Results 1 to 5 of 5

Thread: Hadees

  1. #1
    Hassanraza88's Avatar
    Hassanraza88 is offline Senior Member+
    Last Online
    19th June 2015 @ 10:35 AM
    Join Date
    12 Nov 2013
    Age
    25
    Gender
    Male
    Posts
    520
    Threads
    71
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Default Hadees

    HADEES 1:

    Hazrat Aisha ( raziallah anha) se rawaiat he ke Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya ke Quran me aik surat he jo ALLAH ke nazdeek bari azmat waali he jo ise parhe ga ALLAH us ko shareef ke laqab se nawaze ga. rabi aur muzar ki tadaad se bhi ziada afraad ke liye is surat ke parhane waale ki shafaat qabool ki jaye gi. is azmat waali surat ka naam Surat Yaseen he. rabi aur muzar arab ke 2 mashhoor qabeele thay aur un se talooq rakhne waale afraad ki tadaad bohat ziada thi.


    Hadees 2:

    Hazrat Ans (raziallah anho) Hazrat Muhammad (SAW) se rawayat karte he ke har cheez ka aik dil hota he. Quran ka dil Surat Yaseen he jo Yaseen shareef parhe ga usay us ki qaraat ki waja se 10 bar Quran Majeed parhane ka sawab mile ga. ise tirmazi ne rawaiat kiya (tafseer khazan)

    Hadees 3:

    Hazrat Ans (raziallah anho) rawayat karte he ke jo shaks Yaseen shareef parhe usay 10 bar Quran Majeed parhane ka sawab mile ga. ( tirmazi shareef)

    Hadees 4:

    Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya ke ALLAH ki raza andi ke liye jo shaks Surat Yaseen parhe ga us ke pehle gunah maaf kar diye jaye gay lehaza is surat ko marne waalo ke paas parha karo. ( beahqi, shaab al imaan)

    Hadees 5:

    Hazrat Muhammad (saw) ne farmaya ke jis ne raat ke waqt Surat Yaseen parhi us halat me subha ko uthe ga ke woh baqsha hua hoga. ( ibn e kaseer)

    Hadees 6:

    Hazrat Ibne Abbas (raziallah anho) se rawayat he ke Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya ke meri ye tamana he ke ye Surat Yaseen har umaty ke dil me hoty. ( tafseer e ibn e kaseer)

    Hadees 7:

    Hazrat Ata Bin Rabah Tabi se marwi he ke mujhe ye hadees pohanchi ke jo aadmi din ke agaaz mein Surat Yaseen shareef parhe ga us ki tamaam zarooriyaat poori kar di jaye gi. (daarmi)

    bazoorgaan e deen ka qaul he ke ye Surat har qisam ki haajat ke liye bohat mofeed he. is liye agar kisi shaks ko sheedat e haajat darpaish ho to usay chahiye ke 11 din tak Surat Yaseen ko moobeeno ke saath rozana aik martaba parhe INSHALLAH us ki haajat poori hogi.

  2. #2
    yasir_hoth's Avatar
    yasir_hoth is offline Senior Member+
    Last Online
    25th June 2014 @ 11:18 AM
    Join Date
    04 Oct 2013
    Location
    sindh
    Gender
    Male
    Posts
    4,093
    Threads
    104
    Credits
    0
    Thanked
    490

  3. #3
    Niaz Bozdar's Avatar
    Niaz Bozdar is offline Advance Member
    Last Online
    24th April 2021 @ 08:00 AM
    Join Date
    01 Feb 2013
    Location
    Tando Adam pak
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    8,638
    Threads
    209
    Credits
    338
    Thanked
    556

    Default

    Jazak Allah

  4. #4
    Hassanraza88's Avatar
    Hassanraza88 is offline Senior Member+
    Last Online
    19th June 2015 @ 10:35 AM
    Join Date
    12 Nov 2013
    Age
    25
    Gender
    Male
    Posts
    520
    Threads
    71
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Default

    Thanks

  5. #5
    IshqBeparwah's Avatar
    IshqBeparwah is offline Advance Member
    Last Online
    13th May 2020 @ 06:36 PM
    Join Date
    08 Nov 2013
    Location
    Kheyaloon Main
    Gender
    Male
    Posts
    2,148
    Threads
    73
    Credits
    1,375
    Thanked
    187

    Default

    Jazakallah
    shukria
    Ae Dil,,,, Tu Kyun Khush Ho Raha Hai,
    Pagal Sirf Saal Badla Hai,,,, Log Nahi....!!!!

Similar Threads

  1. ~~40 Hadees LearNinG PeRiod** Hadees No 6~~must learn Plzzz**
    By Saifullah878 in forum Sunnat aur Hadees
    Replies: 14
    Last Post: 1st June 2012, 05:52 PM
  2. ~~40 Hadees LearNinG PeRiod** Hadees No 7~~must learn Plzzz**
    By Saifullah878 in forum Sunnat aur Hadees
    Replies: 11
    Last Post: 14th May 2012, 09:39 PM
  3. Ghamdi Qadiani ya Nabuwat Ka Dawedar?
    By Irfan_shah in forum Khatm-e-Nabuwat
    Replies: 146
    Last Post: 28th September 2011, 05:18 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •