salam bohat achi shairing ha dost thora mujhay fee kay baray main details se bata dain
k
1st module ki kitni ha 2nd ki kitni
or is ka kia hisab kitab hota ha
matlub kah total 1 module paper fee and academic fee etc in details plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz
ager banda koi job ker raha ho wo CA ker sakta hen??
بہت اچھا تھریڈ بنایا ہے برادر، اللہ پاک آپ کو کامیابی دیں۔
ڈھیروں دُعائیں
Ap ne thori boht detail upar parhi ho g k ca k liye kam az kam inter hona zururi hai.
Ab jis ka inter pass hai wo ca kr skta hai.but jo ap puch rhay hain k sath job b kr rhay hain to ye koi aisa bara issue nai hai.agr ap rozana 1 time fix kr lain to bohat behtar hoga.
Jo b CA krna chahta hai main usay yehi mashwara dun ga k first time koi b book parh rha hai to us ki classes lazmi lay wrna samajhna thora mushkil ho jata hai khas kr jo practical papers hain like accounting , tax , quantitative methods etc
Is liay main ap ko mashwara dun ga k agr ap job k sath b krna chahtay hain to classes b lay lain.agr to ap apna time manage kr sktay hain to zurur kijiye bus ye yaad rakhiye ga k is main mehnat lazmi krni parti hai aur in my experience mehnat se ziada yhaan duaayen kaam ati hain.
Was salam
Bhai jan shukria pasand krnay ka.
Jaisa k ap ki location k mutabik ap layyah main rehtay hain magr main lahore main.main ap ko layyah ki fees k mutallik exact to nai bta skta but 1 idea day daita hun ta k ap ko andaza ho jaye.
CA ki tution fee alag hai aur jis trha hm paper fund jama krwatay hain 9th 10th main usi trha wo fees alag hai.pehle main paper fund ki baat krta hun.
Jo CA ka regulatory idara hai ICAP hmain paper fund usay daina hota hai.aur wohi hmaray paper laita hai.us ki fees main b mehangai ki waja se har dafa izafa hota ja rha hai.us ki fees ka schedul main day dun ga ap ko agr samajh aya to theek wrna main samjha dun ga.bus abi ye samjhain k jb ap 6 months k baad paper fund jama krwayen gay to 7000-9000 tk bun jata hai.
ab atay hain tution fee ki taraf mtlb jis instiute se hm paperon ki tyari krtay hain.
Yhaan lahore main kafi idaray hain jo ca ki tyari krwatay hain un main
PAC
SKANS
RISE
CAPS
CFE etc shamil hain.
Har 1 ki fee apnay naam k lihaz se hai mtlb jo jitna mash'hoor utni ziada fee.
Is waqt PAC ki fee sab se ziada hai.1 paper ka 16000 laitay hain.isi trha Skans walay 11000/paper laitay hain.aur isi trha tmam ki fee different hai.ap apnay area main pta krain agr to koi institute ca krwata hai to un se fees ka pta krain.
Agr mazeed koi question ho to zurur puch lena.
Very nice thank u
السلام علیکم
اتنا اچھا اور معلوماتی تھریڈ بنانے پر مبارکباد ۔۔۔ آپ سے یہ پوچھنا تھا کہ میں نے آئی کوم کیا ہوا ہے اب اگر میں سی اے کروں گا تو اس میں کتنے سال لگیں گے ؟؟ اور ایک درمیانے درجے کے طالب علم کو دن میں کتنے گھنٹے کا وقت دینا پڑے گا اس کے لیے ؟؟
Bookmarks