Page 2 of 3 FirstFirst 123 LastLast
Results 13 to 24 of 28

Thread: ap ki passand

  1. #13
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina
    Mujhay tum azmanay se zara pahlay bata daina

    Kisi heelay bahanay se zara pahlay bata daina
    K mujh ko tum bholanay se zara pahlay bata daina

    Zamin ke rait pe tum ne mohabbat se likhi thi jo
    Woh tahrerain mitanay se zara pahlay bata daina

    Mairay dilber k is dil per main rakh loon zabt ka pathar
    Suno daman churanay se zara pahlay bata daina

    Kisi bhi mor pe “Mohsin” bura pao agar mujh ko
    Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina..

  2. #14
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    (GAZAL) Naam us ka liya to
    uljhen c ho gai! Shayad humein
    us se mohabat c ho gai! Wo
    karta raha badnaam humein
    logon mein! Humein b mashhor hony ki aadat c ho gai! Us k
    aany se pehly sari kaenat mein
    thi khizan! us k aany k
    badduniya mein sajawat c ho [...]

  3. #15
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Hum Se Bichar K Us Ka Takbbur
    Bikhar Gaya FarazHar Ek Se Mil
    Raha Hy Barii Aajzii K Saat



    Choro un ki La_Parwahi ka gila..
    FaRaz Aaj phir Hum hi yaadkar
    lete hain Unhain Humaisha ki
    tarah.


    Hum Se Bichar K Us Ka Takbbur
    Bikhar Gaya FarazHar Ek Se Mil
    Raha Hy Barii Aajzii K Saat


    Beqarari meri dekh li hai to ab
    mera zabt b dekhna FARAZ, Itna
    khamosh rahun ga k cheekh
    uthay ga woh.

  4. #16
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Suna hai log usay aankh bhar
    ke dekhte hain
    So us ke shahar main kuchh din
    thehr ke dekhte hain
    Suna hai rabt hai us kokharab halon se
    So apne aap ko barbadkar ke
    dekhte hain
    Suna hai dard ki gahakhain
    chashm-e nazuk us ki
    So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
    Suna hai us ko bhi hai sher-o
    shayari se shagaf
    So ham bhi mojazay apnay
    hunar ke dekhtehain
    Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
    Ye baat hai to chalo baat kar
    ke dekhte hain
    Suna hai raat use chand takta
    rehta hai
    Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain
    Suna hai hashr hain uski ghazaal
    si aankhain
    Suna hai us ko hiran dasht bhar
    ke dekhte hain
    Suna hai din ko usay titliyan satati hain
    Suna hai raat ko jugnothahar
    ke dekhte hain
    Suna hai rat se barh kar hain
    kakulan us ki
    Suna hai sham ko sayeguzar ke dekhte hain
    Suna hai us ki siyah chashmagi
    qiyamat hai
    So us ko surma farosh aankh
    bhar ke dekhte hain
    Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
    So ham bahar par ilzaam dhar
    ke dekhte hain
    Suna hai aaina tamasalhai jabin
    us ka
    Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
    Suna hai jab se hamail hain us ki
    gardan main
    Mizaj aur hi lal-o gauhar ke
    dekhte hain
    Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
    Palang zawaiya us ki kamar ke
    dekhte hain
    Suna hai us ke badan ke tarash
    aisay hain
    Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
    Woh sarvqad hai magar begul-e
    muraadnahin
    Ke us shajar pe shagufay samar
    ke dekhte hain
    Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
    So rahravaan-e tamannaa bhi
    dar ke dekhte hain
    Suna hai us ke shabistan se
    mutasil hai behisht
    Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhtehain
    Rukay tu gardishain uska tawaf
    karti hain
    Chalay to us ko zamanay
    theher ke dekhte hain
    Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
    Kabhi kabhi dar-o divaar ghar
    ke dekhte hain
    Kahaniyan hi sahi sab
    mubalaghay hi sahi
    Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
    Ab us ke sheher main thehrain
    ke kooch kar jayan
    Faraz aao sitaray safar ke
    dekhte hain

  5. #17
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Yeh dil ka chor ke is
    kizaroortain theen bohat,
    Wagarna tark-e-taluq ki
    soortain theen bohat,
    Miley to toot roye na khul ke batain keen,
    Ke jese ab dilon mein Kudurtain
    theen bohat,
    Bula diye hain tere gham ne
    dukh zamane ke,
    Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat,
    Dareeda peerhano ka khayal
    kya ata,
    Ameer sheher ki apni
    zarooratain theen bohat,
    Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
    Wagarna sheher mein hum-
    shakal soortain theen bohat

  6. #18
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Hui Hai Shaam Tou aankhon mein
    Bas Gayaa Phir tu,
    kahaan gayaa hai mere shahar
    ke musaafir tu,
    Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
    Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii
    Kii Khaatir tu,
    Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-
    Khushk-e-Saharaa Huu.N
    Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e- Chaman KaaTaa_ir tu,
    Mai.n Jaantaa Huu.N KeDuniyaa
    Tujhe Badal Degii
    Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa
    Nahii.n Bazaahir tu,
    Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
    Ye Har Maqaam Pe Kyaa
    Sochtaa Hai aaKhir tu,?
    Faraz Tune Use Mushkilon Mein
    Daal Diyaa
    Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayartu.

  7. #19
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi
    Hai
    Phir Se Dilon Ke Zakham
    Nikhartay Jaatay Hain
    Jhooti Sachi TaabeeronKi Khwaahish Hai
    Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay
    Jaatay Hain
    Kaisay Kaisay Yaaron Ka
    Behroop Khula
    Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain
    In Haalon Kab Apnay Aap Ko
    Dekha Tha ?
    Kehnay Ko Din Raat Guzartay
    Jaatay Hain
    Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,
    Yun Hai Jaisay Maatam Kartay
    Jaatay Hain
    Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir
    Aata Hai
    Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain
    Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein
    Dilgeer Tere
    Tujh Se Teri Baatain Kartay
    Jaatay Hain

  8. #20
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Zakhm ko phul to sar sar ko
    saba kahte hain
    Jane kya daur hai kya log hain
    kya kahte hain
    Kya qayamat hai ke jinke liye ruk ruk ke chale
    Ab vahi log hamain abalapa
    kahte hain
    Koi batalao ke ik umr ka bichara
    mahabub
    Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain
    Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke
    jafa ko teri
    Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada
    kahte hain
    Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
    Ham jise chu na sakainus ko
    khuda kahte hain
    Kya tajjub hai ke ham ahl-e-
    tamanna ko faraz
    Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

  9. #21
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Tu Meraa Pehla Piyar Sajan
    Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan,
    Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
    Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,
    Tu Qudrat Ka ShahkaarSajan Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,
    Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-
    Gazal
    Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,
    Soorat Teri Bholi Bhaali
    Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,
    Dil Ki Baaten Tum Se Karna
    Main Bhoola Hoon Har Baar
    Sajan,
    Main Buzdil Hoon Main Pagal
    Hoon Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,
    Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
    Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,
    Na Tum Se Jis Din Baat Kare
    Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,
    Jis Janib Bhi Ab DekhonMain Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,
    Tum Bhi Maano Ek BaatMeri
    Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan

  10. #22
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Zulf Raaton C Hai Rangat Hai
    Ujaalon Jesi,
    Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney
    Walon Jesi.
    Dhoondta Phirta Hun Yun Logon men Shabahat Uski,
    K WO Khawabon menBhi Lagti Hai
    Khyaalon Jesi.
    Uski Baatein Bhi DiLaawez Hen
    Surat Ki Tarha,
    Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..
    Uski AANKHON Ko Kabhi GhOr Se
    Dekha Hai FARAZ
    Soney Walon Ki Tarha Jagney
    Walon jesi

  11. #23
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Ankh se door na ho dil se utar
    jaye ga
    waqt ka kiya hai guzarta hai
    guzar jayega
    itna manoos na ho khalwat.e.gham se apni
    tu kabhi khud ko bhi dekhay ga
    tu dar jaye ga
    tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay
    reh jaoo gay
    aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga
    dobtay dobtay kashti ko
    uchaala day don
    mein nahin koi tu sahil pe uter
    jaye ga
    zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraz
    zalim ab ke bhi na roye ga tu
    mar jaye ga!!!

  12. #24
    Join Date
    28 Jun 2012
    Location
    LAHORE
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    5,071
    Threads
    256
    Credits
    3,904
    Thanked
    436

    Default

    Yeh dunya hay yahan pe yeh tamasha ho b sakta hay

    Abhi tho gham humara hay tumhara ho b sakta hy

    Na yeh samjho k tum he aakhri meri mohabbt ho

    Mohabbt jurm hay hum say dobara ho b sakta hay

    Tera milna, bicharh jana, bichrh k phir say mil jana

    Hmesha ki judaai ka ishara ho b sakta hay

    Tum apnay aap ko har giz koi ilzaam mat dena

    Yeh sodaa hay mohabbt ka, khasaara ho b sakta hay

Page 2 of 3 FirstFirst 123 LastLast

Similar Threads

  1. education ko passand karne ke tips.
    By sadlover in forum Educational Discussion
    Replies: 26
    Last Post: 2nd November 2012, 03:13 PM
  2. Replies: 63
    Last Post: 7th July 2010, 02:07 PM
  3. Larkia mehndi Kyo passand karti hai
    By king_khana1 in forum Khawateen ki dunya
    Replies: 30
    Last Post: 1st July 2010, 11:58 AM
  4. khane me kia passand he karte hain aap?
    By Jamali33 in forum Baat cheet
    Replies: 19
    Last Post: 24th June 2010, 09:25 AM
  5. Aasaan Passand....?
    By muzafarmohsin in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 29
    Last Post: 8th October 2009, 07:37 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •