Results 1 to 3 of 3

Thread: Mohabbat kya ho akhir tum..

  1. #1
    jantardos's Avatar
    jantardos is offline Senior Member+
    Last Online
    25th December 2018 @ 03:45 PM
    Join Date
    26 Feb 2015
    Location
    Mithi Sindh
    Age
    38
    Gender
    Male
    Posts
    142
    Threads
    12
    Credits
    612
    Thanked
    6

    Default Mohabbat kya ho akhir tum..

    Mohabbat rog hai ya phir haseen raag hai koi,
    Kisi jharnay ke paani ka dilkash*saaz*hai koi,

    Mujhe aksar yeh lagta hai mohabbat raaz hai koi,
    Samajh se baala ik awaz hai koi,
    Phir is raaz se parda uthaane ko,
    Sabi ehsas ke dhaaron ko milaya maine,
    Aur dheere se mohabbat se bass itna kaha,
    Mohabbat kya ho akhir tum,

    Mohabbat kya ho akhir tum,
    Kisi majnoon ka pagalpan,
    Kisi farhaad ka taisha,
    Kisi sassi ka*sehraa*ho,
    Kisi punnu ki bechaini,
    Kisi sohni ka gharra ho,
    ****** haizi ho tum,
    Ya phir ****** haizi ki rahbar ho,
    Mohabbat kya ho akhir tum,

    Batao na kisi mastaanay ki masti ho,
    Kisi sufi ka sajda ho,
    Kisi zahid ka taqwa ho,
    Kisi bhale ke ghunghruu ho,
    Kisi*mufti*ka fatwa ho,
    Koi uljhan ho tum ya koi suljhi hui shay ho,
    Mohabbat kya ho akhir tum,

    Kisi waris ki heer ho,
    Kisi saif ki jheel ho,
    Tum kis raste ki rahbar ho,
    Be-nishan ho ya phir koi nishan-e-manzil ho,
    Mohabbat kya ho akhir tum,

    Koi*mai-khana ho tum,
    Ya kisi*mai-khane ka jaam ho,
    Koi pathar ki murat ho,
    Koi masjid ya mandir ho,
    Kisi deewane ka raqs ho,
    Ya phir mast dhamaal ho,
    Andheri raat main jugnu,
    Ya phir subah ka sitaara ho,
    Mohabbat kya ho akhir tum,

    Kisi ki ankh ka paani ho,
    Ya khush-rang kahani ho,
    Kisi ki thandi aah ho,
    Ya tum koi dilkash hansi ho,
    Tapti dhoop main saya,
    Ya phir december ki dhoop ho,
    Mohabbat ka ho akhir tum,

    Bohat socha tab mere dil se*sadaa*ayi,
    Mohabbat dil pe*ilhaam*ki surat,
    Bohat dheere se utarti hai,
    Kahin andar panapti hai,
    Mohabbat rog hai ya phir haseen raag hai koi,
    Kisi jharne ke paani ka dilkash*saaz*hai koi,
    Mohabbat*deen*hai ya phir tayaag hai koi,
    Kisi kache*gharre*ka raaz hai koi..

  2. #2
    M.shawal's Avatar
    M.shawal is offline Advance Member
    Last Online
    8th February 2020 @ 11:57 AM
    Join Date
    15 Apr 2016
    Location
    Dera ismailkhan
    Age
    40
    Gender
    Male
    Posts
    6,306
    Threads
    414
    Credits
    8,468
    Thanked
    315

    Default

    بہت اچھی شیرنگ
    (ہر دوسرے انسان کی مدد)

  3. #3
    Baazigar's Avatar
    Baazigar is offline V.I.P
    Last Online
    24th April 2024 @ 04:11 AM
    Join Date
    16 Aug 2009
    Location
    Makkah , Saudia
    Gender
    Male
    Posts
    29,912
    Threads
    482
    Credits
    148,899
    Thanked
    970

    Default

    Thanks for Sharing

Similar Threads

  1. mohabbat ko mohabbat farz karte hain
    By Chandamalik in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 13
    Last Post: 23rd July 2022, 01:42 AM
  2. Mohabbat Ko Mohabbat Se Nibhana Bhi Zaruri Hai
    By myvoice in forum Design Poetry
    Replies: 10
    Last Post: 27th December 2010, 09:26 AM
  3. Akhir Kub tak.........
    By Truth Lover in forum Halat-e-Hazra
    Replies: 2
    Last Post: 23rd March 2010, 07:59 PM
  4. Akhir
    By za1m_bawa in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 5
    Last Post: 10th March 2010, 06:05 PM
  5. Akhir kab tak?????????????/
    By sweeto in forum Photo Gallery
    Replies: 11
    Last Post: 21st December 2009, 05:05 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •