Koi tohfa na koi takht-e-saba laya tha,
Main teri bazm mein bas harf-e-Dua laya tha,
Teri had darja inayaat ke bhi hotay hue,
Main tere shehar se kuch ranj utha laya tha,
Kal ke mausam mere honay ki gawahi dain gay,
Jab main aaya tha yahan taaza hawa laya tha,
Janay kis morr pe bhoola tha woh pehchan meri,
Jab woh lauta tha to chehra bhi naya laya tha,
Kaasa-e-umar mein khairat thi kuch saanson ki,
Aur kiya tujh se bata tera gada laya tha,
Yeh alag baat ke banjar thi zameen-e-sehra,
Warna is simt bhi saawan to ghata laya tha..!
Bookmarks