raas aaye
    Hawa bhi saans letii ho jidhar aahista-aahista.

  11. #11
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    wo tha bara nadan,pr wo khosh
    jabeen tha
    wo yar mera onchy mkanon ka
    makeen tha
    wo dosry kenary ka joarman rah gaya
    sona ha k mowjon ka bara
    sakhat aiin tha
    dil ne ankhon sy mel kraz pash
    kr diye
    ye dil mera dosto sub sy ameen tha
    ab khowb me b muj sywahi dor
    dor ha
    jo gue zamane me mera
    dilnasheen tha
    os jehel k daman me hazaron k phool thy
    pr mera tahir,mera kanwl sb sy
    haseen tha

  12. #12
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default


    Suno !!
    Mohabbat Yoon Nahi Hoti

    Kisi Ka Naam Lene Se
    Kisi Ko Thaam Lene Se
    Kisi Ke Paas Jaane Se
    Kisi Ke Door Jane Se

    Mohabbat Ka Janam Nahi Hota
    Jab Tak Dilo’n Ka Milan Nahi Hota

    Suno !!
    Mohabbat Yoon Nahi Hoti

    Ye Raabta Hai Dil Se Dil Ka
    Ye Naam Hai Be.tarteeb Dharkanoun Ka
    Mohabbat Tou Aankhon Se Bayan Hoti Hai
    Ye Tou Dil Ki Zubaan Hoti Hai

    Suno !!
    Mohabbat Yoon Nahi Hoti..

Page 1 of 3 123 LastLast

Similar Threads

  1. education ko passand karne ke tips.
    By sadlover in forum Educational Discussion
    Replies: 26
    Last Post: 2nd November 2012, 03:13 PM
  2. Replies: 63
    Last Post: 7th July 2010, 02:07 PM
  3. Larkia mehndi Kyo passand karti hai
    By king_khana1 in forum Khawateen ki dunya
    Replies: 30
    Last Post: 1st July 2010, 11:58 AM
  4. khane me kia passand he karte hain aap?
    By Jamali33 in forum Baat cheet
    Replies: 19
    Last Post: 24th June 2010, 09:25 AM
  5. Aasaan Passand....?
    By muzafarmohsin in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 29
    Last Post: 8th October 2009, 07:37 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •