main kab se bhatak raha ho
aik arsey sey tere dar ka sawali ho
ab toh apna bana ley ay bananey waley
mere maa baap ko janat ata kar dai
ay janat ko bananey waley
har kisi ko dhekta hai
har kisi ki sunta hai
meri bhi duaoo ko sun le
aye palney waley
main kab se bhatak raha ho
aik arsey sey tere dar ka sawali ho
ab toh apna bana ley ay bananey waley
mere maa baap ko janat ata kar dai
ay janat ko bananey waley
har kisi ko dhekta hai
har kisi ki sunta hai
meri bhi duaoo ko sun le
aye palney waley
behayai aur fashion ko imaan bana liya tum ney
haya aur parheez gari ko chor diya tum ney
khuda ko bhool kar kya pa liya tum ney
khod ko khud sey juda kar k kya pa liya tum ney
paisa aur shohrat ko imaan bana liya tum ney
bataoo izat-e-nafs ko koh kar kya pa liya tum ney
hasad aur jalan mein khud ko jala liya tum ney
dil ko sehah(kala) kar k kya paa liya tum ney
maa baap ko kitna rola diya tum ney
apne jism ki nomaish kar k kiya paa liya tum ney
ab rotey kiyon ho sub kuch toh paa liya tumney
apni masoomiyat ko shaher shaher nilaam kar k kiya pa liya tum ney
zara socho apne nafs ki gulami kar k kiya paa liya tum ney
us ko paa kar khuda ko kho diya
hoosh mein aya toh imaan khoo diya
gunaahao ka bayij boo kar
halal aur haram ka mayar khoo diya
ishq-e- majazi pa kar
Ishq-e- HAQEEQI ko khoo diya
sari raat baato mein laga raha
lazt-e-ishq mein laga raha
hoosh aya toh khayal aya
tahajudd aur fajar ki namaz ko khoo diya
nice
JazakAllah
Bohat Achi Shairing Ki Ha ApNy
Khusssh Rahien Sada
yeh kesi chahat hai
jo majh ko rab se door le jati hai
bus aik tamana aik khawhish ki khatir
meri parsaahi majh sey door chali jati hai
malal bhi nehi gham bhi nehi
jab namaz door chali jati hai
yeh kesi chahat hai
jo majh ko rab sey door le jati hai
malal bhi nehi gham bhi nehi
jab namaz door chali jati hai
yeh kesi chahat hai
jo majh ko rab sey door le jati hai
sari raat rotey rahte hai
duniya ki khwahish mein
ehsaas bhi nehi hota
dil sey nabi(S.A.W.W) ki muhabbat door chali jati hai
Thanks for Sharing
Keep Going
Assalam o alaikum
main kafi busy tha jis ki waja sey na kuch likh nehi pa raha tha
inshallah sunday ko time nikal kar zarror aik 2 post karoo ga INSHALLAH
Bookmarks