Assalam-o-Alaikum Expert,
Expert, main windows 7 use kar raha hon, mujy aajkal aik ajib wa gharib masla darpesh ha. mujy zyada tar computer par kam karty howy bahir jana parta ha aur main apna kam darmyan me chor kar computer ko lock kar k bahir chala jata hon aur jab kaee ganton k bad wapas aata hon aur login hota hon to sary k sary programs band hoty hain aur computer aisy behave karta ha k jaisy restart howa ho, pehy ye sahi kam karta tha, jab b main dobara login hota khwa kaee ghanton k bad to computer wahi position me hota jis position me main ne usy lock kya tha.
Main Laptop use kar raha hon, Windows 7 & Kaspersky 2013 Registered Version.

Please meri madad karin takeh ye masla main hal karsakoon.

Thanks,
Rahmatullah Khattak