mein as a private student o level ya a level kerna chahta hoon liken mujhy kuch knowledge aur guidance chahiye. Pakistan mein 2 boards aisy hain jin se aap o level a level ker sakty hain jin mein se aik ka naam hy Cambridge international examinations (cie) aur doosara hy edexcel. mein ye poochna chahta hoon k IGCSE GCSE aur GCE mein kiya farq hy aur in meinse kon si degree matric ya intermediate k equal hy? GCE o level aur o level main koi farq hy? Cambridge aur edexcal mein computer se related kon se subjects available hain o level mein aur a level mein? agar aap ko Cambridge international examinations aur edexcel k baray mein knowledge ho to apma knowledge yahan share kareen, thanks