Kaley baal theey lambey reshmi, Chehra uska ghulab tha,
Ankh bhar k na koi deykh sakey, Ba-Khuda itna jamal tha,
Par uski mohabbat ka ik ajab andaz, Isi bat ka mujey malal tha,
Soch mey uski tha mey har pal, Par la-taluki mey usey kamal tha,
Aytabar tha ik dojey par lakh sahi, Par yeyhi to wajh-e-zawal tha,
Dil ki beyshak wo saf sahi , Par hasil na hamko wasal tha,
Phir bhi dua hey k ham yey keh sakain k, Chehra ussi ka ghulab tha
Bookmarks