Quote deemi said: View Post
aoa kya haal hai shakeel bhai aap ka app ky thread sy madad to kafi hoo rahi hai mger mujhy aik problem hai or woh yeh k main jub bhi dreamweaver mian php ka code likh ker .PHP ky sath save kerta hoon ya .HTML k sath save kerta hoon woh mujhy php ka result nhi deta main nay aap ki classes say bhi code dykh ker likha mager mushkil asaan nhi hoo rahi so plzzzz shakeel bhai meri madad keryn main bohat paryshan hoon.
Thanks deemi
sub say pehlay to main app say guzarash karoon ga kay class-2 ko study karain. Agar app nay XAMPP properly install kia hay to pehlay is baat ka yaqeen kar lain ka Apache web server run ho raha hay kay nahi. jo kay app XAMPP kay control panel say maloom kar saktay hain. us kay baad php file ko app nay C:\XAMPP\htdocs kay folder main save karna hay agar app nay C:\ per installation ke ho. yad rahay kay PHP kay page ko hamesha .php say save karna hay na kay .html say. us kay baad app nay us file per double click kar kay open nahi karna balke browser main is tarah address lekhna hay: http://localhost/yourpage.php . agar app kay pass Apache server start nahi hota to check kar lain kay port 80 per koee or service run to nahi ho rahi jasay kay IIS. asee sorat main app nay us service ka band karna hay or Apache ko dobara start karna hay.