Results 1 to 2 of 2

Thread: mujy ya font chahiay agr kisi k pass ha to plz send me

  1. #1
    SMART MALIK's Avatar
    SMART MALIK is offline Advance Member
    Last Online
    12th April 2023 @ 10:12 AM
    Join Date
    25 Oct 2012
    Location
    *Maa Ki AgoOsH*
    Gender
    Male
    Posts
    2,492
    Threads
    120
    Credits
    272
    Thanked
    170

    Default mujy ya font chahiay agr kisi k pass ha to plz send me

    aslam.o.alikum
    agr ya font ha to plz send me agr name pata ha to name bta dien font ka plz
    Attached Images Attached Images  

  2. #2
    Jagjit Singh is offline Senior Member+
    Last Online
    25th March 2024 @ 08:02 PM
    Join Date
    27 Nov 2008
    Posts
    65
    Threads
    23
    Credits
    220
    Thanked
    4

    Default

    Agar kisi photo k andar likhay huay text me aap font talaash krna chahtay hen to aapko ye new information deta chaloon k internet pe boht si esi websites mojood hen jin pe font matching ka mechanism hota hai. aap un websites pe apnay font kay text ki image upload krte hen aur wo automatically reverse search ka istemal krte huay aap kay font se milte julte fonts k naam or download links le aati hen.

    aap ko karna bas itna hai k Google search khol ke us me likhen image to font matcher , aapko boht si websites milengi. agar aapko apna mutalka font nahi milta to internet pe boht se online software tools bhi mojood hen jin ko istemaal kr kay aap apni marzi ka font online hi bna skte hen, in tools ko new custom font generator tools kaha jata hai. mujhe waqt mila to ITDunya pr is baaray me aik tutorial post poori detail k sath lagaunga.

    font ko match karwana aik boht easy process hota hai lekin is me kuch technical cheezo ko bhi zehn me rakhna chahye jesa k aapko ye pata hona cahhye k font me Serif or Non Serif types me kya farq hota hai. Actually, ye websites apki image k mutaabiq font match kar kay to le aati hen magar apko list me se exactly matching font talaash krte huay kabhi kabhi dushwaari ho sakti hai, esay me aap in websites ko mazeed hints bhi de sktay hen. Inkay online forms me hints k option mojood hote hen.

    Mera apna experience hai k online font match karwaanay k leye jo image ap upload krte hen us ko highly contrast hona chahye tab font ko boht jald mutalqa font se match krne me asaani hoti hai online software ko. High contrast se meri muraad ye hai k background ko mazeed dark ya black kr den aur jo text font likha hai us ko white ya light color me rakhen. ye kaam aap simply image ki brightness kam kr k aur contract ko zyada kr k haasil kr sktay hen. custom font ki talaash me ye boht karaamad tareeqa hota hai. jald poori tafseel se fonts pe aik post karoo ga yahan InshaAllah

Similar Threads

  1. Ab mujy kia krna chahiay?
    By Waqasnur in forum Educational Discussion
    Replies: 1
    Last Post: 29th September 2015, 10:06 AM
  2. plz mujy koi inpage k liye font
    By Ahmad_Shah12 in forum Ask an Expert
    Replies: 6
    Last Post: 23rd September 2013, 10:09 AM
  3. Yeh Font kisi ke pass hy?
    By pakfon in forum Ask an Expert
    Replies: 3
    Last Post: 13th December 2011, 08:39 PM
  4. kisi ka pass crcicket 2007 hai to plz send me
    By toberia in forum PC Games
    Replies: 9
    Last Post: 15th April 2010, 10:27 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •