AoA

Friends hamary office mein ek server laga he, jis ka mein administrator hon, sath hi ek aur computer laga he network par jis ko ham as a data storage server use kar rahe hein aur es data storage server mein windows xp hein. hum ne es storage server mein ek folder share kia he jis ki rights sab users ky pas hein aur wo sab es mein data dal bhi sakty hein aur edit bhi kar sakty hein, ab kuch log shararatan folders ko rename kar dety hein aur koi funny sa naam rakh lety hein jo ky office decorum ky khilaf he.

ap se poochna ye he ky kis tariqy se mein server ky through ye auditing kar sakta hon, ya simple alfaz mein jaan sakta hon ky kis user ne ye harkat ki he.


thanking in anticipation.