Assalam o Alaikum

Hi Friends

Aaj Mein aap ko bataon ga k wifi ko kaise secure banay jaye.
mere aksar dost mujh se yeh kehte hai k hamara wifi hack ho gaya.
password kbi kisi ke paas chala jaata hai aur kabhi kisi k paas.
rozana password change karna parta hai aur yaad bhi rakhna parta hai.

Agar aap yeh method ye use karien ge tau InShaAllah Aap Ko
rozana password change nahi karna pare gaa.Aur Wifi Bhi Kabhi Bhi Hack Nahi
Ho Sakta.Agar Aap Apne Dost Ko Password Bhi Bata Dein Phir Bhi Nahi.

Step 1 :Sub Se Pehle Apne browser pe ye enter karien
192.168.1.1

Step 2 :Username aur password enter karein.agar aap ko pata nahi tau ko
baat nahi.username mein yeh taype karien: admin
Agar aap ko password nahi pata tau apne router ke piche deikhein
wahan likha ho ga admin password.wo password enter karein.

Step 3 :Ab Wireless Pe Click Karien.max clients mein aap ne jitne mobile per
wifi use karni hai un ki taadaad likhiye.agar 2 use karne hai tau 2 likhiye.
Jitne Use Karne Hain Utne Hi

Step 4 :Ab MAC Filter Pe click karein.Ussy Allow pe click karein.ab jahan add likha hai wahan click karein.ab aap apne andriod phone ki settings ko open karein or wifi open karein uss mein advance settings mein jayien or apne wifi ka sahi tariqe se mac adress likh kar add kardein.Ab Aap Ne Jiss Jiss mobile pe wifi use karni hai wo mac filter mein apne mobile ki wifi ka mac adress add kare or password enter kar k connect kar de.agar aap ka koi dost wifi ka password ka pata bhi chala le tau bhi hack nahi kar sakta.jb wo password de ga.wo kbhi bhi nahi conncet ho ga.sirf wohi mobile conncet hon ge jiss ka mac adress uss mein add hua ho ga.


Ab Mujhein Ijazat Dein.

InShaAllah Agle thread mein mulaqat ho gi.duaon mein yaad rakhiye ga.


if you have any problem please reply in this thread.