Habeeb-e-Kibriya
Habeeb-e-Kibriya pey ata Salam kis ka tha...
Jo usney Qul sey kia Woh qalam kis ka tha...
Tapti rat pey bhi Ahad Ka wird jis ney kia...
Haseen woh hoor sey Habshi Ghulam kis ka tha...
Inhain Na qatal kero betion sey piyar kero...
Rehem ka bachion pey yeh peigham kis ka tha...
Nazar main aik hain uski woh hon arab ya ajam...
Bhara yun adal sey woh deeni nizam kis ka tha...
Kay jo ki moti si roti ya tha khajoor aur pani...
Zamana soch main hay itna sada taaam kis ka tha...
Kay Baksh dey ga khuda woh jisey bhi kahain...
Usman Izne Shifaat ka woh inaam kis ka tha...
Usman Anees
Bookmarks