Results 1 to 7 of 7

Thread: waafaoo ka talabgaar

  1. #1
    szaib's Avatar
    szaib is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd December 2009 @ 01:12 AM
    Join Date
    19 Sep 2008
    Age
    34
    Posts
    339
    Threads
    70
    Credits
    1,045
    Thanked
    0

    Post waafaoo ka talabgaar

    Meri chaahat ka safar is liye dushwar raha
    Mein muhabbat mein wafao'n ka talabgaar raha
    Ho gaye sare giley door judaa hotey hi
    Ghum zada who hai na mein us ka girftaar raha
    In hawao'n mein hi ab dhoondta phirta hoon usey
    Jin hawao'n se kabhi barsar e paikaar raha
    Na muraadi ke siwa hijr ke aalaam bhi thay
    Phir zamaney ka zamana hi sitam gaar raha
    Jazba e shauq ne us waqt bhi chaaha tujh ko
    Jab wo shokhi, na wo gaisoo na rukhsaar raha
    Aankh ke gird koi zabt ki deewar rahi
    Ek darya ka talatum pas e deewar raha
    Ek hasrat si merey dil mein kahin aur bhi thi
    Her badalti hui rut mein ghum e dildaar raha
    Is qadar humsafri se tha harasa'n wo shakhs
    Saath hi chor gaya dusht ke us paar raha

















    Mujhe apne zabt pe naz tha, sar e bazm, raat ye kya hua
    Meri aankh kaise chhalak gayi, mujhe ranj hai ye bura hua
    Meri zindagi ke chiragh ka ye mizaj koi naya nahin
    Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bhuja hua
    Mujhe jo bhi dushman e jaan mila, wohi pukhta kaar e jafa mila
    Na kisi ki zarb ghalat pari, na kisi ka teer khata hua
    Mujhe aap kiyun na samajh sake ye khud apne dil hi se poochiye
    Meri daastaan e hayat ka to warq warq hai khula hua
    Jo nazar bacha ke guzar gaye, merey samney se abhi abhi
    Ye merey hi shehar ke log they, mere ghar se ghar hai mila hua
    Mujh ek gali mein para hua kisi badnasseb ka khat mila
    Kahin khoon e dil se likha hua, kahin aansuo'n se mita hua
    Mujhe hamsafar bhi mila koi to shikasta haal meri tarah
    Kai manzilon ka thaka hua kahin raastey mein luta hua
    Humein apney ghar se chaley huey sar e raah umr guzar gayi
    Koi justujoo ka silaa mila na safar ka haq hi adaa hua

  2. #2
    Heiress is offline Senior Member+
    Last Online
    6th January 2014 @ 12:36 PM
    Join Date
    09 Sep 2008
    Posts
    125
    Threads
    21
    Credits
    970
    Thanked: 1

    Default

    Wafaoon ka tabgaat raha.......

    bohooooot achi poem hay.....

  3. #3
    szaib's Avatar
    szaib is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd December 2009 @ 01:12 AM
    Join Date
    19 Sep 2008
    Age
    34
    Posts
    339
    Threads
    70
    Credits
    1,045
    Thanked
    0

    Default

    Heiress thanks

  4. #4
    Hope's Avatar
    Hope is offline Advance Member
    Last Online
    7th January 2020 @ 04:18 PM
    Join Date
    25 Jan 2009
    Location
    Islamabad
    Gender
    Male
    Posts
    17,405
    Threads
    750
    Credits
    74
    Thanked
    212

    Default

    nice

  5. #5
    *KHAN*JEE*'s Avatar
    *KHAN*JEE* is offline Advance Member+
    Last Online
    14th January 2021 @ 05:22 PM
    Join Date
    09 Apr 2009
    Location
    .*'""*JaNNaT*""
    Gender
    Male
    Posts
    23,576
    Threads
    649
    Credits
    91
    Thanked
    1618

    Default

    BahoOooOoT KhoOooOoB...~*
    Do What is Right, Not What is Easy ...

  6. #6
    ^NajanyQ^'s Avatar
    ^NajanyQ^ is offline Advance Member
    Last Online
    5th January 2021 @ 10:37 AM
    Join Date
    23 Mar 2009
    Location
    ھزارہ
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    13,306
    Threads
    439
    Credits
    995
    Thanked
    701

    Default

    BOHAT KHOOB , NICE SHARING

    THANKS FOR SHARING

  7. #7
    mhafeez is offline Member
    Last Online
    9th June 2010 @ 01:40 PM
    Join Date
    30 Aug 2009
    Location
    *~Aawaara Baadlou'n main~*
    Posts
    3,778
    Threads
    287
    Thanked
    239

    Default

    Bahut Khoob bahut shukriya is piyari
    poetry ko share karne ka...thx again....**

Similar Threads

  1. dua ka talabgaar
    By hussainomer in forum Introduction
    Replies: 5
    Last Post: 6th July 2012, 10:45 PM
  2. Ap ke duaon ka talabgaar
    By lmran in forum Baat cheet
    Replies: 17
    Last Post: 10th March 2012, 07:15 AM
  3. NASEEHAT KE TALABGAAR...For Child...
    By muzafarmohsin in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 1
    Last Post: 30th June 2010, 01:36 AM
  4. Dunya Kay Talabgaar
    By Doctor in forum Quran
    Replies: 4
    Last Post: 28th October 2008, 02:18 PM
  5. Aik Duaa Aur Aap ki Ameen K talabgaar
    By RAJASTYLE in forum Baat cheet
    Replies: 9
    Last Post: 22nd July 2008, 04:38 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •