Assalam o alaikum
me ne socha ke kai member aise hain jin ko window karne ka tarika nahin aata
lo g ham shuru karte hain window karne ka tarika
sab se pehle cd inter karen pc restart karen bios show hone ke bad ap se kahe ga pres any key koi buton daba den us ke bad screen blue ho jae gi or neche file name likha nazar aae ga ap ki window start he kuch mint bad likha aae ga jis me 3 butons ke option hon ge pres enter kar de hat jae gi kuch mint bad pres f8 mange ga pres f8 dabain or 1 2 mint me likha aae ga jis se ap ne esc boton pres karna he us ke bad ap ke samne c d e f jo bhi drive ap ne banai hui hain show hon gi agr ap ne kisi drive ko formet karna he to pres d enter l lo ap ki drive formet ho gai agar ap ne or drive formet karni hain to pres d l dabain is ke bad ap ne agr koi drive banani he to drives ke niche memory sho ho rahi ho gi us pe ap ne c pres karna he or jitni memory ki drive banana chahte ho utni memory likh do or enter kar do ap ki new drive ban gai or banana chahte ho to memory ho to us pe is tarike se bana lo partiton ke bad enter dabain 2 bar ab red colour ki line chale gi jo memory formeting ho rahi ho gi us ke bad ik new line shuru ho gi wo 100% tak jae gi us ke bad pc automatic on ho jae ga