Aj me bootable usb banane ka tarika bataun ga jo ke boht hi asan he
Kafi log ye sawal poochte hain ke bootable usb kese banain lekin un ko koi faida nahin hota

Ap ne jo window usb me bootable banani he us ko pc me dalen or disk drive ko open karen
Jo bhi files hon gi un sb ko select kar ke copy kar len ab usb ko pc se lagain or usb drive open karen or bagher kisi folder banae paste kar den jb copy mukamal ho jae to cd ko nikal len
Ab check karne kelie pc ko restart karen usb ko sath attech rehne den jb pc boot ki jaga ae ga to window ko boot karne ka option ae ga ap boot kar ke window instal kar sakte hain

Kisi bat ki samaj na ae to pooch sakte hain