Badban khulne se pahle ka ishara dekhna.
Main samandar dekhti hun tum kinara dekhna.
Youn bicharna bhi bahut asan na tha us se magar.
Jate jate us ka wo mur k dubara dekhna.
Kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand.
Ay shab-e-hijran zara apna sitara dekhna.
Aaine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye.
Jane ab kya kya dikhaye ga tumhara dekhna.
Bookmarks