A.A,umeed hai ap sab theek hn ge ye meri pehli post hai agar pehle sheir ho gaye ho to mazrat!
Pehle ap ko ye bata don ke bootable flash ke zarye ap kisi bhi pc ki window kar sakte hain jis mai usb boot ka option ho(ye bootable usb sirf windows7 pe hi banaye ja sakti hai)
sab se pehle usb ko pc main lagain aur start se search ke zarye cmd open karen aur phir ye commands dain,
"diskpart"(and hit enter)
"list disk"(enter)
us ke bad wahan pe disks ke size aur number show hn ge agar ap ki flash ka number 2 show ho raha hai to ye command dain
"select disk 2" (enter)
aur phir ye commands dain
"clean"
"creat partition primar"
"select partition 1"
"active"
"format fs=ntfs"
(format main kuch time lage ga)
"Assign"
"exit"
cmd ko close mat karen aur apni windows ki cd apne pc mai dalen aur dvd drive aur flash ka sign note karen yahan main samjhane ke liye
F=cd drive
H=flash
use kar raha hn ab ye commands dain
"F:"
"cd boot"
"bootsect.exe/nt60H:"yahan "H"flash ke liye use hua hai
ab ap ka flash bootable ban chuka hai,pasand ane pe shukriya zaroor bolna yaad rahe ye meri pehli post hai