Results 1 to 5 of 5

Thread: Sher Muhammad Khan

  1. #1
    szaib's Avatar
    szaib is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd December 2009 @ 01:12 AM
    Join Date
    19 Sep 2008
    Age
    34
    Posts
    339
    Threads
    70
    Credits
    1,045
    Thanked
    0

    Post Sher Muhammad Khan

    Sher Muhammad Khan 1927 main Phaloor ya Phal'war ke qareeb aik gaoon thal'la main ranGer Rajpot khandan main paida hua...baap Munshi Khan aik mamooli kisan tha...thori si zameen thi...mushkil se guzaraa hota tha, is dil'kharash haqeeqat ko bhoolney ke liye punjabi main shair kehney ka shughal apna rakha tha...

    shouq ka yeh alam tha ke 8veen jamaat main aik hafta war adabi jareeda shayaa karna shuru kiya... yeh jareeda aaTh safhaat per mushtamil hota...Sher Muhammad khud hi katib tha khud hi mudeer....circulatio n to bohot thi, laikin tadaad'e isha'at sirf aik thi....hath se likha jata...hathoon hathoon parha jata.

    Ibn'e Insha ka pehla naam Sher Muhammad Khan tha, phir us ke sath Choudry ka izafa ho gaya...jab woh jareeday ka mudeer bana to lazim tha ke apne naam ke sath takhallus ka izafa karey...bohot soch bichar ke baad us ne apna naam Choudry Sher Muhammad Khan Mayoos Sehraii Adam Abadi rakh liya.....dair tak yeh naam chalta raha....phir usay ehsaas hua ke yeh naam bohot lamba hai, isay badal kar Qesar Sehraii likhna shuru kar diya...jawani main woh phir se apne naam se ghair mutmaeen ho gaya...aub ki bar apne walid Munshi Khan ke hawalay se Ibn'e Insha ka naam apna liya.

    is zamanay main taraqqi pasandi ki tehreek zoron per thi...taraqqi pasandon ke sath uthna baithna tha, lehaza an'janay main Ibn'e Insha taraqqi pasandanaa rah per cahl nikla...ibtedaa main us ne taveel nazmain likkhein, in nazmon main bari jan thi..laikin daor hangami sabit hua...Ibn'e Insha ki shairi is waqt joban per aii jab uske kalam main zaat ka jog ubhraa.. dasveen (10th) pass kerne ke bad college main taleem hasil karna us ke bas ki bat na thi...nawaye waqt ke Hameed Nizami ke bulanay per shouq eeRh laga kar usay Lahore le ayaa...Lahore mai wo buri terha se darbadar hua....tuitioneen parhaein....akhbaroo n main kaam kiya...thokrein khaein....bari mushkil se B.A. kiya....phir Dilli (Dehli) main Ponsa Institute ke aik risalay main noukri mil gai...wahan Devender Satyarthi se meel ho gaya.

    taqseem ke waqt woh Dilli main Radio News main muterjim tha...is zamanay main Dilli radio station per barey barey adeeboon ka jhumghatta laga hua tha...Krishan, Manto, Rashid, Beeedi...Mehender... youn adeebon se meel joul barha....phir barr'e sagheer ki taqseem per Dilli se Lahore aur Lahore se Karachi puhncha... Karachi radio news main Charagh Hasan Hasrat ke sath kaam karta raha....wahan asami takhfeef main aa gai...to Ahmad Bashir ne village aide main Pak sar'zameen ka editor bana dya.

    Ibn'e Insha ki shadi bachpan hi main hoo gai thi...dulhan bari thi...dulha chotaa....jab usay sehray laga kar bambo'kat per bithaya gaya to zidd karnay laga ke main seat per nahi...balkay is bans per baithonga...jis ke sath ghoora juta hua tha...aur bans per hi baith kar susral gaya.

    pata nahi kiun yeh shadi us ke zehn main aik phoorey ki haisiyat rakhti thi...kisi se is ka tazkara nahi karta tha...koi karta to zehn ka fuse urr jata...is shadi se 2 bachay huye...unki kifalat zaroor ki...laikin unhain door rakha...kabhi apnaya nahi...kisi se unka tazkara nahi kiya....phir bivi se alehdgi hoo gai...to Insha ne yadoon ka taqcha hameesha ke liye mukhaffal kar diya uar khud per khoyaa'pan taari kar liya.

    Insha ki shakhsiyat ki terha uska ishq bhi munfarid tha....aam tor per barey aashiq wapsi ki kashtiyaan jala dete hian taakay maidan main peeth dikhanay ka khatra na rahey...Insha ne agay barhne ki kashtiyon ko bhi aag laga di thi....takay kaheen kamyabi ki sorat na paida ho jaye...kaheen bairaag ko chor kar mehboob ki traf mai'eel na ho jaye....kaheen visal ki qayamat na toot parey.

    aik din Shahaab ne kaha Insha ap mazaah kiun nahi likhte...is per bohot hansaa...bola...Shah ab sahib aaub ap mujh se mazah likhwaeinge...kaii aik saal woh hamarey mashwaron ko mazaq samajhta raha...phir pata nahi kiasey usne apna pehla column likha ...aik phuljari si chal gaii... Insha achanbay main reh gaya.

    baat cheet kijeye to baaz auqat Buqratiyat bhi chantey ga...laikin asal main buqraton se nafor hai...faqat Insha hi hai...baqol khud..

    "shayar hai to adnaa hai, aashiq hai to ruswa hai
    kis baat main acha hai, kis wasf main aalaa hai"

    bachoon ke liye bhi shairi ki hai...laikin aisi nazmain to bachay bhi likh sakte hain ya shayad bachay hi likh sakte hain...nasar likhnay ka andaz shagufta hai, jisay mazaah lateef bhi kehte hain...laikin us zeel mai kam likhta hai...halankay us ka maidan yehi hota to khob hota.

    khamoosh hai, uzlat guzeeN hai..bhulakar hai...zimmay'dariyaa n qabool nahi karna, takay nibbhani na parein...fakhar apne dostoon per karta hai jo is per ya uski sadgi, bholpan, ya ehmaq per jan chirakte hain aur naz uthate hain.

    ishq bhi karta hai...jo loog samajhte hain ke MIiyaan Qais ke inteqal ke sath yeh qoum na'peed hogai hai...woh is se milein...yeh hamari nahi Ibn'e Insha ki apni farmaish hai...

    Insha se miloo is se na rokein ge woh laikin
    Us se yeh mulaqat nikali hai kahan ki !
    mash'hoor hai her bazm main us shakhs ka sauda
    batein hain bohot shehr main bad'naam miyaan ki


    (ye profile main ne Mumtaz Mufti ke "Jalta Bujhta Ibn'e Insha" se makhooz ki hai)

  2. #2
    szaib's Avatar
    szaib is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd December 2009 @ 01:12 AM
    Join Date
    19 Sep 2008
    Age
    34
    Posts
    339
    Threads
    70
    Credits
    1,045
    Thanked
    0

    Default

    (ye profile main ne Mumtaz Mufti ke "Jalta Bujhta Ibn'e Insha" se makhooz ki hai)

  3. #3
    KakaBalli2 is offline Senior Member+
    Last Online
    25th December 2008 @ 06:23 AM
    Join Date
    18 Dec 2008
    Posts
    30
    Threads
    3
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    بہت اچھے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

  4. #4
    szaib's Avatar
    szaib is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd December 2009 @ 01:12 AM
    Join Date
    19 Sep 2008
    Age
    34
    Posts
    339
    Threads
    70
    Credits
    1,045
    Thanked
    0

    Cool salam



    Name:  thank you.GIF
Views: 202
Size:  115.9 KB
    Name:  03216003203.GIF
Views: 171
Size:  46.5 KB

  5. #5
    Don killer's Avatar
    Don killer is offline Member
    Last Online
    3rd December 2010 @ 10:52 AM
    Join Date
    23 Apr 2010
    Location
    In the Heart of someone
    Posts
    293
    Threads
    4
    Thanked
    5

    Default

    بہت عمدہ شیئرنگ ہے۔
    ہمارے ساتھ شیئر کرنے کا شکریہ

Similar Threads

  1. Captain Sher Khan Shaheed Rehmatullah Aleh
    By Fasih ud Din in forum Photo Gallery
    Replies: 43
    Last Post: 11th July 2015, 09:42 PM
  2. Captain Colonel Sher khan Shaheed Rehmatullah Aleh
    By Fasih ud Din in forum Photo Gallery
    Replies: 8
    Last Post: 23rd March 2015, 10:26 PM
  3. captain karnol sher khan ke mizar ka 1 manzar
    By Fasih ud Din in forum Photo Gallery
    Replies: 39
    Last Post: 27th June 2010, 04:32 PM
  4. Muhammad Usman Khan
    By usman4ud in forum Introduction
    Replies: 6
    Last Post: 26th February 2010, 02:48 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •