Results 1 to 5 of 5

Thread: khajoor k fawaid

  1. #1
    hasnat371's Avatar
    hasnat371 is offline Senior Member+
    Last Online
    10th June 2018 @ 03:38 AM
    Join Date
    24 Oct 2013
    Location
    Daultala
    Gender
    Male
    Posts
    1,577
    Threads
    290
    Credits
    1,002
    Thanked
    228

    Thumbs up khajoor k fawaid

    :bismellah::

    ASSALAM O ALIKUM...
    FRIENDS,
    mea aj ap ko khajoor k baryy mea info dun ga umeed hai ap ko pasand aay gi....
    plz pasand aay tu thanks py CLICK kr dyna...
    .
    .
    Quran mein khajoor ka tazkirah
    bar’ha aaya hai. Hazrat Maryam
    (A.S) ko doran hamal khajoor
    khane ki hidayat di gayi thi jo is
    baat ki waza daleel hai keh yeh
    phal na sirf mqwi ghiza hai bal keh
    bache key liye bhi intehayi faidah
    mand sabit hoit hai. Roza kholne
    key liye khajoor ka chunao yeh
    zahir karta hai keh yeh fori
    tawanayi punchati hai. Khajoor se
    iftar karna sunnat nabwi aur
    hamari qadeem rawayat hai. Sura
    yasen key elawa quran mein kayi
    jagah khajoor key faide biyan kiye
    gaye hain. Jaded tehqeeq ne bhi
    khajoor key be shumar fawaid
    tasleem kiye hain. Yahi wajah hai
    keh dunya bhar mein khajoor ki
    paida war pehle se buhat ziadah
    barh chuki hai sirf Pakistan mein
    khajoor ki salanah paidawar 60000
    tan se tajawuz kar chuki hai,
    tahum hamare han bd qisati se is
    ka isteamal itna aam nahi hai jitna
    ho na chahiye. Asal mein logon ko
    is key be shumar fawaid ka abhi
    tak pata nahi hai.
    1. Khajoor mein iron potassium,
    niacin, resha (Fiber) aur buhat
    ziadah tawanayi mojood hai. Agar
    ise doodh, dahi ya paneer key sath
    khaya jaye to yeh aik mokammal
    ghiza hai.
    2. Khajoor mein mojood potassium
    hamare jismani pathon (muscles)
    aur aasab (nerves) ko mazboot
    banata hai. Bachon key liye Khajoor
    ka istemaal buhat zaroori hai. Is
    mein mojood tawanayi jo keh kafi
    moqdar mein hoti hai aanton mein
    puhanchte hi fori tor par khoon
    mein shamil hojati hai aur taqat
    punchati hai. Yahi wajah hai keh
    khajoor se roza iftar karna sehat
    bakkhsh hai kiun keh yeh jism ki
    khoyi huyi tawanayi ko fori bahal
    karti hai.
    3. Is key chemical tajziye se is ki
    afadyat zahir hoti hai. Taqreeban 5
    darmiyani khajoor mein mandarjah
    zel cheezen payi jati hain. Energy
    114 kcal, Fat 0.2 gm(tawanayi
    chiknayi key zariye 1%), protein
    0.8gm, cholesterol 0, carbonate
    30.8gm, fiber3.5, sodium 1 mg,
    potassium 270.6 mg, iron 0.5, niacin
    0.9 (yeh aik B complex ka vitamin
    hai.)
    4. Khajoor mein mojood reshah
    (fiber) buhat si bimaaryon se nijat
    dilate hai. Maslan hazmah key liye
    khajoor mein mojood reshah(fiber)
    behtareen hai. Is key elawa reshah
    (fiber) jism mein mojood
    cholesterol ko apne sath mila kar
    khoon mein jazb hone se rokta hai.
    is tarah khoon mein cholesterol ki
    moqdar ko kam rakhta hai.
    5. Rehsha dast, pechish aur
    tezabyat ko kam karta hai. is tarah
    khajoor bad hazmi se mutalliq
    bimaryon mein mofeed ghiza hai
    kiun keh tawanayi bhi mil jati hai
    aur marz mein kami bhi waqai hoit
    hai. khajoor key istemaal se sar
    dard kam hota hai.
    6. Abhi halyah jaded tehqeeq se
    patah chala hai keh khajoor joron
    pathon key dar ya osteoporosis
    mein bhi mofeed sabit hoti hai kiun
    keh is mein mojood boron aik
    hormone estrogen ki kami ko poora
    karta hai. Estrogen aam tor par
    khawateen mein mahwari band ho
    jane key baad kam ho jata hai aur
    khawateen is liye mardon ki ba
    nisbat joron key dard, osteoporosis
    aur thyroids mein ziadah mubtila
    payi jati hain.
    7. Dor jaded mein khajoor se
    mukhtalif qisam key la taadad
    ashya taiyar ki gayi hain maslan
    milkshake, ice cream cake aur
    biscuit waghirah. Khajoor nashte
    mein doodh aur dalye key sath bhi
    khayi jati hai. is key corn flex bhi
    taiyar kiye jate hain.
    8. Khajoor mein vitamine C nahi
    hota aur isi liye agar ise apple,
    orange, mosammi, lemon waghirah
    key sah khaya jaye to na sirf
    vitamin C ki kami poori ho jati hai
    balkeh khajoor mein mojood folad
    aasani se khoon mein jazb ho jata
    hai.
    9. Khajoor ko parneer key sath mila
    ar istemaal karne se shakkar se
    puhanchne wale danton ko noqsan
    se bachaya ja sakta hai. khajoor
    aasani se danton par jam kar in ko
    kharab kar sakti hai is liye parneer
    ise jamne se rokti hai. Kahjoor key
    sath pani zaroor istemaal karna
    chahiye takeh danton par khajoor
    ki the na jam paye.
    Khajoor hamare liye aik mofeed,
    mutabarrak aur maqwi ghiza hai,
    Allah tala ki neamat hai jis mein be
    shumar faide poshidah hain.
    Khajoor se bane lazeez khanon ko
    hamare dastar khawan ki zinat
    banana sehat ko motahkam karna
    hai.
    .
    .

  2. #2
    ItsAslam766 is offline Member
    Last Online
    15th August 2015 @ 05:50 PM
    Join Date
    17 Sep 2013
    Location
    D.I.Khan
    Gender
    Male
    Posts
    2,066
    Threads
    71
    Thanked
    122

    Default

    زبردست انفارمیشن میں کھجور بہت کھاتا ہوں یہاں کھجور کے باغ ہیں پاکستان میں ڈھکی کی کھجور اور چھوارہ بہت مشہور ہیں

  3. #3
    WAQAS1412's Avatar
    WAQAS1412 is offline Senior Member+
    Last Online
    20th January 2021 @ 02:42 PM
    Join Date
    01 Apr 2013
    Location
    Islamabad
    Age
    26
    Gender
    Male
    Posts
    8,617
    Threads
    160
    Credits
    83
    Thanked
    622

    Default

    Nice


  4. #4
    Irfan596 is offline Senior Member
    Last Online
    14th February 2019 @ 03:19 AM
    Join Date
    10 Jan 2014
    Age
    25
    Gender
    Male
    Posts
    1,035
    Threads
    98
    Credits
    128
    Thanked
    35

    Default

    Nice information.

  5. #5
    Shaan Jee's Avatar
    Shaan Jee is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2024 @ 12:32 PM
    Join Date
    16 Mar 2010
    Location
    Karachi
    Gender
    Male
    Posts
    1,047
    Threads
    89
    Credits
    1,946
    Thanked
    164

    Default

    بہت اچھی انفارمیشن شئیر کی ہے آپ نے جناب

Similar Threads

  1. manzal k fawaid
    By ABDULLAH. in forum Sunnat aur Hadees
    Replies: 4
    Last Post: 9th May 2014, 06:51 PM
  2. Cigarette Noshi Kay Fawaid.....
    By shahzad umar in forum Baat cheet
    Replies: 4
    Last Post: 23rd March 2014, 01:34 PM
  3. 3 Azeem Fawaid تین عظیم فوائد
    By Al-islam in forum Islam
    Replies: 1
    Last Post: 26th July 2011, 11:31 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •