Asalam_O_Alykum all experts,
Bhai problem ye hai k main nay iphone abhi liya hai or mujy usko bilkul bhi use karna nahi a raha hai i mean game kis tarah install hoti hain koi application kis tarah install hoti hain pc sy koi song dalna ho tu kis tarah dal sakty hain?
or mjy ye bhi batain k jailbreak kia hota hai?
main kis tarah check karon k mera mobile jailbreak hai ya nahi?
main data cable sy mobile ko charge karta hon apny pc par laga kar magar mere mobile main jo data hai wo pc main show nahi hota sirf ek apple iphone digital camera ka folder open hota hai lakin or data show nahi hota..
mujy pc sy is main kuch dalna ho tu kis tarah dal sakta hon???
plz mere help karain
Bookmarks