Results 1 to 4 of 4

Thread: ye merii Gazalain ye merii nazmen tamaam terii hikaayaten hain

  1. #1
    peer is offline Member
    Last Online
    15th November 2009 @ 08:39 PM
    Join Date
    02 Oct 2008
    Posts
    971
    Threads
    23
    Thanked
    20

    Default ye merii Gazalain ye merii nazmen tamaam terii hikaayaten hain

    ye merii Gazalain ye merii nazmen tamaam terii hikaayaten hain
    ye tazkiren terii lutf ke hain ye sher terii shikaayaten hain
    main sab terii nazr kar rahaa huN ye un zamaanon kii s'aten hain
    jo zindagii ke naye safar mein tujhe kisii roz yaad aayeN
    to ek ek harf jii uThegaa pahan ke anfaas kii qabaayeN
    udaas tanahaa_iiyo.n ke lamho.n me.n naach uThe.ngii ye apasaraaye.N

    mujhe terii dard ke alaavaa bhii aur dukh the, ye jaanataa huu.N
    hazaar Gam the jo zindagii kii talaash me.n the, ye jaanataa huu.N
    mujhe Khabar hai ki terii aa.Nchal me.n dard kii ret chhaanataa huu.N
    magar har ek baar tujh ko chhuu kar ye ret rang-e-hinaa banii hai
    ye zaKhm gul_zaar ban gaye hai.n ye aahe.n-sozaa.N ghaTaa banii hai
    ye dard mauj-e-sabaa huaa hai ye aag dil kii sadaa banii hai

    aur ab ye saarii mataa-e-hastii ye phuul ye zaKhm sab tere hai.n
    ye dukh ke nauhe ye sukh ke naGme.n jo kal mere the vo ab tere hai.n
    jo terii qurbat terii judaa_ii me.n kaT gaye roz-o-shab tere hai.n
    vo teraa shaayar teraa muGannii vo jis kii baate.n ajiib sii thii
    vo jis ke andaaz Khusro-vaanaa the aur adaaye.N Gariib sii thii.n
    vo jis ke jiine kii Khvaahishe.n bhii Khud us ke apane nasiib sii thii.n


    na puuchh us kaa ki vo diivaanaa bahut dino.n kaa uja.D chukaa hai
    vo kohakan to nahii.n thaa lekin ka.Dii chaTTaano.n se la.D chukaa hai
    vo thak chukaa hai aur us kaa teshaa usii ke siine me.n ga.D chukaa hai
    __________________________________________________ _______________


  2. #2
    Real_Light is offline Member
    Last Online
    22nd February 2016 @ 03:49 AM
    Join Date
    15 Oct 2006
    Location
    Hong Kong
    Posts
    9,415
    Threads
    501
    Thanked
    0

    Default

    Thread Moved from Design Poetry to Urdu Adab & Shayeri. shukria.

  3. #3
    Gr8^Masood's Avatar
    Gr8^Masood is offline Senior Member+
    Last Online
    18th September 2013 @ 10:50 AM
    Join Date
    23 Jul 2009
    Location
    Khi
    Age
    39
    Gender
    Male
    Posts
    42,351
    Threads
    1398
    Credits
    970
    Thanked
    2855

    Default

    اسلام علیکم
    بہت خوب۔۔۔۔۔بہت عمدہ انتخاب
    اُمید ہے آپ اُردو ادب کے بزم کو اسی طرح
    خوبصورت اشعار سے سجاتے رہنگے
    شیئر کرنے کا بے حد شکریہ

  4. #4
    Join Date
    18 Apr 2009
    Gender
    Male
    Posts
    22,012
    Threads
    145
    Credits
    0
    Thanked
    316

    Default

    Bohat Khoob....Bohat umda sharing ke hai apne .......
    Share karne ka Bohat Bohat Shukarya

Similar Threads

  1. Ye Meri Gazalen Ye Meri Nazmen Tamaam Teri Hikaayaten Hain
    By adeel345 in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 1
    Last Post: 27th September 2019, 06:14 PM
  2. Replies: 6
    Last Post: 14th July 2010, 10:29 AM
  3. Merii Ankhon Pe Marta Tha
    By Hassaan Khan in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 18
    Last Post: 26th July 2009, 03:57 AM
  4. tum merii aa.Nkh ke tevar na bhulaa paaoge
    By phototech81 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 5
    Last Post: 12th July 2009, 11:34 PM
  5. Merii Madad Karo plzzzzzz
    By InNoCeNT RoMeO in forum Ask an Expert
    Replies: 12
    Last Post: 25th June 2009, 04:24 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •